part 1 ❤️

359 59 79
                                    

In MPT School

A girl is running in a corridor with a woman about 50 years of age behind her and some other students are also chasing her

"Aaj to ye moti bhainsh hame chodegi nahi wahan upar se hi comedy movie dekh kar enjoy karte rahoge bhagwan ji popcorn 🍿 ki delivery bhi kar de mast maza aayega dekhne me live show ye nahi ki thodi kripa barsa do aap ham par bacha lo in sab se" the girl said to herself while looking at the sky

"Ruko jao tumhe chodna nahi hai mujhe aaj bahut ho gayi tumhari shaitani" the woman shouted

"Bhag karu/kari/kishu/karry/kashish/kashi aur tez bhag" other students shouted

"Tum log kuch kaam ke hi nahi ho" the girl shouted

Suddenly someone came infront of her and she bumped with the person

She looked at the person and smiled fearfully Ab fearfully smile hi karenge na hame dar bhi tha takkar khane ka is kutubminar se aur hamare kiye huye prank ki vo hame kya saza denge uska aur muskura bhi diye ham kyunki hamko confidence itna ki sayad hamesa ki tarah ham is baar bhi bach jayenge are hamne aap sabko apne bare me to bataya hi nahi ham hai Karishma Singh hame jante ho ki ek kantap lagana padega yad'dast vapas lane ke liye tum sab ki

In principal's cabin

A man about 50 years of age

Ama tum chup karo ham batate hai sabko kya ho raha hai yahan

Somya- theek hai jaana

To kutubminar baithi huyi hai apni chair pe chamgadar jaisi badi badi aankho se hamko hamari paltan ko aur jo hame yahan lekar aayi moti bhainsh ko ghoor rahi hai na jane 30 minutes ho gaye hai ise hame ese ghoorte huye ab hamko samjh nahi aa raha ki ye kitna timepass aadmi hai sala matlab ham 5-6 logo ko ye pichle 30 minutes se pahchan nahi pa raha hai aur esa ghoor raha hai jaise aankho se hi kha lega hamko abe kuch phoot na

"Karishma ye kya hai aapka kyun ese bhag rahin thi aap hamse takra gayin dikha bhi nahi ki ham samne hai tumhare"

Ama single haddi aur kutubminar jitne lambe aadmi ko kahan se dekhte ham tumhara thopda dekhne ke liye hame ek ladder lani padhti hai laga tha koi khambha hai sayad yellow colour ka lekin nahi hame ka pata tha ki khamba se bhi lamba aadmi hamare samne aa kar prakat ho gaya aur hame kaa bol raha hai apni in chamgadar jaisi aankho se jinse abhi 30 minutes se ghoore ja raha hai uska use tab kar lete to ham kutubminar se to na takrate us time par kya aankhe apni ghar chod kar aaye the ya chutti de deti hai tab apni aankho ka khair chutti to kisi ko di nahi jati tumse

"Karishma singh kuch pooch rahe hai ham" aman malik asked again sternly

"Aap isse kya pooch rahe hai sir mai batati hu na kya naya kaand kiya hai aaj isne" moti bhainsh said

Are ye hamara bhanda phod degi fir hame kahin school se na nikal de nahi itni himmat nahi hai inme ki the Karishma Singh ki school se nikale lekin daddy se sikayat kar denge ye hamari mummy!!!!!

"Sir vo kya hai na ye jo hamari moti....hamara matlab ye jo hamari Aishwarya madam hai na..."

Kya khaak Aishwarya hai pata nahi kya soch ke inke parents ne inka naam Aishwarya rakha hoga bechari Aishwarya Rai ke naam ki bezzati kar di chalti firti maal gadi hai ye hathini kahin ki moti bhainsh

"Inko na hamne dr ko dikhaya tha to unhone kaha ki inka fat bahut bada hua hai aur inhe exercise karne ki salah di lekin ab kaa hai na sir ki inhe apna ghar bhi dekhna aur school bhi aana baccho ko padhana bahut kaam hota hai pressure hota hai to unhe time nahi milta to hamne socha ki inki exercise ham yahin karwa dete hai Isliye inko bhaga rahe the inki hi bhalai ke liye"

You know na I'm bahana banaing

"Waah kitni acchi bacchi hai ye sab ka khyaal rakhti hai sabko apna manti hai" aman praised her....

