7. درد

583 33 8
                                    




woh khamoshi se use dekhta hua bed per laita hua tha. Uski nazre baar baar apne samne bethi us larki pe jaati jo uske liye bohat ehem thi. Jo uskeliye saans ki tarah thi.

"Miraal kyun mu phula kar bethi ho"

Woh paass stool pe bethi use dekh ke kahe bagair reh na paya. Miraal jo ab bhi usi halat me wahan bethi thi beyhad khamosh aur udaas nazar aa rahi thi jo ke Kabir ko bilkul acha nahi lag raha tha.

"Aur kya karun main? Hasun ya nachun?"

"Bas gussa na karo baki jo karna hai tumhari marzi hai."

WOh bola to Miraal ne ankh ke kone se use ghoora.

"Gussa nahi hun main bas dil bechain he...yeh itne din ki thakawat jese abhi nikal rahi hai."

Woh boli Kabir ne ankho me narmi liye use dekha.

"Ghar jao Miraal rest karo main ab theek hun bilkul tumhare samne hoon"

Miraal ne gehra saans bhar ke sar uthaya aur gardan halki si mor ke use dekha. Ahista se stool paas khench ke uske baalo me haath narmi se pherne lagi.

"Mera sakoon wahin hai jahan tum ho Kabir Khan...jahan tum nahi wahan koi sakoon nahi"

Kabir use dekhta raha phir ankhe zor se bheenchi to Miraal pareshan hui.

"Kya hua he dard ho rahi hai kahin?"

Kabir ne ankhe bheenche hue hi sar kham kiya.

"Kahan?? Main doctor ko bulaa ke aati hoon tum-"

"I wish doctor ke paas hota is dard ka ilaaj magar kya karen Miss Miraal yeh dard dil ki hai iska ilaaj hi aap hain"

Woh bola to Miraal ne apna haath uske kandhe pe maara jis per woh thora karaaha.

"Tum itne cheesy kab se hue ho?"

Usne sar jhatka magar uske honto pe ubhri muskurahat Kabir se chupi nahi hui thi. Woh dono kuch der baat karte rahe. Phir Kabir ne bamushkil use ghar jaa ke araam karne pe raazi kiya jo ke bohat mushkil kaam tha magar usne kisi na kisi tarah kar hi liya tha.

Uske jaane ke baad Abbas aur baki uske kuch colleague bhi usse milne aur haadse ki malumaat ke liye aaye the.

"Assalamu alaikum sir..!"

Kabir bol ke uthne laga magar Naseer Ahmed ne uske kandhe ko thapak ke rouk diya.

"Walaikum assalaam. Laite raho Kabir it's okay"

Woh bole aur dheere se uske paas kursi pe beth gaye.

"Tabiyat kesi hai?"

"Alhumdulilah better sir"

Naseer Ahmed ne sar ko kham kiya tha.

"I know abhi tumhe rest ki zaroorat hai but I need you to walk me through all the things that happened that day."

"Jee sir. Us din jab lieutenant Abbas aur main is operation ke liye gaye the humne apne target pe successfully attack kar diya tha magar halaat kuch kharaab ho gaye unexpectedly wahan pe aam shehri mojood the jis wajah se unki safety ko dekhte hue hum second target pe nahi bar sakte the..."

Woh baaki sab details unhe sunata gaya. Kis tarah un per dusre fighter jet se hamla hua aur situation kharab hui aur Kabir jo ke dushmano ko harame tak wahan se nahi hata tha uska jet pukhta halat me tha aur woh kharabi ki wajah se gir gaya. Jisse Kabir ain moke pe nikal to gaya tha magar chouton se nahi bach paya tha.

"Captain Kabir aap bohat hi kam arse me kaafi kuch achieve kar chuke hain aur humare the best pilots me se ek hain. We are proud of you."

Kabir ke chehre pe ek choti magar bohat gehri muskurahat ubhri. Uski qurbani raye gah nahi gayi thi.

PaasbaanWhere stories live. Discover now