Flashback...
Maid was cleaning anubhav's room ...when she found haseena's picture...a picture which is looking perfect...open hair, light lip balm, kurta plazo and dupatta...she took the photo and ran towards hall...
Maid-didi...didi...(maid came running down in hall)
Lady-haan sunita...kya hua itna bhaagkar kyun ayi...(lady asked in a heavy tone)
Maid- pushpa didi...ye dekhiye kya hain...
Pushpaji looked and the photo and her lips broke into a curve smile...she took the photo and stood up caressing it lovingly...
Pushpaji-kon hain ye pyaari bacchi...kaha mili ye photo tumhe sunita...badi pyaari muskan hain iski...(looking at her photo)
Maid-ye photo mujhe anubhav bhaiya ke kamre mein mila...mein cupboard saaf kar rahi thi tab bhaiya ke book mein mila...
Pushpaji-thike...tum jaao mein dekhti hun...(maid went away) kitni sundar hain ye ladki...shayad Av ko pasand hain ya ladki...(after a pause) pehli baar iss ladke ne acha kaam kiya hain...
When harsh entered in bunglow...harsh went near pushpaji and seek blessings...
Harsh-kaisi hain aap aunty...
Pushpaji-mein thik hun beta...tum kaise ho...
Harsh-mein thik hun aunty...mein woh Av se milna aya tha...usse kuch baat karni thi isliye...
Pushpaji-woh toh ghar nahi hain beta...tum ruk jaao aajayega thodi der mein...
Harsh-Okay aunty ji... hum ruk jaate hn fir....!
Pushpaji-acha beta...ye ladki kon hain tum isse jaante ho....(pushpaji asked while showing haseena's photo)
Harsh-Haan....jaante h.... Haseena h vo.... aur Anubhav ke patni....
Pushpaji-Anubhav ki patni...shaadi kab ki iss ladke ne...ki toh ki hume kyun nahi bataya...(pushpaji asked)
Harsh-Shaadi bhi huyi....aur divorce bhi....(Harsh said in a low tone)
Pushpaji-Divorce...(pushpaji exclaimed)
Harsh-Ji.... Auntyji... Harsh said...!
Pushpaji-Par kyun...itni pyaari, khubsurat ladkise divorce kyun...(pushpaji asked)
Harsh-vohi janne aya hun Auntyji....(Harsh got up)lijiye Av bhi aa gaye...
Pushpaji-Av...tumne haseena se shaadi ki...(pushpaji asked anubhav who came and sat on sofa)
Anubhav-Haan.... kiya tha.....!!
Pushpaji-Toh divorce kyun diya usse...(pushpaji asked loudly)
Anubhav-Uska guroor todne ke liye....(Anubhav said)
Pushpaji-Kaisa guroor...anubhav tumhein iss situation ka seriousness pata chal raha hain...(pushpaji said loudly)
Anubhav-Nahi chal raha h... aur maine jo ki.... sahi ki h....(Anubhav said)
Pushpaji-Anubhav....(pushpaji slapped him hard)
Anubhav-Ma.... (Anubhav looked at shock)
Pushpaji-Anubhav tum bhi apne baap ke kadam par chal rahe ho...tumse ye ummid nahi thi...(pushpaji shouted)Anubhav-Ma.... Main papa ke kaadam pe nahi chal raha hun.... Dono case alag h...
Pushpaji-Dono case alag ho par dono ne diya toh ek hi na 'dhoka'...(pushpaji said)
Anubhav-Maine use dhoka nahi di h.... uske guroor toda h.....!!
Pushpaji-Par tumne uska guroor todne keliye usse pyaar ke jaal mein toh fasaya na...isse hi 'dhoka' kaha jaata hain Mr.Anubhav Singh...(pushpaji said loudly)
Anubhav-Ma.....!!!!
Pushpaji-Khabardaar hume maa kaha toh...khabardaar...(pushpaji warned)Anubhav nodded n looked at Harsh...and harsh turned away his face in disbelief...
Pushpaji-tumhe shaadi ka matlab bhi pata hain anubhav...(pushpaji asked)Anubhav-Kya h apke liye shaadi k matlab....
Pushpaji-shaadi ek vachan hota hain...usme jo agni hoti haina woh tumhare pyaar ki witness hain...jo 7 phere lete ho woh sirf phere nahi balki 7 vachan hote hain...
Anubhav-Main yeh sab maanta nahi...
Pushpaji-toh iss gharse abhi ke abhi dafa ho jaao...(pushpaji said)
Maa..... Anubhav was stunned...!!!
Pushpaji-haan kyunki hume aisa beta kabhi nahi chahiye tha jo ladkiyon ko dhoka de...guroor todne keliye shaadi jaise pavitra rishtey ka tareek apnaye...(pushpaji said with tears)
Theek h.... agar yeh apke faisla h.... hum aaj hi chale jaate h yeh gharse...
Pushpaji-aur bhul jaana tumhari koi bhi maa thi...(pushpaji said)
Maa.... Anubhav looked at Pushpaji with brim eyes....
Anubhav abhi bhi moka hain...iss bacchi ka masoom chehra dekho...usse woh dard mat do jo abhi hum seh rahe hain...usse akela mat chodo...please...chahe toh hum tumhare per padte hain...(pushapji said while showing him photo)
Mujhe nahi dekhna.... na sunna kuch.... apna khayal rakhiyega ma..... ate h..
Bhai sun...harsh stopped him...
Bol.... Anubhav looked back...
Mat kar aisa jisse tujhe puri zindagi pachtana pade....please usse waapas laa de...haseena bahut achi ladki hain tere liye...harsh said keeping his hand on anubhav's shoulder...
Anubhav passed a smile... vo ab possible nahi h....
Acha thike...tu...tu sirf mein jo kahunga vaisa karega...harsh said...
bol.....
Ek...baar sirf ek baar...aankhein band kar aur apne dil par haath rakh...harsh said...
Hmm....Anubhav did as told
Aur dil se puch kya haseena ne tumhe kabhi dard diya hain...kabhi aisa kaam kiya hain jisse tujhe rona aye...kabhi tujhse unchi awaaz mein baat ki hain...kabhi pyaar ke bajaye dhoka diya hain...
Nahi.....Anubhav said opening his eyes
Puch apne dil se ki kya tu usse pyaar karta hain...harsh said...
Nahi....Anubhav opened his eyes with a jerk!
Harsh smiled...bhai tu karta hain bhabhi se pyaar...
Nahi karta main....bakwas h yeh sab aur kuch nahi...
Harsh-bhai tere chehre pe dikh raha hain sach aur jhoot...tu karta hain bhabhi se pyaar...aur yahi sach hain aur iss sach ko tum hi kya koi nahi badal sakta...harsh said smiling....anubhav looked at him and left the house...
Harsh-Aunty mein usse samjhata hun...harsh said and left behind anubhav....
.
.
.
.
.
Tadaaaaa tadaaaa
Chapter over...
Plz vote aur comment karna...
YOU ARE READING
Hum juda hokar bhi yaadein humare saath hain ✔
RomanceKya hota hain jab hum kissi se beintahaan mohabbat kartey hain par uske kuch saal baad hum ussi insaan se nafrat karne lag jate hain...inki bhi kahani kuch aisi hain... Kya Anussena ek ho payenge...?? Pyaar ki nishaani inko ek karengi...??