Car approaches the hostel and stops. Which awakens Ranbir and he sits up uncomfortably, struggling to open the eyes, while Prachi is still asleep.
Ranbir: Pohoch gaye ghar?
Aryan: Nahi bro, Prachi ka hostel hai, use pehle drop karenge na...
Ranbir: Prachi?.. wo kahan hai?
Aryan: Haan, piche so rahi hai...dekh.
Ranbir turns back and sees Prachi sleeping on support of the side door of the back seat.
Ranbir: Ye soti huyi kitni achi lagti hai, bilkul shaant...jaise hai hi nahi.
Itni shanti thi ki mujhe laga hi nahi ki ye humare sath hai, warna toh iski Chikchiki pehle aati hai aur ye baad mein.Aryan: Haan bro, wo sab baad mein bolna abhi utha use...ghar chalte hain jaldi mujhe bhi nind aa rahi hai...
Ranbir: Jaane de yaar, chup chap baithi hai kitni achi lag rahi hai, aise hi rehne de...tu bhi dekh, aisa roz roz dekhne ko nahi milta...shant Prachi...waah!
Aryan: Mujhe nahi dekhna bhai, Tu hi dekh....aur ek min tu bhi kyun dekh, utha na bhai use..ghar jana hai raat bhar se drive kar raha hun nind aa rahi hai bro..
Ranbir: Pch!!! Kya yaar tu...uthata hun..
Yaar!!
Aryan: Ab kya hua?
Ranbir: Main iski ek photo le leta hun..
Aryan: Tu kya pagal ho gaya hai...agar use pata chala ki tune sote huye uski photo li hai tab tu gaya...!!
Ranbir: I know kisi bhi ladki ki photo bina permission lena galat hai...but bro..this is once in a life time opportunity!! Le leta hun. Please.
Aryan: le bhai jo karna hai jaldi kar, pleaseeeeee...
Ranbir lovingly takes a picture of prachi and saves it. Ranbir gets out of the car and opens the back door, as soon as he opens it, Prachi falls on his chest.
Ranbir: Arey! Prachi?..Prachi utho...Chikchikiiii?!!
Yaar Aryan ye toh uth hi nahi rahi hai!!
Aryan: Ruk main paani le kar aata hun. Tab tak tu use uthata reh.
Ranbir: Haan OK.
Prachi!!! Prachi please utho..tumhara hostel aa gaya hai....
Matlab hum tumhare hostel aa gaye hain.Prachiiiii!! ( Shaking her harder & gnashing in anger )
Hey bhagwan! ( He rests his hands on her shoulder and takes a deep sigh )
Meanwhile Prachi opens her eyes and finds Ranbir holding her. As soon as she realizes that, she abruptly gets off him.Ranbir screams!!
Aaahhhh!!Prachi: Kya kar rahe the tum?!! (Asks angrily)
Ranbir is standing scared.
Ranbir: Main toh tumhein utha raha tha but tum kya kar rahi thi?!
Prachi: Mera sar apne seene pe rakh kar uthane ka kon sa tarika hai?!
Ranbir: Ooo genius! Car ke door par latak kar tum so rahi thi, darwaza kholte hi afat ki tarah mujh par giri tum, agar pakadta nahi toh beh jaati niche..
Itne der se hila hila ke utha raha hun but behosh ho ke so rahi ho...aur jab maine uthana chod diya toh aise achanak se bhoot ki tarah uth gayi..Baar baar apne bhoot hone ka saboot deti rehti hai..Hey bhagwan kahan mil gayi ye mujhe?!
Prachi: Bhoot toh tumhare sar par sawar hai flirting ka...aur tumhein itni bhi sharam nahi hai Aryan ke saamne tum mujhe...(turns back to Aryan)

आप पढ़ रहे हैं
PranBir: Ek Duje Ke Vaaste
Fiksi PenggemarThe story revolves around love between two people, who are brought together by fate. Ranbir, a happy go lucky guy, is a college stud and the only son to his family the Kohlis ( Hotel & Music Industrialist ). Ranbir doesn't believe in love, thinks al...