part 13 💫❤️

366 41 11
                                    

So guys kaise hai aap log tho shuru karte hai bina time kharcha kiye......

Next day

At the breakfast table....

Hm : kyaa hua kashu... Tum pareshan lag rhi ho....

Ks : nhii tho aisi koyi baat nhi hai....

Hm : kashu tumhe pta hai... Tum humse jhut nhi bol skti....

Ks : hasu kl parents teachers meeting hai....

Hm : tho tumhe fikar hai ki vivek ke parents vps se koyi hungama naa kare...

Ks nodded....

Hm : tum fikar mt karo.... Aisa kuch nhi hoga.... Principal smjh jayenge.....

Ks : lekin baad baar aise baat karna aacha nhi lgta na....

Ss : didi.... Bhabhi hume bhi btao kyaa baat kar rhe ho.....

Ks : santu vo humare class me ek student hai.... Vikek sharma.... Uske parents naa uske test me jbhi bhi kam marks aate hai tb teachers ko blame karte hai.... Jbki vo ladka kbhi class me attentive nhi retha hai.... Saare teachers ki complain hoti hai vo class me nhi hota aur tho aur home work bhi kbhi pura nhi karke aata hai.....

Ps : lekin phir yeah tho glt baat hai na... Glti unke parents ki hai.... Agar vo homework nhi kar rha tho vo log teachers ko kaise blame kar skte hai....

Hm : aisa hi hota hai maa.... Bhtt saare parents aise hote hai jinko lgta hai ki vo log school ki fees bhar rhe..... Tho unki saari responsibility khtm ho jaati hai.... Bss unke bacho ko padhne ki saari responsibility teachers ki hoti hai.... As vo log fees pay rhe hai.... Vo log kbhi yeah nhi dekhte ki bache kyaa karte hai.... Agar bacho ki complain kiye tho Bolte hai ki jb bache yeah sb kar rhe the.... Tho aap kaha thi.... Kaise aapke lecture bunk karke bacho ne..... Mtlbb aap hi bacho ko nhi padha paati hai.... Unko kuch smjh me nhi aata isliye vo log class attend nhi karte.... Aur isliye hum logo ko tuition lagana padh rha hai....

Ks : aur mostly parents tuition lagane ke baad bhi.... School authorities ke pass hi complain karte hai..... Hum bacho ko Bolte hai ki koyi doubts tho puch skte.... Lekin time pe koyi nhi aata.... Humare school me tho teachers 1 hr late jaate hai ghr aur lunch games sb free hota hai doubt clear karne ke liye..... Tb koyi bache humare pass nhi aate.... Lekin exam ke result ke time.. parents ko yeah bolte hai... Ki hume smjha nhi tha isliye nhi likha kuch..... Bhttt doubts the....

Cs : agar aisa hai tho aap log job kyuu nhi chord dete....

Hm : vo kyaa hai na cheete.... Agar humari vjh se ek bhi student apni life me successful hua na tho.... Humko jo sukoon milta hai.... Uske liye hum kuch bhi kar skte hai...

Ks : bhale hi bache hume bhul jaye... Lekin vo successful ho... Aur humare students ho... Tho vo feeling is the greatest.....

Hm : tumhe pta hai.... Hum aaj bhi apne teachers ko teachers day pe wish karte hai aur thank you bolte hai....

Ks : vo hum bhi karte hai.... Vo agar koyi hume yaad hume thank you bolta hai.... Us din hume bhtt khushi hoti hai... Ki kissi tho bache ne hume yaad kiya hai....

After some more talks they went to their respective works....

I dedicate this part to all the teachers thank you for always guiding us to the write part.... Aaj hum jo bhi hai vo aapke vjh se hai.... Koyi teacher yaha Wattpad pe hai tho un sb ko thank you 💜

Finishhhhh
Kaisa laga aapko comments me batana next part jldiii aayega tbtk dhyaan rakhiye apna take all the precautions
STAY SAFE STAY HEALTHY.....💜❤️




pyar ki dastan 💫❤️ ✔️✔️Where stories live. Discover now