Introduction To CID

600 30 11
                                    

"ARE YARR AB MAI JAA RAHI HU GHAR...LIFE IS SO BORING YA ISHI !!"

"Ab kya hua Purvi?"

"Kya hua kya kya hua? Yaha pe apni gheese hum aur mission pe seniors ko bhejta hai wo buddha ACP."

"Oooooo isliye tu chidhi hai. Theek haina..wo senior hai kyuki unhone kuch kiya hai life me. Hum nahi kar paye aisa kuch."

"Mauka mile to karenge na Ishi. Peechle 2 saal me kitne hi cases diye hai Pradyuman ne hame? Mujhe 2 independent case aur tujhe 5. Usme bhi wo CID ka Khali aur Dr.Tarika ki puch beechme aa jate hai."

"Wo sabse jyada senior hai Purvi. Isliye."

"O mahanta ki murat itni samajhdaar mat ban."

"Kya samajhdaar mat ban? Tujhe bhi pata hai na ki logo ko chance nahi milta. Hume CID me kaam karne ka mauka mila hai to let's be happy about it na ?"

"GHANTA!"

"Sssh! Itni jorr se mat chilla ACP sir sun lege"

"To sunne de na. Mai kisi ke baap se nahi darti."

"This should not be the way a CID officer is supposed to talk Insp.Purvi ji" A voice from back interrupted the conversation.

The girls turned to see their senior officer standing behind them.

Ishi - S..s.ssorry Sir.

"Oh Cmon Insp.Ishika. Insp.Purvi ji aise baat kar rahi hai aap kyu Sorry bol rahe ho?"

Ishika - Sorry Sir.

"Phir se?"

Ishika- S..

"Ssh"

Ishika nodded.

"To Insp.Purvi ji..mai kaha tha? Haan..aap aise baatein kyu rahi thi? Aakhir mere Dad ne aise kya hi kar diya jo aap apne aap pe kaabu nahi kar paa rahi hai?"

Purvi looked at him angrily.

Purvi- Ye aapko bhi pata hai SENIOR Insp.Kavin ki aapke Dad ya humare ACP ne kya kiya hai. Humesha wo female officers aur juniors ke saath partiality karte hai. Hume na to important missions pe bhejte hai aur na hi independent missions dete hai. Abhijeet aur Daya ko humesh..

Kavin- Sir

Purvi - Kya?

Kavin - Abhijeet SIR aur Daya SIR

Purvi - Whatever

Kavin looked at her - Hm?

Purvi rolled her eyes. - Fiiiiineeeee! Abhijeet sir aur Daya sir ko humesha sab kuch share karte hai. Agar itni partiality ho rahi hai juniors aur women ke saath CID me to hum bahar kya expect karenge logo se? Equality kaha hai CID me? Aur jab tak ACP SIR apni seat pe hai ye hota rahega.

Kavin smiled - 'Be the change you want to see'

Purvi looked at him confusingly.

Kavin - Matlab..pehli baat to mujhe aisa nahi lagta ki Dad partiality karte hai. I mean maine bachpan se CID officers ko dekha hai. I still remember Tasha, Kajal,Dr.Diksha, Tulika bahot si female officers thi jinhe Dad ne kayi khatarnak missions pe bheja tha..Wo bhi AKELE. Aur kisi ko kaano kaan khabar nahi hoti thi. Maine khud ne mission ki success parties me gist suna tha missions ka. Dusri baat. Mujhe bahar ka nahi pata lekin CID me promotion experience aur expertise dono se milta hai lekin seniors ka trust sirf apne actions se jeet sakte hai. Daya sir aur Abhijeet sir ko experience aur expertise dono hai lekin Dad ka trust itne saalo se unke actions ki wajah se unhe mila hai. Mujhe hi kitne saare secrets nahi pata hai abhitak. National security is not a joke. Kisi bhi do teen saal purane officers ko national secrets batane lag jayenge to kya hi ho jayega.

Love You ZindagiWhere stories live. Discover now