سوزِ یقین
SOZ E YAQEEN
باب َ١
Chapter:one𝑴𝒂𝒊𝒏 𝒂𝒌𝒆𝒍𝒂 𝒉𝒊 𝒄𝒉𝒂𝒍𝒂 𝒕𝒉𝒂 𝒋𝒂𝒏𝒊𝒃 𝒆 𝒎𝒂𝒏𝒛𝒊𝒍 𝒎𝒂𝒈𝒂𝒓 𝒍𝒐𝒈 𝒔𝒂𝒕𝒉 𝒂𝒂𝒕𝒆 𝒈𝒂𝒚𝒆 𝒂𝒖𝒓 𝒌𝒂𝒓𝒗𝒂𝒏 𝒃𝒂𝒏𝒕𝒂 𝒈𝒂𝒚𝒂
"Ma...mamaaaa......"
Woh chota sa bacha chilata hi gaya lekin uski maa uski pukar na sun pai akhir sunti bhi kese... woh is duniya se ja jo chuki thi....
Unki bejan lash kafan ki soorat mai samne majood thi....aur woh bebas bacha nam ankho ke us kafan ko dekhta hi reh gaya... Waha se uthe ab woh Kuch fasile pe Beth gaya.... Shayad khul ke roone ke liye....Woh ek koney mai betha khoob roo raha tha ke uske kaano mai awaz ghonji "Kullu nafsin zaiqatul Maut"
"pata hai bache iska Kya matlb hai"
Us bache ne apna sar nafi mai hilaya maa uski ada pe muskura di aur kehne lagi
"Har ek rooh ko mout ka zaiqa chakna hai Asan lafzo mai matlab har ek insaan ko ek na ek din marna hai, aur ye humari marzi se nhi hoga jab chahe hum mai marna hai ye tou humare rab humare Allah ke hatho mai hai zindagi dena aur zindagi lena ""bas bache ek baat ka khayal rakhna hai ke hum apne kin amaal ke sath is duniya se rukhsat horahe hain... mere bache hum mai kisi bhi haal mai ye zindagi dene wale rab ko nahi bhoolna nahi bhoolna mere bache nahi bhoolna...." shafqat se unka hath uske siyah baalo pe phirta gaya aur woh apni maa ki goud mai lete sakoon mehsoos kar raha tha...
"na... naahi bhoolna.... Nahiii bhoolnaa"
Woh kehta kehta apni nind se uth khara huwa tha uska Chehre paseene hi paseene se bhar chuka tha uska dil teezi se darkane laga tha as pas andhera hi mujood tha Kamra mukamal andherey se bhara tha...tabhi uske kano Mai azan ghoji Fajr ki azan....
Uska rab usko pukar raha tha woh kese na jata woh foran utha aur behtol khila(bathroom/washroom) jaye wuzu Kar louta ....Jan-e-namaz bechaye sar pe topi pehne ab usne theymid bandi thi, salam phirne Ke Baad ab usne hath dua ke liye uthaye thy Aur soch raha tha kya mange apne rab se kya kahun apne rab se.....
"Ya Allah tu tou sab janta haina tu sab dekhta haina tu sab sunta haina.... Mai bas itna kehna chahun ga mere gunnah maaf farma mere dil o dimag se har bura khayal mita de mujhe sahi raah dekha mujhe mere maqsad mai khamyabi ata farma mere rab, mujhe apne se kabhi alag na karna tere siwa mujhe samjhne wala koi nhi hai mere moula... Ya Allah teri Zaat se bhar Kar koi Zaat nahi, tujh se nahi manghe ge tou aur kis se manghe ge ya Allah hum tere hi moutaj hain mere malik asaani paida farma sahi raah dekha... Hum mai burai se bacha mere malik.. Hum shayad yeh nahi samjhte ke teri masliyat humari socho se bhar Kar hai par kya kare ya Allah hum bhatke huwe musafir hain humko sidha raasta tou tu hi dekha sakta hai... Ya Allah mai... Mai thak jata hun mujhe Himmat ata farma mai har cheez pe pora utarna chahta hun lekin kabhi kabar toot ke bikar jata hun... Mai tou mard Huna mere moula lekin Mera dil jab toot kar bikar jata hai tab mere yeh moutaj anso jhalak jate hain.... Kisi ke aage khud ko tootne se ruk leta hun lekin tere aage dil chahta hai bas roota rahun tu tou sab phele si hi janta haina ya Allah mai razi hun teri raza mai bas mujhe itna mazboot bana de ke mai tere siwa kisi ke samne na girgiraon aur na kisi aur ka tere siwa moutaj banun "
YOU ARE READING
𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏
Romanceشہریار سکندر ✦❃✦زرنیش عباس Story of Shehryaar Sikandar khan and Zarnish Abbas Do logo ka safar, safar bhi esa yaha raasto pe chalna asaan nah tha... Safar e yaqeen Safar e nafrat, Safar E Mohabbat.... "Bikray huwe rishte, Bikray huwe raaz, maazi...