================================
Continued from last part....
Abhinav: Are madamji aap baithiye dekho ye rasta tedha medha hai. Ab thodihi der mein last stop aajayega pathankot aap waha uthar jana
Akshara (in mind): Pathankot?? Ye main kaha aa gayi hun?
Akshara: kya??pathankot?? Aap bus rokdijiye mujhe yahi utarna hai.
Abhinav: Madamji meri baat suniye aisa lagta hai ki aap yaha nayi hai aapko nahi pata yaha ka mahol...
Akshara: Mujhe aapki ek bhi baat nahi sunani mujhe utarna hai.
Abhinav: Are abhi aap kyu samaj nahi pa rahi hai. Ye sunsan rasta hai abhi yaha utrke kya karegi aap, abhi stop aatahi hoga.
Akshara: Aap hai kon mujhe bolne wale aur khudko samjhte kya ho? Ye kya abhi abhi lagake rakha hai? Kya chhahte ho aap? Aur aap meri madat kyu kar rahe ho?
Abhinav: Dekho madamji abhi maine aapse pehelehi... Sorry sorry abhi nahi bolna tha...matlab kaha tha na ki main aapse kuch nahi chahta. Rahi baat abhi aapko help karneki to ye isliye kyonki main ek accha aadmi hu. Sorryji phirse abhi boldiya, oui ja our ek baar. Vo kya hai na main kabhi kabhi confuse ho jatahu choti choti baton main. Aur dusri baat....
Akshra: Aap chup kijiye. Jabse dekh rahi hun tabse bolehi ja rahe ho. Itna kaise bol sakte ho aap? Aur har baar ye acche aadmi wala certificate dena jaruri hai kya? Driver please aap gadi rok dijiye.
Conductor: Uski koi jarurat nahi hai. Aap dono ki behes main ye pathankot aa bhi gaya. Madamji aap utar jayiye. Agli bar na travel ke samay paise aur thikana dono dhyan main rakhna.
Aur maharaja aap na jara apni bate,gane aur logon ki madat thoda kam kijiye kyuki aapke bholepan ka fayda ye duniya kabhi bhi le sakti hai.
While abhinav was processing what the conductor had said, Akshara already left from the bus.
Abhinav: Dekhiye bhaiji aapki is baat ka javab main kabhi aur de dunga aapko,par abhi main jaldi mein hun.
......Abhinav: Are ye madamji kaha chali gayi? Pata nahi is shahar ke bare main unhe jankari hai ya nahi. Dikhne main to nayi lagrahi thi. Aajkal ke log bhi na madad karne ke baad thank you bhi nahi bolte..par khair madad karte samay return main kuch chahne ki iccha ki to vo madad kaisi? Lagta hai humara saath yahi tak ka tha. Are mujhe to muskaan ko call lagana tha na? Bhul gaya.
Hello muskaan!!
Muskaan: Sorry bhaiji!! Vo main na bhul gayi aapko batane. Vo padhayi karte samay reh gaya. Sorry ji.
Abhinav: Are ek minute ek minute tu kis baat ke liye sorry keh rahi ho kuch batayegi kya?
Muskaan: Matlab aap pathankot gaye nahi abtak?
Abhinav: Are abhi abhi utra hun main yaha.
Muskaan: Vo darsal hua yu hai ke neelamma na aur do din ke liye pathankot rehene wali hai to aapko unhe lene jane ki jarurat nahi thi.
Abhinav: Aur ye baat tu mujhe pehele nahi bata sakti thi kya? Pata hai tujhe aaj mujhe bus main kitni daat padi hai ?, tu ruk ab yaha kasoli ki bus lagi hai jab ghar aaunga na tab dekhna tum.
Abhinav (in mind): Hat yar ye khamkha meri double journey ho gayi. Ab phirse bus ka travel. Chalo ji.
================================
Thank you for the comments and votes!!
Keep reading the story 😃
YOU ARE READING
Agar tum saath ho...
FanfictionThis story is based on Akshara and Abhinav. (Just a fictional story with my imagination. I don't own any of the characters from the show)