"Sir ye to hamara farz hai isko na ham apna kartavya mante hai hamare apno ka khyaal rakhna unki sehat ka khyaal rakhna unka muh band rakhna....hamara matlab apan muh band karke apni bado ki teacher ki har ek baat manna" Karishma said dramatically

"Kya khaak acchi hai sir pata hai isne aaj kya kaand kiya....isne aaj mujhe table pe se gira diya"

"Kya Karishma kya bol rahi hai ms Garg"

"Nahi sir hamne kuch nahi kiya vo kaa hai na ki ab aapko to pata hai ki hamari Aishwarya madam kitni bhari hai matlab 150-200 kilo vajan to hoag hi na...sach....sach bata rahe hai sir aur vo table rakhi najuk kali bilkul aur baba aadam ki jamane ki hai table Aishwarya madam se baad ki hi hai ye to mohanjodaro ki khudai me nikali thi na daynasaur ki classmate...han to najuk table inka bhar nahi sah payi aur toot gayi bechari table kaisi maut aayi na uski esa laga hoga jaise bahut badi building gir gayi hogi uspe ab kya kare jispe beet'ti hai vo hi janta hai na apni dard peeda bhagwan na kare kabhi aap par Aishwarya madam (Aman coughed) han esa bilkul na ho hamne bas demo diya ki tab aapko pata chalega na bechari us table ka dukh dard peeda sari haddiya choor choor ho gayi uski ab hamne kaa kiya isme sir jab ye subh kaam hamara matlab durghatna huyi tab ham to shanti se apne desk par baithe the aur apne notes bana rahe the galti to inki hai na bechari table aur saheed ho gayi ye to vese bhi bilkul vesi hi hai jaise pahle thi aur kitne speed me bhag bhi rahi thi hamare peeche jaise marathon daud rahin ho pakka first aati" Karishma said innocently yet dramatically

"Sir ye jhoot bol rahi hai isi ne table ke do nut dheele kar diye the jisse vo khul kar toot gayi" Aishwarya said

"Ama sir ab table ki haddiyan tootengi to nut bhi to khul jayenge na"

"Nahi sir nut khule the isliye table tooti isi ne kiya tha sab aur ye baat iski dost santosh ne hame batai"

Bas isi vajah se hamari bestie hame kabhi kabhi hamari dusman lagne lagti hai jhoot nahi bola jata na is lie detector se pet me dard hone lagta hai iske aur ye hamare kiye huye sabhi prank ka khulasa kar deti hai chudail ab kahin sach na bol de fir hamari lag jayegi

"Santosh batao kya Karishma ne ye kiya tha" aman asked

"N...nahi sir Karishma ne kuch bhi nahi kiya vo to shanti se apne notes bana rahi thi table apne aap tooti Aishwarya madam ke vajan se" santu said

Ab aap log soch rahe honge ki ye gazab kaise ho gaya be vo kaa hai na ki pet jitna dard hoga usse kai jyada dar hamari chudail ko hamari maar ka hai kahe ki agar sach bol diya to ye apne pet dard se mukti payegi lekin fir uske baad iski jo ek ek haddi dard deni hai uska andaza inhe lag gaya hai isko pata hai na ki khatirdari to honi hi hai abhi iski class me jo bata diya na hamari pole khol di to socha ki yahan jhoot bol kar bach jaye thodi kam khatirdari ho hamse

"Dekha sir santosh ne bhi kah diya aur ye to poora school janta hai ki ye kalyug ki satyavadi harishchandra hai jhoot isse bola hi nahi jata pet me baat pachti hi nahi pet dard hone lagta hai na iska to ye sach hi bol rahi hai hamne esa kuch nahi kiya" Karishma said

"Haan ms garg Karishma sahi bol rahi hai usne esa kuch nahi kiya aur ye baat to lie detected hai"

"Lekin sir..."

"Lekin vekin kuch nahi ms garg hame pata tha ki Karishma esa kuch kar hi nahi sakti hai aap khamakha har baar use hamare pas le aati hai aur uski jhooti sikayat karti hai agli baar esa nahi hona chahiye jao Karishma beta apni class me jao aur padhai karo" aman said

Ab aap log soch rahe honge ki is kutubminar ko ham par itna viswas kahe hai vo kaa hai na kabhi kabhi bhagwan ji hamara sath de dete hai ham jitni bhi galtiyan karte hai usse kuch na kuch accha hi ho jata hai is school me jaise ek baar ki baat hai danda lekar ham apni lie detector ke peeche to hamne us par danda mara lekin vo hat gayi aur danda jakar laga water cooler ke nal pe aur vo nal toot gaya usme se ganga jamuna sab bahne lagi ham dar gaye ki ab pata nahi kya hoga tabbi kutubminar bhi aa gaya Lekin bhagwan ji sath dete hai na hamara vo pani gaya direct garden me aur jin plants ko pani ki jarurat thi sukhe murjhaye huye the un tak pahunch gaya jabki vahan tak pani pahunch hi nahi pata tha isliye vo sukhe murjhaye huye ho gaye the to hamari is galti se un plants tak pani pahunchane ka rasta mil gaya to bas mil gayi hame shabasi kutubminar se aur bhi bahut kuch hua hai kabhi fursat se batayenge abhi ham apni chudail ki khatirdari to kar le

So this was the first part of this story, I hope you liked it.

Next - KarEena meet

Your Soumya.......

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Mar 11, 2023 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

THE UNCONDITIONAL LOVE जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें