PART #3

845 105 8
                                    

CS: santu ji ap yahan humaray kamray mei kiyà kar rhi hain, maa nay deekh toh ghazab ho jaey ga. Ap jaen na.

SS: relax cheetay pushpa ji yahan nahi aanay wali..

CS: ap janti nahi hai maa ko ek number ki chakari hain, har waqt nazar rakhay rehti hain k Kaun kiyà kar rha hai is samay.

SS: cheetay tu itna darta rhy ga toh pyar kaisay karay ga phir, relax cheetay pushpa ji ko vishwas hai k mujhe tujh mei koi interest nahi hai.

CS: acha par unko hum pay toh vishwas nahi hai na, oo toh janti hain k hum ap say kitna pyar kartay hain apki hi Khatir police mei bharti huay hain hum. Warna hum bhi Krish bhaiya ki tarha kisi office mei naukari kar rhy hotay.

SS: cheetay pushpa ji aaram kar rhi hain tu pareshan mat ho woh yahan nahi aanay wali.

CS: ap itnay vishwas k Sath Kaisay keh rhi hain. Kaisay kiyà ap nay Sab.

SS: cheetay teri santu ji tujh say milnay k liey kuch bhi kar sakti hai, pata hai pushpa ji toh abhi darwazay say hi mujhe wapis bheej rhi thi par teri santu ji woh baton ka jaal bechaya k bechari pushpa ji phans gae us mei.

CS: kaisay manaya ap nay maa ko.

SS: toh sun.
FLASH BACK:

PS: santu tum waqt yahan kiyà kar rhi ho.

SS: pushpa ji  humaray mess ka khana ap ko toh pata hai kitna mazaydar hota hai bus wahi lay k aai hun ap k liay.

PS:dekho humari umar nahi hai uppar janay ki toh please yeh wapis lay jao.

SS: acha toh koi baat ap nay nahi khana toh waisay bhi bechara tommy kab say bhooka tha par usay daynay say pehlay mei nay socha ap say pooch lun agar ap k khanay ka maan hua toh apko warna tommy ko day dungi.

PS: santu tum us doggy ka khana humaray liey Lai thi?

SS: nahi pushpi mei us tommy ka nahi Lai thi mei nay socha k is salan ko phenknay say acha hai kisi ko khila diya jaey, waisay pushpi ap buhat kamzoor lag rhi hain or buhat thakki thakki si hain, lagta hai k Karishma maddam  aaj Kal  saray ghar k Kam ap say karwa rhi hain.

PS: aray nahi santu yeh humara ghar hai thana nahi yahan Raaj  hunara hai , saray k saray Kam bahurani karti hai hum toh bus hukum daytay hain. Waisay Sahi Kaha hum thak toh buhat gay hain aram kartay kartay bus abhi bahurani say kehtay hain k humaray hathon or pairon ko achay say dabba day.

SS: aray pushpa ji ap Karishma maddam ko kyun takleef day rhi hain mei hun na mei karti hun na.

PS: toh phir dyar kis baat ki aa jao

SS: aray pushpa ji yahan darwazay par karwaen gi kiya chalen na kamray mei chaltay hain.

PS: aray nahi humara toh uthna baithna toh yahi hall mei hai, aaisa na ho hum kamray mei gay or bahurani lalla k Sath bahir nikal jaey, kyun k aaj hum nay palak ki sabzi banawai hai Jo k usay pasand nahi hai humain pakka yaqeen hai woh jaey gi zaroor.

SS: uff toh ap apna khoon kyun Jala rhi hain janay dyn na unhain bahir.

PS: aaisay kaisay janay dyn hum us nay humari thanee mei kiyà Kam bayizzati ki hai abhi ya toh woh bhooki rahay gi ya bahir janay k liey humari minnat karay gi.

Goll MalWhere stories live. Discover now