BUNDEL SAMRAJYA
Revti - jab aap yeh baat jante hai ki BUNDEL SAMRAJYA se aaj tak koi doli na to SURYAKUND SAMRAJYA aai hai aur na hi kabhi jaegi to ye swayamwar.. Yuvraj aap ek baat jaan le. Maharaj ko is baat ki tanik bhi bhanak hui to...
Pramod - to kya maa...
Uttam - to ye ki aapko apne pran tyagne honge.
Pramod - Pitaji.. Hum.. Hum vivah karna chahte hai.
Uttam - SURYAKUND ki rajkumari se.
Pramod - ha.. Pita ji Yeh aap bhi jante hai. Agle mah se pehle hamara raj tilak hona kitna aavashyak hai, Aur hum raj gaddi par virajne ke pehle vivah karna chahte hai
Uttam - par SURYAKUND SAMRAJYA ki raajkumari hi kyo..? Aap agar chahe to vishva ki sabse adbhud, sundar aur susheel kanya se aapka vivah ho sakta hai.
Revti - SURYAKUND SAMRAJYA ki rajkumari. Poore vishva me usse sundar rajkumari na milegi aapke putra ko.
Pramod - Ha pitaji. Suna hai humne. Uske teekhe nain naksha, hirni ke bhaati chaal hai uski, roop mano tapakta swarna.
Uttam - theek aap us swayamwar me Bhaag lenge parantu aapko Yeh gyaat bhi hai ki vaha aur kaun aapke vipreet
Pramod - Avashya.. Rajkumar Man Singh.
Uttam - vo ek sarvashreshtha yodha hai... Agar aap Vijay na hue to..
Pramod - to hamara agla aakraman SURYAKUND hi hoga pita ji. Senapati ko aagah kar dijiye. Ab ya to Rajkumari hamari.. Ya yudh.
........................................................................
SURYAKUND SAMRAJYA
Susheela - dekho Rajkumar Man Singh.
Kripa - rajkumari ji.. Zara nazar Rajkumar Pramod par bhi daliye.. Dekhiye na.. Tijori bhar bhar ka sona lae hai aapke liye.
Susheela - vo heere moti laye ya chandi sona Hum to Rajkumar Man Singh se hi vivah karenge.. Unke jaisa anya yodha nahi hai koi.
........................................................................
Pramod was walking through the corridor.
Pramod - ye rajkumari hai kaha?
He heard some sounds of gossips.
He looked inside the big room.
Susheela - aap hamara dupatta dijiye aur chup chap yaha baith jaiye.
Dasi - Raj kumari ji agar maharani ji Yeh gyaat ho gaya ki aap ja rahi hai to..
Susheela - kisi ko kuch pata nahi chalega.
She took the dupatta and tugged it at her waist and covered her face with it.
She walked through another door.
Pramod - ye rajkumari kaha ki or prashtan kar rahi hai.
He took the shawl from side and covered his face with it and followed her.
She walked to another door and goes out of the fort.
Pramod silently followed her.
She went to the bazaar.
Susheela - kaka ye chudiyan dijiye na.
She took the bangles and wears them.
Susheela - hame yahi to pasand hai. Bazar me aakar apni chah se sab kuch pasand karna.
She looked at those simple green shiny bangles.
She opened her purse and came him the daam.
Susheela - ab motiyan.
She goes to another stall.
Pramod - ye anya Praja ke sath kyo kharidari kar rahi hai?
Susheela - ye moti haar banane ke liye shresth hai na?
She took some in her hands looking at there shine and purity.
Kripa - Rajkumari ji aap yaha kya kar rahi hai! Maharani ji ko pata chala aap yaha hai to na jane...
Susheela - tum jao kripa.. Hame moti khareedbe do.
Kripa - Rajkumar Man Singh ne aapko bulava bheja hai... Jaiye ve aapki prateeksha kar rahe hai.
Pramod - Rajkumar Man Singh... Vo ekant me Rajkumari Susheela ko kyo bulaege... Hame kuch to karna hoga...
........................................................................
Susheela was looking at her self in the mirror.
When she found Pramod standing next to her.
Susheela - Rajkumar! Aapne hamare kaksh me hamari anumati ke bina pravesh kaise kiya?!
Pramod - shant. Hum aapse keval ek bhet karna chahte the.
Susheela - to aap hame bata sakte the! Khair.. Kahiye kya karan hai yu bhet karne ka?
Pramod - aap Rajkumar Man Singh se prem karti hai?
Susheela - keval prem nahi.. Vishwas.. Hum unpar poorna vishwas karte hai ki Yeh swayamwar ke vijeta vahi banenge.
Pramod - hum bhi ek yodha hai, Humne aapke jaise kayi chote rajyo ko bandhi banaya hai...
Susheela - huh.. Yahi antar hai, aapme aur Rajkumar Man Singh me.. Ek sacha Yodha kada bhi apne vipreet shatru ko kamzor nahi samajhta.
Ha hum mante hai.. Hamare rajya ka sainik bal aapke Rajya se adhik kam hai parantu yeh baat aap gaath bandh le ki hamari sena aaj tak kabhi parajit nahi hui.. Hamari sena me aapki sena se adhik saahas hai.Pramod - aapke ise ghamand ko hum choor karenge.. Parantu sahi samay par.
Susheela - BUNDEL SAMRAJYA me aaj tak SURYAKUND SAMRAJYA ki koi doli na to koi aai hai na kabhi jaegi. Swapna dekhna chhod dijiye.
She stepped aside and walked out of the room.
Pramod - guroor ko nasht to karna hoga.. Anytha Rajkumari ka prem paana aasan nahi.
........................................................................
Vote - 50
Thank you 🙂
YOU ARE READING
EMPIRE & LOVE
FanfictionRiyasat aur Prem dono jivan ke mukhya roop hai. Agar use na jeeta.. To jeevan vyarth hai.