Karishma Locked the door...and burnt the whole house...soon the house was fully covered with fire...
.
.
.
Ks : tum thik ho?
Hm : ha hum thik hai, tum thik ho?
Ks : ha, saare bache...
Hm : sahi salamat hai...accha hua sahi samay pe tumhe sab yaad aa gaya nhi tho aaj tho tum hume upper pocha ke he manti badle ki aag mai...
Ks : nhi nhi aisa nhi hota sache desh bakt hai hum...
Flash back starts...
Hm : Karu nhi...
Ks : kya nhi kyu nhi pareshan kar rakha hai hume hai jawab tumhare pass humari pareshani ka kya mila hume desh se?
Hm : karu kyu aisa karna hai kya kuch nhi mila ye pucho...jis wardi ke liye tumne sabse lad liya tumhari bhen ne paise leke jane ke baad bhi tum ne haar nhi mani jis wardi ke liye tum bachpan se kaam kar rahi thi tumhare papa aur tumhare patidev dono tumhare sath khade rahe aaj thak un logo ka tho socho...Anubhav ka socho karu jisne hamesha sath diya apne aap ka socho log kya kya banna chahte hai jisse future mai aaram kar sake tumne khud police force join karna chaha in bacho ka socho jo tumse sath ki expectation rakh rahe hai in bacho mai se kitno ka sapna hoga police officer banna ye logo ka sapna yahi ke yahi thoot jayega...desh ka socho kitne tar ladkiya aaj force join karna chahte hai just because wo log tumhe apna inspiration mante hai...desh mai ladkiyo ko ek kadak aur nidhar banke har mushkilo ka samna karne ki misal tum ne di hai tum humesha women protection ke liye kadhi rahi ho aur ek mamuli brain wash ne wo saara jazba bhula diya desh ke liye...tumne kisi ke force karne pe nhi apne aap ko puch kar apne sapne ko pura karne ke liye force join kiya hota fame, money, aaram chahiye hota tho tum kuch aur kar leti lekin nhi tumne force join kiya kyu desh ki hifazat karne ke liye...ye wardi hume kyu di gayi hai aaram karne nhi na aapne jaan se bhi badke desh ko upper rakhkar desh ka accha karne ke liye na aaj log humpe vishwas rakhte hai aur shanti se apne gharo mai majhe karte hai kyu kyu ki logo ka iss khaki pe vishwas hai ki iss wardi ko pehne log unhe kuch nhi hone denge...humara vishwas hai iss wardi pe ki hum desh ko kuch nhi hone denge...bhala hum logo ne force kuch panne ke liye thodi na join ki thi ulta humne niswarth bhav se desh ko apna sab kuch samarpan kar diya tha phir bhi desh ne hume bohot kuch diya hai...ye nidharta, ye samman, ye desh ka garav, ye desh ki hifazat karna dharti ma ki hifazat karne ka mokha har kisi ko nhi milta bohot naseeb wale hote hai wo log jinhe desh ki shuraksha ke liye iss wardi ki garima iss wardi ki prchan aur saman humesha barkarar rakhne ki jimmedhari di jati hai...aur hum karu hum humesha se tumhe wardi pehene desh na chahte the aur humse jyada tho tum he desh ke liye purna nishta se apna sab kuch samarpan karne ke liye taiyaar baithi rehti thi ulta tum he ho jiske karan aaj humne ye wardi pehni hai academy mai kai bar aisa laga ki humse nhi hoga lekin tum he thi jisko dekh hume motivation milta tha aage badne ka apne aap ko iss desh ki hifazat kar sako iss kabil banane ka tum he humari inspiration rahi ho aur ab tum he desh ko galat samaj iss badle ki aag mai agar un terrorist ko jane diya tho sach keh rahe hai tum khud aapne aap ko kabhi maaf nhi kar paogi...tumne agar is jagah ko jhala diya tho hum tho chale jayenge aur hum ek taraf kush bhi rahenge ki normal health problem se nhi balki desh ki hifajat karte karte humne apne praan tyge hai lekin iss baat ka dhuk sabse jyada hoga ki pran lene wala sacha desh bhakt hai...aur humari sabse acchi dost humari inspiration humari idol ne desh ki nhi lekin un terrorist ki suni bhale he brain wash hua ho lekin apne sharir ka har ek santulan humare pass apne pass hota hai ek baar akhen band kar wo saare pal yaad karo wo saare strugles yaad karo jo tumne police force join karte time bitaye hai...karu agar tum hume marna chahti ho tho maar do koi dikat nhi par please in bacho ko kuch mat karo problem humare seniority se hai na tho koi baat nhi bus in bacho ko jaane do aur ha humari aakhri iccha sun lo please un terrorist ko mat chordna aur un logo ko saza dilwana...please 🥺🥺🥺
YOU ARE READING
💕 Yaar Tu Bohot Special hai 💕
FanfictionFriendship Story - 1 This story is inspired by a fantabulous show ' Maddam Sir ' on Sub TV. In this story, there are three protagonists Haseena malik, Karishma Singh & Santosh Sharma. Pure bond of friendship will be highlighted in this story of Kar...