Chapter 54

350 55 10
                                    

Vibha took a moment to process. Then her eyes widened in surprise or should I say shock when she realized about whom they are talking.

Vibha: Ye kaisa mazaak hai jii? Kiska naam le rahe ho? Itna shubh kaam hai aur kinka naam lekar shuru kar rahe ho? Aesa mazaak achha nhi hota. Aap batao kon ladki hai sach sach

Ram: Yahi ladki hai Vibha. Ashu aur Avneet ek doosre ko pasand karte hai. Aur shaadi karna chahte hai

Vibha: Abhi ye kya bole jaa rahe hai tere papa? Inko bol itni important baat mein aesa mazaak nhi karte. Baat ko samjhe

Abhi: Maa wo sach keh rahe hai. Ashu to kaafi time se usko pasand karta hai

Vibha: Ashu?

She asked looking at Sid hoping the information she just received might be false and he says that it was all a prank and all start laughing. But no he broke her that bubble as well ending her one percent hope she was having.

Sid: Hnji maa. Hum dono ek doosre ko pasand karte hai. Aur shaadi bhi karna chahte hai

Vibha looked at Sid, Ram, Abhi, Vaish and then again at Sid hoping to find at least one face that can tell her she is being fooled. But no they were all damn serious.

Vibha: Dimaag theek hai? Tujhe pata bhi hai un logo ke baare mein? Wo apni haisiyat ke bhi nhi hai

Abhi: Maa aesa kuch nhi hai

Vibha: Tu to rehne hi de. Mujhe laga sirf dosti tak rahega. Yaha to rishtedaari karane lage tum log

Abhi: Maa wo dono ek doosre ko pasand karte hai. Isme hamari dosti kahase aayi? Mein aur Jai achhe dost hai aur wo dono ek doosre se pyaar karte hai. Ye dono baatein alag hai. Inka aapas mein koi lena dena nhi hai

Vibha: Koi pyaar vyaar nhi hai. Uss ladki ne jaadu tona kia hai mere bete par. Jaisi maa vaisi beti. Yahi aata hai un logo ko. Iss baare mein koi baat nhi hogi

Abhi: Maa kya jaadu tona? Iss time par bhi aap iss sab mein believe karte ho? Pyaar karte hai wo dono ek doosre se

Vibha: Maine bol dia na. Mujhe iss baare mein baat hi nhi karni. Wo do kaudi ke log nhi hai. Aur unki beti ko iss ghar ki bahu banale hum. Yahi izzat hai hamari?

Abhi: Maa baat to suno ek baar hamari

She got up and went to her room without listening to anyone. Ram was about to go behind her but stopped seeing Sid's sad face. He kept his hand on his wrist.

Ram: Beta jin logo ka wo naam tak nhi sunna chahti unke ghar ki beti ko bahu maan lena itna asaan nhi hai. Ek dum se to usne maanna bhi nhi tha. Aur hamare ek baar batane se wo hnn to nhi karne wali thi na? Time to lagega. Jin logo ko dekh kar wo kalap jaati hai un mein se ek ke saath rehna to bohot mushkil hai

Vaish: Hnn Ashu ye reaction to expected hi tha. Aese dukhi matt ho. Sab theek ho jayega. Don't worry

Sid nodded.

At Nandra's home

Sonia: Kya?

She asked thinking she heard something wrong.

Aman: Siddharth Nigam

He confirmed again shocking her with the most unexpected name. She couldn't even think in her dreams that someone from that particular family would be the son-in-law of her home. She looked at Avu who just looked down avoiding her mother's eyes.

Sonia: Wo uss Vibha ka beta?

Aman nodded.

Aman: Hnn wahi. Ye dono ek doosre ko pasand karte hai

Sonia: Pasand? Nhi nhi nhi. Usne hi meri bholi bhali beti ko ulti seedhi baatein karke fasaya hai. Beta agar usne koi dhamki wagera bhi dee hai to batade. Darne ki koi zaroorat nhi hai tujhe. Hum dekh lenge. Pehle mera beta dosti ke naam par fasa rakha hai. Ab beti. Bolti thi na chand jaisi bahu laungi. Chand jaisi bahu laungi. Duniya dekhegi. Meri hi beti par nazar hogi uski

Aman: Sonia kya bakwas kar rahi ho? Bachi hai kya wo jo ulti seedhi baatein karke fasa lenge. Aur dhamkio se nhi darti wo. Ye uska apna faisla hai. Usse achha lagta hai wo. Aesa kuch nhi hai jo tum bol rahi ho

Sonia: Aesa hi hai. Aur iss baare mein baat nhi hogi

To be continued

Stay tuned for next chapter

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now