Part 10

304 39 117
                                    

Hello

I am Here with Part 10

Mene bola tha ki aaj ke part me 2 new entry hone wali hai

Ek insaan ko to aap jaante hi hai aur ek hai jise koi nahi jaanta..

1. Prisha Mahajan ( Prisha Dikshit )

Monu ( purvi ) ki Chhoti behen ..

2. Sneha ( snehabhardwaj713 )
Iski entry bhi naldi ho jaayegi..

Yes aap logo ne bilkul sahi padha hai.. Sneha..
Sneha bhi hamari life ka bahot important hissa hai ya yu kahe ki sabse important person hai..

She is the one who can tolerate me and Purvi together at the same time 😂😂
Kyuki Or kisi ke bas ka nahi hum do pagal ko sambhalna..

She is the one who always supports us in our Happy & sad both time..

Plz don't be sad my other salis & behans ..
Wattpad ka har ek Person jinse hum dono mile hai wo sab hamare apne hai but kehta na ki sabse khaas koi ek hi hota hai..

So sneha hamari life ki bahot hi khaas insaan hai..

Ha hum kabhi bhi mile nahi hai..
But It's ok..
Hum kabhi mile ya na mile Sneha ki jagah koi nahi le sakta or nahi le paayega...

Issme bhi Sneha ka role online chatting me hi hoga..

Par Hoga Zarur..

Kabhi kahi pe koi Dialogue thoda different ho sakta hai lekin jo feelings hogi wo To Real hi hogi..
Isliye By chance kuch dusra likhdu to Advance me sorry snehu..

And Thank You Thank You Thank You so much For coming in our Life..

We Love You All
( Abhinavi )
❤❤❤

◾◾◾

2 year bhi half khatam ho chuka hai..

Diwali Vaccinations aane wale hai ..

Lekin hamre moran ka rishta wesa ka wesa hi hai Boring..

Kyuki padhai bhi to thi..

Lekin Karan ne soch rakha tha ki Ek Baar Diwali Vaccinations aane do fir sirf monu ke sath time spned kiya jaayega..

But his bad luck koi aane wala tha unki love story me kabab me haddi banane..

Last Day of the College

Koel :  aaj Last Day hai kal se Vaccinations shuru ho jaayenge..
Me to apne Mausi se ghar jaane wali hu..

Faizy : Me apne hi ghar ja raha hu...

Karan : Me kahi nahi ja raha kyuki Mummy or Shiv( my younger brother  )Delhi me nahi hai.. mere Mama ke yaha gaye hai.
Or mujhe waha nahi jana..

Koel : to kaha jaayega ??
Hostel to bandh ho jaayegi...
Raaste pe rahega kya??
Chal koi na wahi reh le tu usi ke layak hai..

Karan : Chup rahegi tu...
Mumbai me meri bua rehti thi ab wo US chali gai to wo ghar khali pada hai me wahi rahunga..

In this all Monu is sitting silently

Faizy : oy aaj Tsunami kyu shaant hai..

Monu : Yaar 2 wajah se...
Pehli Mera Chhota Cousin  bhai jo ki mera Favourite hai..
Wo iss sal 10 me hai to Pune nahi aayega...
Aur Dusri meri 3 din pehle hi mummy se baat hui bola ki Papa US se aaye hai lekin hamare to  exams the or uski ki wajah se me Tabhi ja nahi sakti thi..
Lekin Papa ke pass time nahi tha wo kal hi wapas chale gaye.. 1 or din rukte to kya jata..
Ye Diwali bhi hum sath me nahi manayenge..

Love Keeps You AliveWhere stories live. Discover now