🍂 Sacchai 3 ✓

650 83 20
                                    

Read the note at last.

Recap:- Hassena recieves a call and she is informed about Anubhav's hospitalization due to food poisoning. Pallavi visits unconscious Anubhav in Hospital.

Continued....

Some hours later,

Elite Hotel, Lucknow,

Hassena, Karishma, Santosh and Cheeta were in Hotel dressed as guest. They all were connected through conference call.

Hassena: Aap log please dhyaan rakhiye agar aapko Anubhav ya Pallavi dikhe toh please hume turant khabar kijiye.

Karishma: Aap chinta maat kijiye MS mil jayenge bhaiya aur Pallavi ji bhi. Hum asha karte hai ki jald se jald voh dono mile aur yeh gutthi sulje.

Soon, they dispersed in different areas. Hassena was near drink centre. Suddenly, someone was near her with a wine glass in his hand. She gave him a look but due to alcohol smell, she was getting suffocated.

Hassena (on bluetooth): Karishma Singh, aap yaha rukiye, hum jara bahar khuli hava mein jate hai, isi bahane hum bahar najar rakh lenge.

Karishma: Ji MS!

She started walking towards the exit when she collided with someone, wearing a mask. The person held falling Hassena, his hands on her waist. She was going to slap the person cause of his touch on her bare waist but soon she realised the touch.

"Anubhav!", Escaped her mouth.

He placed his hand over her mouth fearing of blowing his cover up.

Anubhav: Aap yaha kya kar Rahi hai? Aapko hamare kaam mein tang adane ki koi jarurat nahi hai, jaeye yaha se, aur ha agar aapki team ayi hai toh unhe bhi saath lekar jaeye.

Hassena bit his hand and tried to escape his grip but he was an agent, he held her tight pinning her to the nearby wall.

Hassena: Taang Ada rahe hai se kya matlab hai aapka? Hum aapni duty kar rahe hai. Uss farar mujrim ko dhund rahe hai jisne bimari ka bahana banaya aur jail se bhag nikla. (She said sternly)

He left her and was going to go away but she held her hand.

Hassena: Bateye Anubhav, aap kyu kar rahe hai yeh sab? Aapki Maa ko puri ummed hai ki aap begunah hai, lekin aap aapne har kadam ke saath duniye ko yeh dikha rahe hai ki aap hi asli mujrim hai..

Anubhav: Hum Jo bhi kar rahe hai desh ke liye kar rahe hai, iss bich mein hume chahe khud ko daav par lagana pad Jaye yah fir hamari Maa ke pyaar aur vishwas ko, ya fir hamare pyaar ke pyaar aur vishwas par hume koi fark nahi padta.

Hassena: Pata hai hume isiliye toh sagai chod kar gaye aap.

He looked at her shocked.

Anubhav: Aapko kaise pata? Karishma Singh ne aapko bata diya? (He gulped)

Hassena: Ji ha bata diya. Yeh kya bekar adat hai aapki baatein chipane ki? (She said frustrated) Aur yeh Bataeye ki yeh Pallavi ka kya connected hai iss sab se?

Anubhav: Hum... (He was gonna speak when he looked at the another side of corridor. He immediately held Hassena's hand and pulled her to another corridor in order to hide)

Soon, some men dressed in all black came there covering a man in blue coloured suit. Hassena looked at him surprised.

Hassena: Yeh sab kon hai Anubhav? Aur yeh bataeye ki aap inse chup kyu rahe hai?

Anubhav: Sab baad mein batayenge baas thoda sa samay dijiye. Hume Jana hoga abhi.

Hassena: Lekin hum aapko kaise jaane de sakte hai, aapko hume custody mein Lena hoga aur arrest karna hoga kyuki aap vaha se bhage hai.

Anubhav: Hum bhage nahi the. Hume behosh karke Hospital se nikala Gaya tha. Aur ha hume koi natak bhi nahi kiya tha food poisoning ka, hume sach mein food poisoning hua tha. (he signed and she was with neutral face)

Hassena: Pata tha hume. (He raised his eyebrows at her) Hum jab hospital gaye aapko dekhne tabhi doctor ne bataya aur jab hum aapke ward ke andar Gaye tab vaha aap nahi the, lihaja humne CCTV camera check Kiya tab hume pata chala ki aapko toh kuch masked logon ne kidnap Kiya hai. Jab hum recordings check kar rahe the tab hume usme Pallavi bhi dikhi jo pareshan thi isiliye humne uska mobile trace kiya aur yaha aa gaye.

Anubhav: Aare vah! Jazbaat ke alava bhi aap normal cops ki tarah investigation karti hai! (He taunted her, she nodded) Aab aapko itna sab kuch pata chal hi Gaya hai toh kijiye aage ka investigation. Hum bhi dekhte hai kya aap hume nirdosh sabit kar payengi! (He challenged her)

Hassena: Hum aapka dukh samajh rahe hai Anubhav, isiliye aapki madat karna chahte hai.

Anubhav (he removed his mask from one side): Hamari madat karne ke liye aapko hamare upar vishwas hona jaruri hai Miss. Mallik jo ki aapko humare upar nahi hai. Isiliye aapki madat nahi chahiye hume.

He was gonna wear his mask again but she held his hand and pinned him to wall, pressing her lips on his. Recovering from the shock he just recieved he tried to push her but soon glided his hands from her shoulder to her hands. They started kissing as he flipped themselves.

Soon they broke their kiss, he looked at her with questioning eyes. Instead she hugged him.

Hassena: Hume aapke upar vishwas ho gaya hai, isiliye hum aapko nirdosh sabit karne ke liye aapni puri koshish karenge.

Anubhav: Aapko hamare upar vishwas hai na toh thodi der baar unhi logon ki gadi yaha se niklegi, unka picha kijiye baki ke police force ke saath, hum aage Jaa rahe hai. Hum aapka intezaar karenge. (He whispered near her lips, butterflies erupted in her stomach.)

He pecked her lips and hugged her. She hugged him back. After a while, they broke the hug. He cupped her cheeks and kissed her forehead. He again wore back his mask and left from there wiping his tears. Hassena glanced at his retreating figure before going back to her officer mode.

*********

What do you think will Hassena trust Anubhav in matter of Country? Comment down your views.

Will be continued...

Hello, I want to know if you are really interested in this story cause response on the last part was really disappointed.

𝑼𝒏𝒊𝒒𝒖𝒆- 𝑺𝒉𝒐𝒓𝒕 𝑺𝒆𝒓𝒊𝒆𝒔, 𝑶𝑺, 𝑻𝑺Where stories live. Discover now