•|yeh HAMARA pyaar hai|•

594 60 28
                                    

Next day....

Haseena (talking on the phone) - ji sir..ji sir...hum bas 10 minute me pahuchte hai...

She hung up the call and then dialled  anubhav...

Haseena - anubhav bilkul plan ke mutabik hi ho rha hai jaisa humne socha tha...aapko pura yakeen haina ki in sab ke piche unhi ka hath hai?

Anubhav - shat pratishat...humne aapko pehle bhi bataya abhi bhi bata rahe hai hum inke movement par bahut samay se nazar rakh rahe the aur hume pura yakeen hai yehi hai asli gunehgaar!

Haseena - ji..thik hai phir plan shuru karte hai...

Anubhav - Jai Hind!

Haseena - Jai Hind!

Haseena was standing with bakshi who was disguised as a balloon seller...

Bakshi - to kya pata chala aapko miss malik anubhav singh ke baare me...

Haseena - yehi pata chala sir ki hume har baar dhoka milte aaya hai...aur aaj hum uss shaks ke khilaaf sara badla nikal kar rahenge...

Bakshi smirked..

Haseena - uske karan hume apne parivaar ko itna dukh pahuchana pada...zinda hokar bhi marna pada...humne pehchan kho di apni! Pata nahi kabse ek dohri si zindagi jee rahe hai...(she said all this gritting her teeth looking as bakshi)

Bakshi - haash aapko samjh to aagaya ki aap kitni galat jagah apni saari umeede aur vishwas laga kar baithi thi...

Haseena - samay laga sir par ab sab kuch humare aankho ke samne saaf saaf hai...(with a slight smirk)

Bakshi - to kya socha hai aapne phir kaise pakdengi anubhav singh ko?

Haseena - sochna kya hai sir...humne already unhe apni giraft me rakha hai...

Bakshi - kya? (Shocked)

Haseena - Ji haan..

Bakshi - thik hai hum yeh khabar IB me de denge...jai hind..

Haseena - sir...itni bhi kya jaldi hai...anubhav aapke under kaam karte the aap janana nahi chahenge unhone aisa kyu kiya? (Smirked)

Bakshi - aur kya wajah hogi wahi paiso ki lalach me acche acche badal jaate hai...(fumbling) tumne kaha band karke rakha hai use?

Haseena - sir vo hum aapko nhi bata sakte...aap usse milenge to pata chal jaayega..

Bakshi - thik hai phir chalo..

In a dark room...

Anubhav was tied with a chair...blood was oozing out from the corner of his lips...his eyes were flashing with dominance...

A door in that room opened...and Bakshi and haseena entered...

Haseena - sir yeh rahe THE ANUBHAV SINGH

Bakshi - anubhav yeh tumne bilkul thik nhi kiya...apne desh ke sath yu gaddari karte hue tumhe bilkul sharam nhi hai...(fake anger)

Anubhav - sir jab khudke desh me sapole bhare pade rahenge...to ek aur judne se kya farak padega (smirked)

Bakshi - miss malik aap thane jaiye...aage ki formalities hum puri kar denge...

Haseena - Ji sir..

Haseena nodded slightly towards anubhav and he nodded back which went unnoticed by Bakshi

Haseena - Jai hind sir!

Bakshi - jai hind!

Haseena left!

Bakshi - to batao kon kon mila hai tumhare sath...

Anubhav - itni bhi jaldi kya hai...dhire dhire sab pata chalega...thoda sabra to kijiye..

Bakshi - sabra karne ke liye waqt nahi hai humare paas...isliye jaldi batao...(loudly)

Anubhav - kyu 500 crore lene jaane ke liye der ho rhi hai (Bakshi's face went pale) are are shreeman ye kya aapke chehre se to rang hi us gaya..(laughing)

Bakshi - k...khena kya cha..chahte ho tum? (Fumbling)

Anubhav - wahi jo aap samjh rahe hai...(seriously) humse hath mila lo nahi to agar hum pakde gaye to tum bhi pakde jaaoge (laughing)

Bakshi - dekho galti se bhi aisa nhi karna hum tumhare senior hai...(scared)

Anubhav - tch tch abhi bhi wahi senior junior ka khel...agar tum nhi chahte tumhara pardah faash ho to hume bhi iss jhamele se nikalo..(seriously)

Bakshi - tum...tum itna yakeen ke sath kaise bol sakte ho in sab ke piche humara hath hai...(fumbling yet faking to be serious)

Anubhav - hum kya kar sakte hai aur kya nahi yeh to aapse behtar koi nhi jaanta Bakshi sir aakhir kayi bade bade mission ko anjaam diya hai humne (smirked)

Bakshi - thik hai thik hai hume manzoor hai...hum tumhe yaha se bachaenge badle tumhe humare khilaaf saare saboot delete karne honge...

Anubhav - kholo hume...(ordered)

Bakshi looked at him surprisingly and then did as he said...he opened his ropes and freed him..

Anubhav - hmm...bahut kas ke bandha tha haseena Ji aapne...dekhiye rasiyo ke nishaan pad gye ( he said loudly)

Haseena (while entering) - maaf kijiyega sir...par agar hum nhi bandhate to shak ho jata...

Anubhav - hmm..hum samjh sakte hai...

Bakshi - haseena malik tum? Tumhe to humne bhej diya tha na?

Haseena - sir hum apki nazaro se gaye the is jagah se nahi (smirked)

Anubhav - haa to mr.ajay bakshi kaisa anubhav hua aapko desh se gaddari karke...

Bakshi - anubhav tumne hume dhoka diya hai ye sahi nhi hai...humne tum par vishwas kiya tha..

Haseena - aur tum jo desh se gaddari kar rahe the wo dhoka nahi tha? Desh ne kitna bharosa karke aapko desh ki aur desh ki janta ki raksha karne ka dayitva diya tha uska kya?

Anubhav - aur aapke karan jo har baar hume apne parivaar se dhoka karna padta tha uska kya Mr. Ajay Bakshi..(angrily) humne har baar aapki baato me aakar khudko aur jo humse pyaar karte hai unko chot pahuchaya hai.....

Haseena - aapke karan humne apne hi parivar ko apne marne ke gam me dubte hue dekha hai...bahut koshish ki thi aapne hume bhadkane ki...par hum jaante the anubhav kuch bhi ho sakte hai par gaddar nahi...(tears formed in the corner of her eyes)

Anubhav - jis pyaar ho aap kamzori maante haina usi pyaar ke karan aaj desh itni badi musibat se bacha hai...sirf vo hi thi jinhe humpar pura yakeen tha...aur aakhir me YEH HUMARA PYAAR HAI...jiske karan hum itni badi samasya ko itni asani se hal kar gaye..

Haseena - ab tumhara khel khatam hai ajay Bakshi...ab aaram se apni puri zindagi aisho aaram ke sath jail me bitao (she handcuffed him and sent him with the force which was waiting outside for backup)

Anubhav - haseena Ji..

Haseena - humne kar dikhaya anubhav...(she hugged him tightly)

Anubhav - hum dono ne apna wada pura kiya ( endless tears flowing from both of their eyes)

She raised her head and looked into his eyes...he kissed her forehead and let his lips linger over there for a longer time...she closed her eyes and an endless stream of tears of joy flew from their eyes..

The End ❤

Here's another update...I had written it a long time back...and forgot to post it 😅🤦‍♀️ I had just opened this book and saw that this was not published...so here it is and sorry for delay...meri galti i know 😭😂

Drop down some ideas if you have some cause I don't have anything for a short 😗

Defining Love ❤Where stories live. Discover now