Hai ..
Hello ..
Happy reading...
Mein abhi yeh nahi batha sakthi ki yeh ek sad ss hai ?? Ya happy ss hai ?? Aap khud hi padlo , but yeh ek short story hai , may be complete in 5 chapters ..
So let's begin the story ..
**************
A girl was reading something in the library ,,
Girl' pov
Hai , i am monami , i am an arts student , meri life koi badi twists and turns nahi hai , mein ek seedhi saadhi ladki hunn , friends,, family , book ke alawa meri life mein kuch bhi nahi hai ,
Lekin ek book ne meri life ko 360 degrees mein badal di , woh sirf ek kahani nahi hai , woh kisi ki zindagi hai ,, Seetha ji ki zindagi ki , koun hai yeh seetha aap hi jaana chahte ho seetha ki zindagi mein kya huva hai ?? Toh chaliye mere saath aap bhi padlijiye , seetharaamam book by seetha ...
𝕾𝖊𝖊𝖙𝖍𝖆𝖗𝖆𝖆𝖒𝖆𝖒
1992
Culcutta ..
Dooriyaan
Yeh Dooriyan,
Mita rahi saari nazdikiya,
Ab sab kuch suna hai pada
Naa mera maan kuch keh raha
Naa mera dil bhi dhadka
Yeh dooriyan
Tere intezaar mai khadi meri ruh hai yaha
Aksaar mujse hi puchti hai kyun
Teri yaad hurdum satati hai kyun
Yeh dooriyaan kyun ban rahi hai humari majbooriya
Baas ab aur kitna rahoge dur tum mujseNamasthey ..
Meri naam seetha ,
Sir name kuch bhi nahi , meri maa ek sex worker thi , jab mein paanch saal ki hunn , mujhe Amma ji ko bhej di , mein wahi par Pali badi thi , zyada nahi lekin thoda bahut padi likhi thi , bachpan se yehi Pali badi hunn isiliye mujhe patha yeha kaisi kaam chalthi hai aur mujhe yeh bhi patha hai yaha ladkiyon ko koi izzat nahi milthi , jab mein 18 saal ki thi Amma ji ne mujhe bhi iss gandagi mein shamil kardi , har Roz dusre Mardh humme ek raat keliye kareedh tha hai , unke armaan puri karke humme Fhek dethey hai , yaha sirf humare tann se matlab mann se kisi ko koi matlab nahi ,, hum bhi iss kismat ki khel mein sar jhukna seek liya ,,
Zindagi ayise hi guzar rahi thi ,, ek din fm mein aane wali ek program meri zindagi badal di , woh ek fm program tha , usmein log apne chahne walon keliye chittiya likhthey they , maana ki humme koi chittiya likhne wale nahi hai lekin hum dusron ki khushiyon mein humare khushiyon ko doondthey hai ..uss wakth bhi ayise hi program sunne Lage .
Tabhi rj ek chitti padne lagi
"Hello mere naam Ram , lieutenant ram , mein India pakisthan border mein rehtha hunn , iss duniya mein mere liye chitti likhne wala koi nahi hai , in short mein orphan hunn , isiliye mein khud keliye chitti likh raha hunn ,, aap mere liye padengey na rj ji .."
Woh chitti mein Ram ki feelings dikhi mujhe , duniya mein mere jaise log aur bhi bahut hai , jinke ithni badi duniya mein koi nahi hothey hai , isiliye maine socha ki ek chitti likhdu , bahut himmat karke ammako ko nahi bathaye ek chitti likhi ram ko unki camp base par ..