Supporting Partner

672 45 16
                                    

Hey guys
I hope you all this story

Aunties became shock after saw Avu's mehndi.
A-1: he bhagwan, ye kya apshukan ho gaya function me
VA: ji aap log ye kya bol rahe hai
A-2: pehle Avneet ki mehndi dekhie aur phir kuchh kahiye
A-3: jisne apne hatho me apne hone vale pati ke name ki jagah aapke hi suputr ka name likhvaya hai
A-1: tujhe sharm nahi aati apne pati ke alava kisi aur ka name likhte hue
A-2: aur nahi to kya
A-3: tujh jeisi ladkiyo ko ham bohot achchhe se jante hai, ek sath do do ladko ke sath ghumti hai peiso ke chakkar me

Ad(Avu's dad): bas kijiye aap log. Kuchh bhi anab-shabab bole ja rahe hai. Jeisa aap log bol rahe hai, meri beti veisi bilkul nahi hai. Aur ha bhagvan ki krupa se hamare pass peiso ki kami nahi hai. Apne papa ka itna bada business hone ke baavjood bhi vo apne kharche apni salery me se karti hai. Vo atmanirbhar hona chahti hai kisi pe nirbhar nahi. Aur mujhe apni beti pe garv hai. Khud se bhi jyada bharosa hai apni beti pe

Abhi: aap log bhul rahe hai ki aap India ke richest businessman ki behen ke baare me ye sab bol rahe hai. Uska bhai jinda hai abhi. Aur vo uski saari demands puri kar shakta hai. Aur me apni behen ko achchhi tarah se janta hoo. Isiliye aap logo ko Avu ka cherecter certificate banane ki jarurat nahi hai. Mujhe bhi apni behen pe garv hai.

A-2: mana ki aapko bharosa hai apni beti pe aur aapko apni behen pe. lekin jo ham sab abhi yaha dekh rahe hai Siddharth ka name vo to fake nahi hai. Ma(Mehedi artist) aise hi to nahi likhegi na kisika bhi name, jarur Avneet ne hi to kaha hoga Siddharth ka name. Agar ye ladki shadi ke baad Adaan ko chhod ke bhag gai to

Sid:(cut by Adaan)
Adaan: dekhiye mujhe Avu pe pura bharosa hai. Please aap hamari chinta mat kijiye. Aapko yaha pe function enjoy karne ke liye bulaya hai to vo kijiye. Kisike cherecter ko judge karne ke liye nahi bulaya aapko. Koi misunderstanding ho gai hogi jo Avu ke hath pe Sid ka name hai. Aap log is masle se door rahiye, vaha pe food counter hai jake khana thusiye(khaiye)

Then all aunties left in anger.
Adaan's mom: what is this Adaan? Vo hamare relatives the. Tum unse eise keise baat kar rahe the?

Adaan: dekha nahi mom apne vo Avu ke baare me kitna kuchh galat bol rahe the
Rits: bro, well done.

Am: tu bhi apne bhai ko support kar

Avu: Adaan, aunty sach bol rahi hai. Vo tumhare relatives the. Tum itni rudely baat nahi kar shakte

Am: ek tu hi hai jo mujhe samajti hai. Dekh beta kuchh log hote hai jo hame kuchh bhi bolte hai lekin phir rishtedari ke nate hame sunke ansuna karna padta hai

Adaan: unbelievable

Sid: vo eisi hi hai, koi use kuchh bhi galat bole use to vo palat kar javab nahi deti lekin agar koi uske kareebi logo ko pareshan kare to vo khunkhar Sherni banne me time nahi lagati.

Adaan: tum Avu ko kitni achchhi tarah se jante ho, kabhi tumhe nahi huaa Avu se pyar

Sid: kya bol raha hai yaar tu. Ham dono sirf achchhe dost hai. Bhai bohot nakhre hai uske, bohot jhela hai meine use ab teri baari.

Adaan: lekin tu jeisa bol raha hai, vo veisi to nahi hai. Vo ekdum shant, sanskari, bado ki baate shanti se sunne vali like tv serial ki perfect bahu jeisi hai

Sid: bhai, tu sach me Avneet ko puri tarah se nahi janta. Shant hai vo lekin sirf 20%. Jo log uske karibi hai, jiske sath vo comfort feel karti hai uske samne to ye chatterbox hai. Ek baar baat karna shuru hoti hai ki bandh hone ka name hi nahi leti. Sanskari hai lekin jab baat apno pe aajaye to sab kuchh bhul ke khunkhar Sherni ban jati hai. Apni duniya me mast, broad minded, jhagde to bohot karti hai. Kai baar apne bade bade nakhun se katl bhi karti hai. Majak kar raha hu katl nahi karti.

Adaan: bhai tune to Avu pe pura essay hi bol diya.
Sid: bhul gaya kya Anu aur Avneet best friend hai aur Anu meri behen hai so me Avneet ko achchhi tarah se janta hoo.

Then Rits came towards them.
Rits: Sid, Adaan mujhe tum logo ko kuchh jaruri baat batani hai....................

Then Mehedi function is over.

So guys,
That's for today
How was the chapter?
Tell your reviews in comments
Do votes and comments
Are you excited for,
  "kabhi nahi dekhi hogi esi shadi"
Haldi ceremony vala part chahiye aap logo ko ya skip karu? Give me suggestion
Your author,
Urmi

love with best friend's brotherWhere stories live. Discover now