Entangled 1.6

517 49 19
                                    

"Sir wo party jo do din baad thi wo prepone karke kal kar di hai !" Billu came running.
" Hamara shaq sahi tha , kal inauguration ke dauran pure sheher me blasts karwane ka plan hai aur usme se ek blast yaha is party me hoga taki kisi ko Adhiraj pe shaq na ho aur wo Ranvijay ka badla bhi le le ." Anubhav said in deep thinking.
"Sir humne forces ko sachet kar diya hai, par yaha ka hume hi dekhna hoga . Local police ko bhi involve ni kar sakte kuki wo adhiraj ko inform kar degi ." Billu said.
"Billu, abi bhi kuch hai jo dikh ni raha , adhiraj kal arrest ho jayega lekin Ranvijay abhi bhi azaad hai , kaha hai koi ni janta...kher tum bomb ki location ka pata karo...blast se pehle hi hume wo change karna hai"
"Ji Sir, Jai Hind!"
-------------------------------------------------
Somewhere in a dark room!
"Tumne hamari life barbad karne me koi kami ni chhodi SHO Haseena Mallik! Tumhari vardi Cheen ne ke baad bhi tum khush kese ho? Kher ab ye khushi bas kuch pal ki mehman hai! Pehle hum tumhari aankho ke saamne tumhare doston ko marenge aur fir tumhe.
(Evil laughter echoed in room)
-------------------------------------------------
"Haseena! Kesi ho tum? " Dhairya exclaimed!
"Dhairya! Hum theek hai. Tum kesi ho ?" The duo hugged each other.
"Tumhe itne din bad dekh ke ab theek hain hum warna hume laga us din ke bad...."
"Dhairya ek request hai , us incident ka zikr yaha kisi ke samne mat karna . Hum wo sab bhula ke nayi life shuru kar chuke hain. "
"Fikar mat karo Haseena. Wo ham sabka dark past tha. Tumne hume us Rajveer ke against jake bachaya aur khud ko ek desh drohi sabit hone diya...."
"Humne jo kiya wo us samay zaroori tha." Both look each other.
At night-
"Anubhav ji hume aap par pura bharosa hai. Aap jo bhi kar rahe hain , usme safal honge." Haseena said holding her bracelet.
Fb -
"Anu! Aap aaj fir late aaye. Mana IB me hain aapko par kam se kam phone to uthaiye....I missed you!
"Haseena ji! Ye to sirf ek din ki baat thi agar kabhi hume bahut lambe samay ke liye jana pada tab apka kya hoga?"
"Hmm ye to bahut gambhir vishay hai! Kya karen?"
"Aap kuch mat kijiye, kher abhi hum aapke liye kuch laaye hain? Anumati ho to dikhaye?"
"Avashya vats! " She laughs showing her palm giving permission
He opens a velvet box and a beautiful gold bracelet was kept there.
"Wow ! Anu ye to bahut khoobsurat hai par ye kuch jana pehchana hai?"
"Sahi pehchana, ye aapke abbu ki chain hai jo hamari pehli mulakat ke dauran toot kar gir gyi thi . Humne ise is bracelet me change karwa diya taki aapke abbu ki kami apko mehsus na ho."
Her eyes were moised. "Ab se na sirf abbu par jab aap hamare pas nahi honge na to ye bracelet hume apka ehsas dilayega." She hugged him.
Fb ends
Next morning
"Sir bomb kal raat ....nahi subah 3 baje party hall ke jhoomar me lagaya tha. Wo change ho gaya hai aur baki jagah bi inspect ho gyi hain aur kahi kuch nahi hai. " Billu came with few man with him
"Good Job Billu Champat! Ab tumhari leave granted. Jao apne ghar." "Par sir aapko akele chhod ke? Abhi mission khatam nahi hua hai."
"Isse aage hum sambhal lenge Billu."
"Ji sir ! Jai Hind!"
Billu leaves with other officers.
"Billu ! Ye sab itna sehej nahi aur ab tumhari jaan bhi khatre me nahi daal sakte hum . "
-----------------------------------------------
"Kya???!!" Ranvijay shouted . "Do secret agents humari jasoosi kar rahe hai?"
"Han Bhaiya ! Par wo kon hai ye nahi pata . Wo bomb Jo humne plant kiya tha wo change karwa diya hai. Ab agar koi movement ki to seedha shaq hum par aayega ." Adhiraj explained.

