FIRST MEET

1.4K 120 59
                                    

LUCKNOW

HAPPY HEART ORPHANAGE

A home for many  , among this were two girls ,who found their home here and family in each other's company..

Haseenaa: Santu ,tujhe pata hai jese hi meri naukri lagegi na mei teri ache art institute mei admission karwa dungi

Santosh: mei esi hi thik hu di,hamare college mei bhi architects ke liye bohut courses hai,aap bas apne sapne par focus Karo aur SHO ban jana ,aur rahi baat salary ki voh toh aap rehne hi do ,voh toh aap sara donate kar dogi ,jese aab apne kaam se mile paise karti ho

Haseenaa: tum janti ho na ,hume mumta ma ne pyar Diya , Parivar diya par sab itne khush naseeb nahi hote hai,mei bas un bacho tak unke hisse ka pyar aur madat pochana chahti hu,jo hume mila voh unka bhi hak hai ,unki ek pyari muskan sare dard mitta deti hai ,yaad rakhna hum bhi unke jagah the*loner tear escaped*

Santosh: mei apke sath hu ,har kadam par ,aur jo apka sapna hai na ek bada home kholne ka sab bacho aur zarurat mando ke liye voh jarur pura hoga dekh kena *embracing her*

SINGH MANSION

Ragini: aaj anu vapas aah Raha hai ,mera beta vapas aah Raha hai*overwhelmed*iss bar voh Singh Industries ki jimmedari le lega apne pita ki mehnat ko age le jane ka Jima uthayega,sath mei DSP  ka paad bhi sambhalega...uske atut mehnat ka fal hai ishwar meri bete ki khushiyon ko kisi ki Nazar na Lage..

Karishma: ma anu bhaiya ke Ane ka vakt ho gaya hai jaldi*loudly*

Pushpa: aur yeh lalla kaha reh gaye

Veyom: yahi hu amma ,sari tayari dekh raha hu ,mera dost jo vapas aah Raha hai

Cheetah: mama kaha hai ,nani ne kaha hai voh baad mei aah jayegi

Ragini: ma ko Aram karne do vese bhi unki tabiyat*sad*ek kaam karte hai anu ke Ane ke baad , orphanage jate hai,ishwar ne hame sab kuch diya hai,hamara anu laut Raha hai ,hum vaha bacho ki madat karege kuch donation aur alag chize jo unke kaam aah sake voh lete jayenge , un bacho ki duwaye aur ishwar ka ashirwad hi hai jo hamara pariwar itna sab hone ke baad bhi sambhal gaya

STREETS OF LUCKNOW

girl wearing blue kurti and white plazo ,her eyes carried innocence,love , pain and spark to complete numerous dreams  was running across the street in a hurry ,when she got hit by a passing car...

Anubav: aap thik hai *giving a sharp look to the girl*

Haseenaa: jara dyan se ,hamare jagah koi aur hota aur use chot lagjati toh ,aur voh Jo

Anubav:janta hu ( interrupting her),tumhe jo chot lagi hai uske paise chaiye taki tum marham pati kar sako*sarcastic* kitne chaiye *looking at her from top to bottom*.

Haseenaa: apka matlab kya hai*confused*hume koi cho*cut by him mid-way*

Anubav: tum jesi ladkiyo ko ache se janta hu mei*angryly*ese harkate janbujkar kiye jati hai taki paise mile *gritting his teeth*sab ek jese hi hai

Haseenaa: dekhiye janab shayad apko mansik roop se dikkat hai toh uska ilaz kijiye , dekhne mei samjhdar lagte hai par apki bate ,bina hume Jane app ne hamare bare mei Rai bana li voh bhi itni ghatiya,apko hum lalchi lagte hai jo chant paiso ke liye janbujkar apni jaan khatre mei dalkar apke gadi ke samne aah gaye*pissed*

Anubav: tum sikhaogi mujhe ki kiske bare mei kya rai banao,aacha tumhara maana hai tum Jaan bujkar nahi takraye toh fir chote kaha hai,tumhe toh kharoch bhi nahi aye hai ,iska matlab sab socha samjha hai,are tumhe dekhar koi bhi kahega tumhe paiso ki jarurat hai*angryly*bolo kitne paise chahiye ,bekar mei Mera samay vyart mat karo

Haseenaa: apki himmat kese hue ,hame paise dene ki ,hum bikaoyo nahi hai,apko kisne adhikar diya hume judge karne ki ,hamare charitr par chap lagane ki ,hum garib hai par majboor nahi ,chor nahi aur nahi hi lalchi aur mokha baras toh bilkul bhi nahi *hurt*itni ghatiya soch rakhte hai aap kamse kam itni toh izzat kar dete insaniyat ke nate ,iss vakt apki muh par hamari jhuti hoti,par hamare Abu ke sanskar nahi hai kisipar hath uthana aur unpar toh bilkul nahi jiske vajah se hum bhi unke jese niche gir jaye.. dua karte hai hum apse kabhi na mile ,khuda khafiz*waking away*

Anubav: yeh bhi vesi hi hai,bas masoom si shakal aur apne bato ke jaal mei fasana chahti thi,dubara iski shakal na dekhna pade  *slamming the door*

HAPPY HEART ORPHANAGE

Haseenaa : kese uss ghatiya admi ne hume bikao samjha kese*crying*hum Rona nahi chahte abbu par kya kare ,hum thak chuke hai aur bardasht nahi hota , bachpan se log hume alag naam ,gandi Nazar aur pata nahi kya bura keh jate hai ,ese chizo ke liye dosh dete hai jo hamne kiya hi nahi kyu abbu*crying*hume logo se farak nahi padna chahiye jante hai par hum bhi insan hai hume bhi bura lagta hai ,bina galti yeh kesi saza hai allah*searching for hope in the blue sky*

Santosh: di ,apko pata hai na Aaj Ragini aunty ane wali hai

Haseenaa: ha*wipping her tears*ammi jesi hai voh hamare liye aur karishma bhi toh Ane wali hai*happily*

Santosh: acha voh bhi mei toh bhul hi Gaye thi*frowning*suna hai anuty ka bada beta Ane wala hai

Haseenaa: bilkul anuty jesa hoga ,uncle kitne ache hai ,unhi ki parchaye hoga dekhna,unki family Wale bohot neek dil aur ache log hai ,vese cheetah bhi Ane wala hoga na*teasing*

Santosh: ha toh mei kya karu ,mujhe painting complete karni hai mei jati hu*running down*

                                             R.M.G❤️

Here you go guys ,the first part of the book,Hope you like it ,it's just the beginning....Do like and comment your views they really motivate and convey your opinion ..Next part will be posted depending on the response to this part ...Do you guys want a precap or let it be a surprise

Guys I have changed my pattern of typing so it's easier to read and secondly I have reduced the number of words so I can update more often as lengthy writting takes many days and with college being offline time is not in favour....

BIG THANK YOU TO DHANISKA FOR MAKING A BEAUTIFUL COVER FOR THIS STORY ❤️❤️Dhanya_0276

Anubav and haseenaa do not  wish  to see eachother ever again will destiny go by their wish or it has many things to unfold..Will they meet again??

Like✳️ comment 👇 follow 🙌

Love Heals ( anuseena)✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें