Days started to pass Everyone took the great care of Guddan and Durga after sometime Vikram came to meet his sisters
Revati:-Bhai aap aa gaye
Vikram:-Haan revati aur hum apni dono beheno se milne aaye hai aur sab ko yeh batane aaye hai ki humne yaha se pass me hi ek ghar le liya hai
Guddan:-Phir toh hum roz aapke pass aaya karenge
Vikram:-Bilkul per iss halat me nahi hum khud aaya karenge aapse milne
Guddan:-Thik hai
AJ:-Guddan tumhari medicines ka time ho gya yeh lo
AJ gives Guddan medicine and gives her favorite aloo paratha
Guddan:-aloo ka paratha
AJ:-Aur batao Vikram kaam kaisa chal rha hai
Vikram:-Maata rani ki kripa se sab accha chal raha hai AJ
AJ:-Koi naya kaam mila
Vikram:-Ji ussi k silsile me Yahi pass me ghar liya hai
AJ:-chalo achii baat hai
Revati:-Maa ji,Jiju mai kya soch rhai thi ghar me ek pooja rakhte hai
Dadi:-Haan sahi keh rahi hai Revati kyuki Guddan ka doosra mahina poora hone ja rha hai aur Durga bahu ka bhi 3ra mahina poora ho gya hai toh ghar me ek pooja rakh lete hai
Vikram:-Sujhav toh accha hai Maa lekin yeh Pooja rakhengi kab aap
Dadi:-Pandit ji se maine baat karli hai unhone bola ki kal ka muhurat thik rahega puja k liye aur pooja din me hi rakhenge taki shaam me dono ko aaram krne ka mauka mil jaye
AJ:-Thik hai maa pooja ki taiyari zyada nahi simple karte hai aur bass ghar k log hi honge puja me aap janti hai ki nazar lagane wale bht hai
YOU ARE READING
When Akshan met Kaira
RomanceAJ and Guddan goes for a trip to udaipur and there they met kartik and Naira who made akshan realise their love Cover by:-@sahni_2007