Chapter 4

687 59 8
                                    

Person: Kuch toh karna padega, varna kabhi na kabhi yeh dono phirse ek ho jayenge, lekin inka divorce kaise karvayu? 

Arzoo: Aaisa kabhi nahi hone wala kyunki readers bhi yeh jaante hai, ki saccha pyaar vapis zaroor ayega 

Hospital mai

Haseena aapni beti ke paas baithi hoti hai, tb ek doctor aata hai aur bolta hai 

Doc: Ma'am aapki beti ki immunity kam hoti jaa rhi hai, humne glucose chadha diya hai lekin yeh zyaada kaam nahi karega

Haseena: Toh kya chahiye aapko, hum vo sab karenge jo hamari beti ko bacha sakta hai, aap bas bataye 

Doctor: Inka blood group bohot hi rare hai, aur hamare blood bank mai bhi available nahi hai, kisi ko blood donate krna hoga, jinki immunity bohot hi strong ho 

Haseena: Rare blood group yani, O+ right? 

Doctor: Haa

Haseena: Hum aapne bhaijaan ko bulate hai, unka blood group same hai, aur unki immunity bhi strong hai 

Doctor: Great, aap unko jitni jaldi bulayenge utni jaldi hum aapki beti ki madad kar paayenge 

Haseena: Ji, hum unko bulate hai 

Doctor: thik hai, hum wait karte hai, jab vo aaye tab hume bula lijiyega 

Haseena: Sure

Doctor chala jaata hai aapne office mai, vahi dusri taraf Delhi mai Ali ko kuch gala hone ka ehesaas hota hai, jaise ki kuch boht hi galat ho gaya ho aur Haseena ko uski zaroorat ho, bina kuch soche samjhe vo Haseena ko call karta hai, vahi dusri taraf Haseena bhi Ali ko call krne ki try karti hai, lekin dono ke calls busy aarhe the, Ali jald hi ek ticket book karta hai, aur aapne ghar jaa kr saara zaroori saaman pack krke Airport ke liye nikalta hai 

Vahi Mahila thane mai Cheeta aur Santu soch rhe the ke kaise Anubhav aur Haseena ko saath m laaya jaaye tabhi Santu ko ek idea milta hai 

Santosh: Cheeta idea mil gaya 

Cheeta: Bataye na santu ji, bataye na 

Santosh: Unko akele ek trip par bhejte hai 

Cheeta: Lekin Santu ji dono manenge? 

Billu: Nhi manenge, Santosh ji aapko pata nhi yeh dono 2 saal se ek dusre se thik se baat bhi nhi kr rhe aur aap trip pr bhejne ki baat kr rhe hai 

Santosh: Lekin Billu ji vo dono aapne jobs m fase hue the toh thik se baat tk nhi hui agar vo bahar jayenge toh ek dusre ke saath thoda open toh honge 

Cheeta: Santu ji hume maaf kijiye lekin iss baar hum billote ke saath hai, 2 saal se unn dono ne baat nhi hai, yaha tk ki maddam sir ne yeh tk nhi pucha ke sir kaise hai, hum kaise unko trip pr bhej de 

Santosh: Toh tune kuch socha hai? 

Cheeta: Haa soche hai na

Santosh: Kya 

Cheeta: Hamari shaadi ke baare mai 

Santosh: Cheete yaha DSP sir aur Maddam sir ki shaadi atki hui hai aur tujhe aapni shaadi ki padi hai kaisa bhai hai tu 

Billu: Nithalla hai yeh ek dum, nalayak 

Cheeta: Aeee, tere takle pr aaisa zor ka maarenge na toh aage ke har janam mai tu takla hi miloge samjhe 

Pushpa ji: Bas karo tum dono, aur teeno yaha aao ek idea hai hamare paas 

Santosh: Bataiye

Pushpa ji aapna plan sunati hai teeno ko jisse teeno muskurate hai, lekin kuch der baad Santu puchti hai, 'Pushpa ji, agar maddam sir ko hamara plan pata laga toh hum teeno suspend ho jayenge vo alag maddam sir aur dsp sir ke bich m aur musibat khadi ho jayegi' 

The broken bond-AnuseenaWhere stories live. Discover now