Chapter 2

251 22 1
                                    

sorry if this concept is boring, for now plz just support this one.

----------

Gayu gives Naira & Kartik some space as a lot was going on and they had met after a long time.

K: Jaan, tum thik toh ho na?
N: Tum ho na mere paas toh mujhe kuch ho sakta hain kya
K: Voh toh hain, jab tak main hoon tab tak problems tumhe chuh bhi nahi sakti
N: Kartik, pakka yeh sab karna sahi hoga na
K: Pata nahi, lekin abhi tak sab thik hi lag raha hain
N: Aur agar sabko pata chalne ke baad unhone humme alag karne ki koshish ki toh, Kartik main tumhare bina nahi reh paunga, main mar jaungi Kartik sachme...

Naira started panicking, and Kartik instantly took her in a warm hug, comforting her.

K: Naira! Dimak kharab ho gaya hain kya, yeh kya bol rahi hoon, main humesha tumhare saath hoon, main tumhara hoon humesha ke liye, aur koi bhi humme alag nahi kar sakta, toh please yeh marna varne ki baat mat karo. Agar family nahi mani toh I promise you ki unhe manane ki zimmedari meri, main tumhe chod ke kahi nahi jaunga jaan.
N: Pakka na Kartik
K: Ha meri maa, vaise bhi shaadi ki hain abb toh pure 7 janam ke liye faas gaya main tumhare saath.
N: Haww, matlab tum mere saath shaadi karke faas gaye ho, acha ji
K: Aur nahi toh kya, puri duniya bolti rehti hain ki shaadi ke chakar mein toh padna hi nahi chahiye, aur maine toh apne hi per pe kulhadi mar di
N: Yeh baat hain, toh abb doosri baar shaadi karne ke bhi koi zaroorat nahi hain, main mumma papa ko keh deti hoon ki meri naa hain, thik hain
K: Nairaaa..

Naira turns to leave when Kartik pulls into his arms with his hands on her waist and her hands on his chest.

K: Tumse shaadi karna meri life ki sabse badi khushnaseebi thi, tumse pyaar hua toh rishte samajhne laga hoon, pyaar samajhne laga hoon, ek baat saach hain Naira, ki main abb tumhare bina nahi jee sakta. Tum meri zindagi ho, mera pagalpan ho, meri khushi hoon, meri muskurahat ho, meri ruh ho, meri sab kuch ho, I LOVE YOU SHERNI!
N: Tum kya mujhe rulane ka pura plan bana ke aye ho, I LOVE YOU TOO MENDAK, Kartik tum jabse meri life mein aye ho tabse meri life aur mujhe dono ko complete kar diya hain tumne, mera sab kuch tumse hi shuru hota hain aur tumpe hi khatam hota hain, ha shayad tumhare jitna nahi, lekin mujhe itna pata hain ki pagalpan toh tum bhi ho mera!

They both hug each other, as if two puzzle pieces, made for each other.

K: Acha by the way, tumne toh mujhe bilkul bhi miss nahi kiya na
N: Oh hello, jitna tumne nahi kiya hoga na usse bhi kahi zyada miss kiya maine tumhe
K: 7 din mein itna miss
N: 7 din, mujhe toh 7 saal lag rahe the, pehle toh har doosre din aa jate the mujhse milne, kabhi ghar, kabhi academy, kabhi yeh plan, kabhi yeh date, aur pichle ek hafte se aisa gayab ho gaye toh jaise ki Mr. India ho.
K: Acha ji, zara batao toh kya kya yaad kiya
N: Sab kuch, tumhe, humari baate, humare midnight ice cream sessions, coffee dates, raat ko tumhe hug karke sona, subha uth ke tumhe dekhna, raat ko sone ke pehle tumhe dekhna, tumhari tie bandhna, tumhare hugs, tumhare kisses...
K: Hugs and Kisses ha...
N: Shut up Kartik
K: Shut up karna hain toh khud kardo
N: Aur voh kaise karu
K: Mera muh hi band kardo

Naira started blushing after realising what he meant by that. She tried to go away, but Kartik pulled her and pinned her to the wall and put both his hands on the side of her.

N: Kartik hato, yeh mera room hain, aur yaha family se koi bhi aa sakta hain
K: Acha jab muh band karna tha tab kuch nahi socha
N: Main mazak kar rahi thi, aur mera voh matlab toh tha hi nahi, tumhi ne bola mud band kardo
K: Ha toh kardo na
N: Kartikkk
K: What, don't act like yeh pehli baar hain, kiss se bhi zyada bahut kuch ho chuka hain, batau detail mein..
N: Baas baas baas, mujhe koi details nahi janni, mujhe sab yaad hain, abb chodo
K: Ha toh sab yaad hain toh abb kyun sharma rahi hoon, jaise ki pehli baar hain
N: Tumhara mein kya karu, itni bak bak karte ho na
K: Ha toh issiliye toh keh raha hoon, kardo na muh band
N: Tum khud hi kardo main toh chali
K: No way, abb tum iss room se kahi nahi jaa rahi jab tak tum khud mujhe meri kissmish nahi de deti, vaise bhi maine bahut time se mithai nahi khayi hain

Raaz Humara | COMPLETEDWhere stories live. Discover now