chapter 8

883 66 12
                                    

Author pov
Wo charo mandir pohoch gaye our dekha ki unke parents unka wait kar rahe hai

Prachi- itni der kyu lagadi ham log kabse wait kar rahe the

Jia- mom aaj mahashivratri hai apko lagta hai koi dukan open hogi kitni mushkil se sara saman mila

Sakshi- ab ye sab chhodo our andar chalo hame pooja bhi karni hai

*time skip after 2 days*
At malhotra house

Doctor- dekhiye apke heel ka bone crack hogaya hai our calf pe bhi thodi chot ayi hai to apko kamse kam ek hafte ka bed rest karna hoga ye medicine apko 3 time khane ke baad leni hai our is oil se raat ko sone se pehle massage karni hai ok

Sakshi- ji doctor

Doctor- ab me chalta hu agar per me jyada dard ho to mere clinic ajana

Abhay- chaliye me apko bahar tak chhod deta hu
*leave with doctor*

Kabir- mummy kitni baar kaha hai ese jaldi jaldi me kaam mat kiya karo tod diya na apna per

Sakshi- tu mujhe daat mat isme na teri bhi galti hai

Kabir- mene kya kiya
*frown*

Sakshi- our nahi to kya agar tu phone me chipka hua na hota our meri thodi madat kar deta to me bathroom me fisalti hi nahi our mujhe chot bhi nahi aati

Kabir- *shocked face* me jaraha hu vapas doctor ko bulane fisalne ki vajah se apke dimaag me bhi chot lag gai hai kuchh bhi bol rahe ho

Sakshi- matlab ab me complain bhi na karu haaye ram mera to koi hehi nahi is ghar me kaha jau kisko sunau apni dukh bhari dastan
*fake crying face*

Abhay- wow amazing apko starplus me kam jarur mil jaye ga
*leaning against the wall*

Sakshi- *stop* lekin ab breakfast, lunch and dinner ke khane ka kya

Kabir&abhay- ham bana denge

Sakshi- HIMMAT BHI MAT KARNA ME KITCHEN ME GHUSNE KI

Kabir&abhay- *flinched* lekin kyu

Sakshi- ek saal pehle jab me bimar hui thi tab tum dono ne yahi kaha tha ki aaj ham khana banayenge badme kitchen jala diya tha mujhe dubara esa risk nahi lena kya pata is baar ghar hi uda do

Kabir- to prachi aunty ko boldu

Sakshi- wo apne maike gai hui hai jia ke sath unki maa ki tabiyat kharab hai

Abhay- to y/n ko boldeta hu

Sakshi- use pareshan karne ki kya jarurat ham bahar se bhi order kar sakte hai

Y/n- aunty isme pareshani ki kya baat aap rest karo me khana bana dungi
*she said and entered in the room*

Kabir- tum yaha kya kar rahi ho our andar kese ayi

Y/n- apne pero se *glare*
Wo aunty me chini lene ayi thi door khula tha to andar agai and sorry mene aap logo ki bate bhi sunli

Sakshi- isme sorry ki kya baat ye tumhara bhi to ghar hai tum jab chahe aa sakti *smile*

Y/n- hmm mera bhi ghar hai ye bolte ho phir pareshan kyu karna bolke paraya kar dete ho esa kese chalega
*fake scolding*

Sakshi- achha baba sorry
*hold her both ears*

(bhai sahab ye kuchh jyada hi nahi ho gaya😐 kya matlab mene hi likha hai🤨)

Y/n- *smile* abhi to 9(am) baje hai mujhe time bata dijiye me Kitne baje aau khana banane

Sakshi- idhar aao me tumhe sab samjha deti hu
----------------------------------------
Tbc 💜

𝗞𝗲𝘀𝗮 𝗜𝘀𝗵𝗾 𝗛𝗮𝗶 || 𝑪𝒐𝒎𝒑𝒍𝒆𝒕𝒆Where stories live. Discover now