Andhi takalid, andhi takhalid, ji ha Bilkul sahi suna ap ne andhi taklid yeh her dunya bher kay insano kay zhean ki bimari hai jo nasal dar nasal chalti arahi hai jin mein aksar bhout se padhe likhe log bhi shikar hai
Is duniua kay tamam logo ki zindgi adhe se zyada bas andhi takhalid per depend hogyi hai andhi takhalid her shobe her jagha mazi kay qabal se chalti arahi hai Ab logo ko aur is saamajh ko samjhay bhi tu kase samjhay jabke duniya ki padhi likhi well educated nasal bhi isko na chate huye bhi manti hai. Jabke islam mein bhi pakeye batin logo ne bhi ise mana kia hai,
Jin mein se bhout si andhi taklidh her shobe mein famous hai jise log chate huye bhi chod nahi sakte jase kay are are suraj ghen kay waqt gher se baher mat nikalo especially pregnant women ko tu bilkul bhi gher se baher nahi nikalna chaye, kyonkay bachay kay jisam per nishan padh jata hai, do pregnant women ko ek isath gher mein nahi rhe na chaye warna ek bache death bhi hosakti hai, akhir asi andhi taklidh late kha se hai log,, Aur akhir kare bhi tu kya kare is takidh ko tu kahi ba kahi humari family bhi manti hai aur na chate huye bhi humein bhi maanna padta hai
Aur jo log andhi taklidh ko nahi mante hai tab smaj kay aur humare family members hi kahi na kahi humare andher andhi taklidh ka darr peydha ker dete hai jabke humein pata hota hai kay duniya mein her achi buri cheez God ki permission ki montazir hoti hai aur hum yeh bhi jante hai kay
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
God ki permission kay bina duniya ki koi bhi taqat humein hurt nahi ker sakti phir hum log asi dakhya nosi batoo ko mante hai bhele hi hum is andhi takhalid se bhagne ki koshish kare kahi na kahi hum bhi is andhi takhalid ko zaheni tor per manne ko majboor hojate hai bhele hi hum is andhi takhalid ko apne se dor karne ki koshish kare yeh hum se dor nahi hoparahi hai ab kya kare jab hum sab ka dimagh kisi cheez ko bar bar sunta yaa dikhta hai tu wahi bat humare dimgh kay kisi kone mein gher kerjati hai sach tu yeh hai kay humein iski adat hojati hai
Andhi takhalid logo kay zhen ki bimari ban chuki hai, joke itni asani se nahi jayegi ,, actually yeh logo ki inbuild problem hai isko zhen se nikalne waqt lagyga aur mhenat bhi , yeh andhi takhalid ki bate tabhi khatam hogue jab hum aur ap log ise apne mind se nilkaldegye air yeh agye ki nasaein gher nahi kargyi itne mein hi baat khatam nahi hoti hai humare zindagi kay chote bade kamo mein iska shumar hoya hai, jab humein khate waqt taska lage yaa phir hichkiya aye tu khete hai kay koi humein shiddat se yaad karraha hai jabke iske peeche ik sientificrrason hai agar khate waqt jald bazi mein khana sans ki nali mein chala jaye tu taska lagta hai aur hichkiya tu dehydration ki wajha se hoti hai