REAL PARENTS

327 15 1
                                    

Manik continues," Mujhe kuch samaj nahi raha tha ki main kya karu?? Kya joh Nandini bol rahi thi woh sach tha?? Usne aaj tak mujhse kabhi jooth nahi bola toh aaj bhi kyun bolegi aur woh bhi iss matter par toh nahii bolegi na?? Yeh sab baatein mere maan mein chal rahi thi uss waqt. Nandini ne mujhse pucha ki kya main uski baat par trust karta hunn toh mere paas koi jawab nahi tha. Maine usse sochne aur samajhne ke liye kuch waqt manga aur wahan se nikal gaya."

Nandini says," Mujhe laga tha ki woh samaj jayega ki Naman ne aisa kyun kiya aur uss baat ko past samaj kar hamare relationship ko nahi todega. But jab usne kuch react nahi kiya aur jaane ki baat ki toh meri hope hi tut gayi.

2 Months Later

Main soch rahi thi, Uss baat ko doo mahine hoge but Manik ne aaj tak mujhe ek call bhi nahi kiya aur naahi mujhse milne aaya. Bhagwan ji kya hum kabhi ek nahi ho sakte. Past mein joh hua tha usmein hum kuch nahi kar saake but kya woh past humara future bhi kharab kar dega.
Tabb mujhe Amaira ka call aaya. I just picked up bina kuch soche. She told me ki dad ki halat bohot kharab hai aur woh aapko yaad kar rahe hain. He told me to call you because he wants to meet you.
Maine call rakhte hi change kiya car ki keys li aur ghar se nikal gayi.
When I reached Manik's house,I saw Amaira was very sad and also she was crying. I told her Nanny to take her to the park. But she didn't want to go. I somehow convinced her and sent her. Then I went to Manik's room. He was lying on the bed. He seemed very weak. He had very high fever. I made him sit and asked him what was going on. In an angry tone I asked him, Did you not think of Amaira?? Do you know how badly she was worried for you?? She was crying as she couldn't see you in pain."

Manik says,"Maine usse chup kiya aur sabse pehle SORRY bola for reacting in that manner on her on that day. I told her that uss din tab achanak se baat saamne aane par main kuch react nahi kar paya tha.
But jab ghar aa kar aaram se socha aur samajhne ki koshish kii tabb samjha ki iss sab mein tumhari koi galti nahi thi."

Nandini says," Maine usse samjhaya ki Naman Maria ko chodhna nahi chahta tha but woh yeh bhi nahi chahta tha ki Maria ko uske brain tumor ki baat pata chale. Woh jaanta tha ki Maria tutt jayegi. Maria ke liye yeh digest karna ki Naman usse cheat kar kar duur ja raha hai woh zyada aasan hota naki yeh digest karna ki woh maar kar usse duur ja raha hai. Iss liye usne letter likha aur wahan se nikal gaya. Aur sabse badi baat ki woh ek baacha apne sath lekar gaya kyunki woh nahi chahta tha ki uske Maria ko chodhne ke baad uss par doo bachon ki responsibility aaye. Jab woh mujhse mila tha tabb usne mujhe bola ki uske jaane ke baad main uss baache ko apna samaj kar bada karun aur usse apne parents ka pura nahi par aadha sach bata dunn. Sirf utna ki woh mera nahi balki mere bhai ka beta hai aur uske father uske saath kyun nahi hai. Maine usse Maria ke baare mein Aaj Tak kuch nahi bataya hai aur aage bhi zaroorat nahi hogi toh kabhi nahi bataungi."

Manik says," Main abb sab samajh gaya hunn Nandini. Aur jabb tumne mujhse apna pyaar confess kiya tha tabb main apne feelings ke baare mein nahi jaanta tha. But 2 mahine ki duuri ne mujhe yeh realise karva diya ki I LOVE YOU TOO. Aur abb time waste na karte hue main tumse shaadi karna chahta hunn. Kya tum karoge mujhse shaadi??? Aur Nandini kya hum baachon ko unka sach batayenge ya nahi???"

Nandini says," Batayenge but sahi waqt aane par woh abhi woh waqt nahi hai. Aur main tumse shaadi karne ke liye taiyar hunn because you thought that after you left me I stopped loving you but tum galat the, maine kabhi tumse  pyaar karna choda hi nahi tha. When you left me that day I was completely broken. But dil mein yeh baat thi ki mera pyaar mere paas zaroor aayega. Maine inn doo mahino mein hope chodi hi nahi thi. Aaj bhi agar hum nahi milte ya tum mujhe kabhi nahi bulate toh bhi main hamesha tumse hi pyaar karti."

Manik says," So baachon yeh batao ki tumhe kya lagta hai woh doo baache kaun the???"

Aman says," Kaun honge Papa, of course hum dono hi honge.
Itne intelligent toh hum hai...."

Nandini says," Uske baad tum dono jaante ho ki kya hua tha. 15 days baad humne court marriage kar li aur uske pehle Manik ne Amaira ko hamare baare mein sab bata diya.
Uske baad kya hua???
Toh uska jawab hai.... Kuch nahi.
Shaadi toh bas ek formality thi hum sab toh pehle hi ek ho chuke the. But uss shaadi ke phase mein humein kuch bohot interesting pata chala ki meri best friend Navya, Manik ke cousin bhai Cabir ki girlfriend hai. Aur unhone apna relationship 3 saal se secret rakha tha. Waise woh dono bhi nahi jaante the ki hum dono ek ho jayenge.
Life chalti gayi aur aaj dekho hum sab milkar tum dono ka 10th par ek dusre ke saath pehli baar birthday mana rahe hain."

Story ki ending abhi baki hai mere dost.

Next part coming very soon.

Manan - Bonded by KidsWhere stories live. Discover now