"Fir plan B! Ab hume desh se pehle desh ke rakshakon ko khatam karna hai.Sham ki party ache se hone do.
Uske baad in sabse aur khas kar Haseena Mallik se niptenge!"

"Bhaiya Maya ki engagement?" Adhiraj asked.
"Hume fark nahin padta vese bhi Maya konsi hamari sagi behen hai? Is sab me wo mar bhi gayi to acha hai kam se kam tum pe shaq ni ayega kyuki pura sheher janta hai ki tum apni behna se kitna pyar karte ho?" Ranvijay laughed while Adhiraj looked on.
-------------------------------------------
"As expected unhe hamare bare me pata chal gaya hai agent Phoenix...I mean Anubhav"
"Machli jaal me fas gayi hai ! Ye log sochte hain ki hamare desh ki forces itni kamzor hain ki ye kuch karenge to hume pata ni chalega?" He smirked.
"Hmm... oversmart samajhte hain khud ko. Mujhe marenge? Chalo ek surprise mai bhi doon apne pyare bhaio ko ki jin secret agents ko dhundne ke liye tilmila rahe hain unme se ek unki behna hai " Maya aka agent Phantom laughs.
"Vese Maya mana wo tumhare sage bhai nahin hain par fir bhi hume asha hai ki tum kamzor nahin padogi."
"Nahi Anubhav kamzor padna to mene usi din chhod diya tha jab in sabne milke mere papa ko maar diya aur meri maa ko mentally unstable kar diya . Mere mom dad hamesha se is desh ke liye kuch karna chahte the par us ranvijay aur uske pita ne..... Par us din mene soch liya ki apne mom dad ka sapna bhi pura karungi aur inke har bure kaam ko saza bhi dilwaungi."
" Agent Phantom! Hume aap par garv hai. Jai hind " he salutes her.
"Jai Hind!"
--------------------------------------------
"Vyom ! Hume kuch theek nahi lag raha . Ye Adhiraj na hume kisi ki yaad dila raha hai. Kuch to hai jo dikh nahi raha"
"Sahi kaha Haseena! Zaroorat se zyada mithas bhi ghatak hoti hai...aur kamal ki baat hai ki is party me sirf whi log invited hain jo kisi na kisi tarah se us shaks se jude hain..."
Vyom and Haseena were in deep thoughts while Karishma was on calls.
"Kya hua? Kya baat ho rahi hai aap dono ke beech?"
"Umm kuch nahi Karishma ! Wo bas aise hi tumhari tareef kar rahe the vyom ."  Karishma was about to speak but she again gets a call and goes outside to take the call.
"Karishma ko Ranvijay ke bare me nahi pata chalna chiye . Ye baat sirf hum dono ke beech me hai . Uska gussa to pata hai na..."
"You are right."
In the garden , karishma was trying to get the network ...
"Amma abhi sahi tha sab ab konsa jammer lag gaya ki network ni ara." Her words were interrupted on collision with a tall , handsome man.
"Jindagi se rishte kharab ho gaye hain kya bhaiya jo humse takra rahe ho."
"Kshama  kijiyega behna ! Hum bahut apaatkaleen karya se jaa rahe the to humne dekha nahi ." He picks her phone which fall on ground during their collision and stood giving a clear picture of his face.
"Aapne kya bola hume? " Karishma asked keenly looking at his face .
"Aapko bura laga? Aapne hume bhaiya bola to humne behna bol diya....vese bhi aaj agar hamari behna hoti hamare pas to bilkul aap jesi hoti ." He said looking at her confused face.
She felt a strong connection with him but soon realised that he was Anubhav. Her heart which was touched by his deep words got filled with anger for him . He was the same person who had betrayed her best friend. "nahi hain hum aapki behna" she gave him a look and left from there. He saw her disappearing figure.

