Chapter 55

204 14 259
                                    

CBI OFFICE,

AK: Bhai, kya hua itni urgently kyun bulaaya tha?

Kunal: Maine tujhse kaha tha na ki tere us picture ko dikhane ke baad zaroor hame kuchh clue milega to bas wahi....

AK: Matlab pata chal gaya ki wo koun tha?

Kunal: Exactly nahi but kuchh pata chala hai jiski madad se shayad hame pakka proof mil jaaye. Aaj subah Jindal Bhavan ke location se ek number par call kiya gaya aur wo ek criminal ka number tha jo lockup me hai. Uska phone to police ke paas hai isiliye wo call receive nahi ho paya. Aur jahaan tak mujhe lagta hai ye call isiliye kiya gaya tha taaki Aadarsh ke related hi sawaal kar sake.

AK: Lekin Bhai wo number tha kiska?

Kunal: Kisi Raju ke name par registered hai. Pata chala ki wo wahaan ka helper hai.

AK: Raju? Bhai, Jindal Bhavan ke saare workers aaj bhi wahi hai jo 6 saal pehle the aur mai achhe se jaanti hun ki unme se koi bhi aisa kaam nahi kar sakta. Zaroor baat kuchh aur hai warna koi bhi aise hi kisi criminal ko call kyun karega.

Kunal: Wahi to pata karna hai ki usne aisa kyun kiya.

AK: Aisa bhi to ho sakta hai na ki usne nahi balki kisi aur ne aisa kiya ho.

Kunal: Aise kaise? Aur agar ye kisi aur ne kiya bhi hai to hame pata kaise chalega ki wo kisne kiya tha?

AK: Aap wo sab mujh par chhod dijiye, mai wo sab pata karlungi.

Kunal: Are you sure?

AK: Haan Bhai..... Arey, Ye to dikhana hi bhool gayi aapko.

She handed him the newspaper she had brought along with her.

Kunal: Ye to wahi aadmi hai na jisne us din tum par attack kiya tha?

AK: Ha bhai, aapne ek ke baare me bataya tha jo ki already mar chuka hai aur ye wo doosra wala hai. Pehle to sirf paise kha kar kaam karta tha aur ab teenagers me drugs ki smuggling bhi start kar diya hai isne. Bhai, isse pehle ki police ise arrest kar le hame ise pakadna hoga warna ham isse apne case ke related me koi baat nahi kar paayenge.

Kunal: Baat to tum sahi keh rahi ho lekin hame pata lagana padega ki ye ab  Indore me kahaan hai jo ki obviously kisi ko pata nahi hai.

AK: Mere paas ek idea hai jisse ham ise pakad sakte hai.

Kunal: Kya?

AK: Is article me bataya gaya hai ki ye apna appearance change karke aise jaghon par ja raha hai jahaan teenagers ho aur wo apna kaam aasani se kar sake. To kyun na ham un saari teenage based parties ya events ke baare me pata karein jo yahaan aane wale dinon me hone wale hai and I am sure ki wo apna kaam karne unme se kisi ek party me to zaroor aayega aur ham use wahaan pakad sakenge.

Kunal: Great idea! Mai apne team se baat karta hun aur un events ki saari information nikaalne ke liye kehta hun.

AK: Hope ki ham us tak jald hi pohonch sake.

Kunal: Zaroor hoga. Chhoti, abhi ke liye wo sab chhod aur tu mujhe ye bata ki tu jaanti tha na ki Maasi aur Uncle Indore aa gaye hai.

AK: Ha, mai Ahaan ke birthday wale din aapko wahi batana chahti thi lekin...

Kunal: Tu ne Ahaan ko unke saath kyun bhej diya. I know ki zaroor koi baat hai warna tu itna bada kadam kabhi nahi leti. Bata baat kya hai?

AK: Bhai, mujhe is baare me koi baat nahi karni.

Kunal: Lekin....

Before he could ask her she left the cabin not wanting to discuss anything else regarding that matter.

An AKSHAN Story- Journey From Him, To Him.Where stories live. Discover now