After getting fresh prachi came down and saw everyone sitting and making serious faces
Prachi:- hii dad,bua,chucks kya hua sab aise kyu baithe ho plz mujhe batao
Pragya:- prachi abhi jo mei khungi use plz dhyan se suunna or plz gussa mat hona
Prachi:- nhi hongi gussa plz batao
Prayga:- dekh tujhe yaad mr.kohli
Prachi:- haan vikram uncle vo bhout ache hai kyu kya hua
Pragya:- nhi sab thik hai vo apne bete ke liye ladki dhund rhe hai ranbir ke liye
Prachi:- uncle ko kitna kaam karna padta hoga na uss khadus ke liye ladki dhundne mei
Pragya:- prachi aise nahi bolte vo chahte hai ki tere dad aur unki business friendship ko rishtedari mei badalna chahte hai to isliye vo chahte hai ki
Prachi:- ki kya maa??
Pragya:- ki tu unke ghar ki bahu bane vo apne bete ka rishta tere sath karna chahte hai
Prachi:- whattttt!!!!!???? Nhhi no no mei uss khadus ke saath shaddi nahi karungi no maa pa aapne unhe haan to nhi na ki????
Abhi:- beta hamne haan kardiya hai kyuki hame laga jai rhea aur aryan ko shahana aur sid ache lagte hai vaise tijhe bhi ranbir acha lagta hoga
Prachi stomps her hand on table
Prachi:- how how you both can take this decision???? Aap dono ko kya ho gya hai agar rhea aur aryan ko shahana aur sid pasand hai iska matlab mujhe vo khadus acha lagta hai wow!!!!!
In anger prachi left to her room she started crying everyone was sad aalia followed prachi
Prachi:- kyu kyu bhagwan mere saath hi kyu
Aalia:- prachi beta plz dont cry
[Freinds i am repeating Aalia is positive]
Prachi:- to mei kya kru bua meri life ka itna bada fesla maa papa ne le liya mujhe pucha bhi nhi mei yeh shaddi nhi karungi
Aalia:- bache plz aisa mat kho and plz stop crying bacha
Prachi:- to kya khu bua kya karu mei mujhe pata yeh saddi mere life ki sabse badi galti hogi aur mei galti nhi karna chahti plz bua leave me alone
Aalia didn't say anything and left after her pragya and abhi went inside
Prachi:- meine kha leave me alone please
AbhiGya:- bacha plz ek baar bat sun lo
Prachi:- boliye
Abhi:- dekh bache ranbir bhout acha ladka hai vo tujhe hamesha kush rakhega aur vikram aur pallavi bhi bhout ache hai tu hamesha khush rahegi ubke saath
Prachi:- nahi paa
Abhi:- tujhe apne papa par wishwas nhi hai tujhe aisa lagta hai tere mom dad kisi bhi ladke ke sath teri shaddi karvadenge jab tu yaha nhi thi na tab ranbir hamare ghar aaya karta tha ham usse tujhe se jyada ache se jaante hai isliye hampar vishwas rakh aur haan karde beta
Prachi:- ok papa aap dono ne mere liye bhout kuch kiya hai mei aapke liye itna kar sakti hun par meri taraf se koi asha mat rakhna
AbhiGya:- thik hai beta
Pragya:- tu apne office se kal leave lele! kal vo log rishte ki baat karne aane wale hai!
Prachi:- oky maa
Other side ranbir's home
Pallavi:- dekh ranbir prachi bhout achi ladki hai vo tera bhout dhayan rakhegi
Ranbir:- vo to dhayan rakhlegi par kya mei usska dhyan rakh payuga usse pyaar de payunga aap sab jaante hai ki niyati ke baad mei kisi aur se pyaar nahi kar sakta
Sid:- par tum dono ka breakup ho chuka hai to abb tujhe kya farak padt ahai
Ranbir:- Sid farak padta hai ham dono saath mei nhi hai par vo mere dil mei hai ham dono ka saath mei bitya har pal mujhe yaad hai vo mere dil mei hai aur mom aap kisi aur ladki ke saath mera naam jodna chahte ho??
Pallavi:- ranbir mai tujhe aisa dukhi..nhi dekh sakti tujhe move on karna hoga
Ranbir:- maa kaise
Vikram:- mere liye
Ranbir:- papa aap
Vikram:- mere liye itna karega
Ranbir:- oky mei uss ladki se shaddi karne ke liye ready hu but mere taraf se kuch expect mat karna kyuki mei iss rishte mei koi input nahi daalne wala
√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√
To be continued
New update soon
~Kavya 😇
YOU ARE READING
Love After Marriage {Completed}
FanfictionShe Is the perfect example of "BEAUTY WITH BRAINS" Being the daughter of one of the richest man of the city and still having no attitude is nature of Miss.Prachi Mehra Running her own Company of interior designing without any help of her father's...