Inside the resort-
"Cheete ! Mere pet me dard ho raha hai."
"Ka baat kar rahi hain santuji? Konsa baat chupai aap? Kahi aapka shaadi to tay ni ho gaya?"
"Cheete ye baat chupane wala dard ni hai. Ye to..." "Dard bhi kayi prakar ke hote hain santuji?"
"Are... cheete ye gadbad wala dard hai. Kuch bura hone wala hai. " Santosh said.
"Santuji aaj party hai . Kya bura hoga? Aap chinta mat kijiye."
"Tu maan ya mat maan par kuch to bura hoga.." "aap chinta mat kijiye, hum hain aapke sath . Abhi aap tayar ho jaiye ."
She nods.
---------------------------------------------
At evening in the party hall

All came dressed beautifully. (Won't discuss in details about the party)

"Haseena, sab theek hai na? Tum kafi pareshaan lag rahi ho."
"Pareshan...nahi hum bilkul theek hai...chlo dance karte hain Santosh bula rahi hai."
The party was going well but soon the colours of various faces faded with the entry of special forces.
"Mr Adhiraj Oberoi! You are under arrest."
The land seemed to slip under his feet.
"Kya keh rahe hain aap ye officer. You must be joking."
"Mazak ki aadat nahi hain hume. Intelligence ki puri report mili hai hume aur haan aapne jo blasts plan kiye the pure sheher me us ka bhi proof hai. " The officer said.
"Ye kya keh rahe hain aap officer? Bhaiya aapne aisa kiya? Mujhe to yakeen nahi hota...muje chakkar aa rahe hain." Maya acted to faint.
"Ye Maya overacting ku kar rahi hai?" Anubhav thought to himself. "Officer aapko koi galat fehmi hui hogi. Hamare mitra aisi bhati ka karya ...kadapi nahi." He spoke holding Maya .
"Aap sab chup ho jaiye . Inka to trial bhi possible nahi kuki saboot inke ghar se baramad hue hai . Ab aap dono me se kisine kuch bola to aap ko bhi arrest kar lenge. "
Few officers arrested Adhiraj.
"Aur haan ye resort seal kiya jaraha hai to aap sab yaha se chale jaiye but after security check. "
All nodded while Adhiraj was taken away. Maya and Anubhav smirked. Haseena looked at Anubhav, he closed his eyes in assurance.
The other half of evening was spent in security checks.
At night all were prepared to leave.
"Haseena hum ka keh rahe the tum hamare sath chalo na..."
"Hum zaroor chalte par abhi nahi...maa aur ammi akeli hain. "
"Theek hai jesi tumhari ichcha...hum koi formality nahi karenge."
Both hugged each other. Santosh too came forward to hug her. All bid each other bye. But it's said that improper and sudden good byes are always incomplete and a sign of something unexpected.

Haseena was in her car thinking of Anubhav. "Anubhav ji , I hope ab aap jaldi ghar ajaayen ." Her chain of thoughts was broken when her car stopped all of sudden. She stepped outside to check the matter but soon was attacked. Some goons pushed her inside the car and drove away.

Same happened with others.

-------------------------------------------------

Vyom opened his eyes to see his sorroundings. He saw that they all were tied to chairs. He tried to wake everyone up. All opened their eyes.

"Ye hum kaha hain ? "

"Wahi jaha tumhe hona chahiye SHO Haseena Mallik!"

Ranvijay came infront of her while everyone looked on.

------------------------***-----------------------

Hello everyone! So sorry for being ghost these days . But I don't feel like writing. This story didn't turn to be something I initially planned, all due to lack of my motivation to write. But won't left it incomplete so one more part and story would be done . But but after that few more parts will be there of "with you forever" that would be focused on Anuseena, about how they met, married and haseena's past.

Till then read this one and give your precious feedback. I know the story has messed so apologies for that but any other query ....you can ask in comments!
Also thank you to all the lovely people who have been a constant support. Thank you ❣️









The Life Under CoversWhere stories live. Discover now