chapter 24

835 125 20
                                    

At night .........

Priya - Plz kuch mat karo mujhe chod do plz plz bacho koi

Sana - Priya ankhe khol koi nahi hai dekh sirf hum hai.

Sid - Priya mere taraf dekh koi nahi hai idhar shant ho ja

Priya - Bhaiya woh wohhhhhh mu mujhe

Sid - Koi tujhe kuch nahi karega Tera Bhai hai na tere pass bas chup ekdam shant ho ja. Dekh mein Sana tere sath hai abhi. Soja tu.

Kuch der bad Priya shant hoke so jati hai.

Sid - Yeh sab kya ho gaya yaar..... Nahi rakh paya khayal iska.... Chachu upar se hum sabko kosh rahe honge.

Sana - Ap galat soch rahe ho. Humein pata nahi tha Priya chali jayegi udhar. Par ap sahi waqt pe jake bacha Lia aur woh ladka bhi jail mein hai. Bas humein himmat rakhni hai.

Sid - Tu sahi kahe rahi hai mein apni bahen ko tutne nahi dungi.

Sid hugged Sana tightly and felt sukoon in her arms.

Next morning.........

Ashok - Sana beta Priya thik hai na?

Sana - Papa woh rat ko bich bich mein dar dar ke uth rahi thi. Maine aur Sidharth ne muskil se sulaya tha. Abhi choti ma breakfast khila Rahi hai usko .

Ashok - Thik hai. Beta mujhe ek cup chai dena aur hai sab ko hall pe ane ke liye kaho.

Chaya's room....

Abhi - Sara game to ulta pad gaya humara.

Chaya - Sab us bewakuf parul ke wajah se hua. Kal sab ke samne mafi mangli. Itna muskil se uski brainwash ki thi Sara kiya karaye pe pani fer diya. Sab kuch mere plan ke mutabik ho raha tha. Pehle me iss ghar ko do hisso mein bant ti fir kisi tarah se uss Sid ko fasa ke Sana ko ghar se bahar fekti. Par ab sab ulta ho gaya. Par mein har nahi manungi.

Abhi - Mom ab chod do yeh sab kuch. Hum fas chuke hai. Ab plz kuch aur mat karo app. Humein apne zindagi bhi set karna hai.

Chaya - Tu chup kar ekdom. Mein but cut off bye a maid

M - Chaya didi bade bhaiya ne sabko bahar hall mein bulaya hai.

Hall.....

Dadi - Kya bat hai Ashok??

Ashok - Maine iss ghar ke liye aur sab ke achayi ke liye kuch decision liya hai. Apko bharosa hai na mujhpe?

Dadi - Sab se zada bharosa hai tujhpe. Mujhe pata hai tune Jo bhi socha hai woh sab ke liye acha hi hoga.

Ashoke give two files to chaya.

Everyone confused.

Chaya - Yeh kya hai?

Ashok - Humara jo alishan 3 bhk flat hai yeh uske papers hai jo Maine tere nam kar Diya hai. Aur dusre file pe bypaas pe Jo plot hai humara woh bhi tere nam kar diya. Bahar driver wait kar raha hai jaldi apna sab kuch pack karke udhar shift ho ja.

Chaya - Kyu mein kahi nahi jaungi. Yeh Mera bhi ghar hai. Ispe bhi Mera hissa hai.

Dadi - Bilkul nahi. Yeh ghar mere naam pe hai mein jise chahe usse dungi par tujhe kabhi nahi dungi. Tujhe sharam nahi ati hai tune meri mandir jaise ghar ko tod ne ki koushis ki hai. Yeh Ashok ka achai hai Jo tujhe itna sab kuch diya hai.

Chaya - Maine kuch nahi kiya hai samjhe app. Yeh mere papa ka Ghar hai.

Dadi - Agar aj tere papa Zinda hote na toh tu iss ghar pe kadam bhi nahi rakh pati. Yaad hai na tere papa ne tere kartut ke wajah se tere sath har rishta Tod Diya tha. Unke Jane ke baad Ashok tujhe Ghar leke aye the.

Ashok - Tune apne hi parivaar ko todne ki koshish ki. Itna niche kaise gir gayi tu? Tere pati ke Jane ke bad jab hum tujhe iss ghar mein leke aye the maine Rita ko wada Kiya tha tere wajah se iss ghar ko luksan nahi hoga par tu nahi badli.

Chaya - Hai toh Sara galti meri hai na thik hai kiya hai Maine iss ghar ko todne ki koushis. Bahut planning ke sath maine yeh sab kiya tha. Par iss parul ke bewakufi ke wajah se mein har gayi. Agar app log pehle hi Sidharth ki shadi Neha ke sath kar dete toh mein yeh sab nahi Karti.

Rita - Bas karo chaya. Kan khol ke sunlo yeh jo tumhari samne khadi hai shehnaaz yeh ladki sirf bahar se khubsurat hi nahi balki andar se aur zada khubsurat hai. Joh parivaar ko jod ke rakhna janti hai. Aur ek baat Kan khol ke sunlo Neha ko Bahu banana toh dur mein use apne ghar pe nakrani bhi na rakhu. Samjhi?

Chaya - Sab kuch iss shehnaaz ke wajah ho raha hai isko mein nahi chodungi.

Koi kuch samjhe isse pehle chaya ja kar Sana ki gala dabane ke koushis karti hai. Sid pushed chaya and save Sana from her.

Dadi - Tu pagal ho gayi hai ya kar rahi hai?

Parul - Sana tu thik hai

Sana - Hmmmm

Sid - Bua are u mad?

Ashok - Chaya abhi ke abhi iss ghar se niklo

Chaya - Kyu? Mein nahi jaungi. Ap sab isss Sana ke wajah se humein nikal raho ho na.

Abhi - Bas karo mom plz

Chaya - Abhi tuu bhi

Abhi - Bachpan se bas apko galat karte hue hi dekha hai. Ab plz mom chod do sab. Papa ko kho diya maine. Humare pass kuch nahi hai . Phir bhi mama ne sab kuch de kar humara future set kar diya. Ab yeh nafrat ka khel band kijiye. Chaliye yaha se.

Abhi drag chaya.

Dadi - Ruk ja abhi.

Abhi - Naniiii

Dadi - Sidharth Suraj aur priya ke tarah tu bhi Mera pyara bacha hai. Sab ke zindagi sudhar ne ke liye yeh zaroori tha beta. Apna aur apni ma ka khayal rakhna.

Abhi - Hai Nani rakhunga khayal. Ma ke har galat kam mein maine unka sath Diya hai. Mein ap sab se hat jor ke mafi mangta hu aur yeh wada bhi karta hu ki humare wajah kabhi ap logo ke koi problem nahi hoga. Chalta hu.

Both of them left...

........................

Next chapter se story firse sidnaaz pe focus hoga.

Oo Saathi re ( On Hold )Where stories live. Discover now