Chapter-3

19 6 6
                                    

Engagement:

(Ayaan saves Amaira from falling.)

Keshav: I am so sorry di.

Namika: Kya karta hai Keshu tu, sambhal ke nahi reh sakte kya tum dono.

Keshav: Sorry mumma.

Amaira: Aree mumma aap isse kyu daant rahe ho, meri galti thi.

Namika: Ab tu isse zyada bacha mat.

Amaira: Kuch dino ki hi baat hai mumma, phir daant lena jitna mann ho isse.

(All 3 get sad.)

Shrey: Kya tum teeno emo hote rehte ho, makeup kharab ho jaayega tumhara.

Amaira: Papa kya yaar aap bhi.

Namika: Chalo bohot bakwas ho gayi. Rasme shuru kare Nisha?

Nisha: Haan ji chaliye, aaj se Amaira officially meri bahu ban jaayegi.

Vihaan: Aur meri hone waali biwi.

Ruhani: Control jija ji.

(Both blush.)

(Both families go towards the stage and start prepping.)

Nitya: Tu theek hai Ayaan?

Ayaan: Ji mumma.

Abhishek: Baad main milata hoon tumhe inn logo se.

Ayaan: Yes sure papa.

Suyash: Yeh wohi haina Vihaan Arora?

Ayaan: Haan CEO of Arora Enterprises.

Suyash: Jisse humne woh deal li thi?

Ayaan: Haan but idhar kaam ki baatein mat kar, kaha koi spy ho pata nahi.

Suyash: Haan that I know.

Ayaan: Good.

Suyash: Chal kuch khaate hai.

Ayaan: Main apni diet nahi chhdota.

Suyash: Tu toh hai hi gadha kahika, mujhe bohot bhukh lag rahi hai.

Ayaan: Jaaaa.

(Suyash goes to the food counter and sees Ruhani.)

Suyash: Aap wohi fashion designer ho na? Ruhani umm

Ruhani: Ruhani Malhotra.

Suyash: Yes I really like your fashion pieces.

Ruhani: Pehli baar kisi ladke ne bola hai aise, thanks a lot.

Suyash: I love fashion.

Ruhani: Amazing yaar.

(Namika calls Ruhani.)

Ruhani: Aunty bula rahi hai, tum yeh sab khana, meri choices hai sab.

Suyash: Yes sureeee.

(Ruhani goes to Namika.)

(Anchor takes mic in hand.)

Anchor: Chaliye ab hum iss amazing couple ka engagement shuru karte hai with the performance of Amaira's younger brother Keshav.

(Keshav dances to Maahi Ve and everyone claps.)

Anchor: What an amazing performance by Keshav. Now time hai Vihaan ki cousin Sweetie ki.

(Sweetie dances on Nachne De Saare and everyone claps.)

Anchor: Wow I am amazed. Time for mummy papa of the couple.

(Both parents dance on Bachna Ae Haseeno and it was a spectacular performance.)

Amaira: Kya dance kiya na inn logo ne.

Vihaan: Haan yaar amazing.

Anchor: Itni enegryy wow. Chaliye lets start the rituals now.

(Both families come and rituals start now.)

Nisha: Chalo ab rings pehnao ek dusre ko.

(Gives ring to both of them. Vihaan gets on his knees.)

Vihaan: My dear Amaira, will you be mine forever?

Amaira: Yes I will be.

(Vihaan makes her wear the ring.)

Sunny: Chalo beta tumhari turn.

(Amaira makes him wear the ring and everyone claps and throws flowers at them. They both take the blessings of elders and smile at each other.)

Anchor: Now it's time for our newly engaged couple to dance.

(They dance on Zaalima.)

Suhana: Cute couple na bhai.

Ayaan: Haan cute couple.

Nitya: Bas ab tu bhi shaadi karle.

Ayaan: Kya mumma phir wohi shaadi.

Suhana: Shaadi toh karni padegi na bhai.

Ayaan: Tu karle pehle shaadi phir.

Abhishek: Chup karo dono, kahi bhi shuru ho jaate ho.

Ayaan: Isse bolo papa.

Suhana: Mumma dekho na.

Nitya: Bas karo, chalo congratulate karne.

Abhishek: Haan chalo.

(They go towards the stage.)

Abhishek: Congrats shrey, congrats bhabhi ji.

Nitya: Congrats guys.

Shrey: Thank you.

Suhana: Congrats Amaira di and Vihaan ji.

Vihaan: Usse di aur mujhe ji, call me jija ji or jiju agar Amu ko behen bana liya.

Suhana: Okie jija ji.

Ayaan: Congrats Amaira and Vihaan.

Amaira: Thank you.

Photographer: Aap sab khade ho jaayie photo ke liye.

(Ayaan, Suhana, Abhishek, Nitya and Nisha are next to Amaira in this order and rest are next to Vihaan)

Shrey: Aap log dinner karlijiye, main thodi der main aata hoon Abhishek.

Abhishek: Aree aaram se, ghar ki hi shaadi hai.

(Sharma family goes and other relatives come and click photographs and give blessings to the couple.)

Shrey: Hello Abhi.

Abhishek: Hello ji. Meet my son Ayaan.

Ayaan: Namaste uncle.

(Touches his feet.)

Shrey: Khush raho beta. Aur kaam sab theek chal raha hai?

Ayaan: Sab theek chal raha hai uncle.

Shrey: Good beta.

Abhishek: Tum hi samjhao isse Shrey, zyada kaam na kara kare.

Shrey: Kyu bhai, humne bhi apne time pe bohot mehnat kari hai, ab in bacho ki turn.

Ayaan: Dekha papa, thanks uncle.

Shrey: Tumhare papa aise hi hai humesha se.

Abhishek: Chup karo dono.

(Abhishek and Shrey start arguing and Ayaan goes with Ayush.)


END OF CHAPTER-3








Love Amidst Files and FoldersWhere stories live. Discover now