Part-8

660 113 113
                                    

Continuing..

"Par chinta mat karo abhi nhi karenge tumhe..pehle tumhe sab yaad dilayenge phir marenge...tadpa tadpa kar...!" She said evilly, while he is still glaring into her eyes.

Mahila Police Thana..

"Dekho, agar tumne hamara yeh kaam kar diya, toh hum tumhe is kaam ke badle das hazar denge.." Haseena said during the phone call.

"Madam, aap samjh kyun nahi rahi hai, ek saal baad pata lagana kuch bhi bahut hi jyada mushkil hai... aur woh bhi unke bare mein... khatra hai jaan ka, das hazar nahi..." The caller replied.

"Thik hai, jitna tum bolo utna denge, bas mujhe jald se jald details chahiye.." she said.

"Thik hai, kaam hote hi milte hain.." the person said and then cut the call.

"Kis se baat kar rahi thi aap, maddam sir?" Karishma's voice startled Haseena. She turned to her and smiled softly.

"Aap yahan?" She asked.

"Haan, hum yahin honge, SI jo hai yahan ke..." KS replied.

"Matlab aap ghar nahi gayi?"

"Nahi, woh Billa ko bheja hai Dhruv ke bare mein pata lagane ko bas. Par aap kiske bare mein pata lagane ko bol rahi thi phone par?" KS asked.

"Woh... Bakshi sir ke bare mein..." Haseena replied. "Kyun? Unke bare mein kyun?"

"Hume un par ab doubt ho raha hai.." Haseena answered.

"Kuch hua kya?" KS asked worriedly.

"Nahi, bas us din court ke baad hum ghar gaye aur shanti se court ki baaton ki yaad kar rahe the, tab hume yaad aaya ki woh PD, woh itni important PD, Bakshi sir ne hamare hosh mein aane ke baad mangi hi nahi, aur na puchha humse ki woh kahan hai? Anubhav ke maut ke baad bhi nahi... PD itni important thi phir bhi aapne jab use destroy karne ki koshish ki Anubhav ne, aapko mara nahi... unke liye toh crore ki thi woh... bas dhamkaya aur hume marne ki koshish... kyun?" Haseena shared her doubts with KS.

"Yeh toh humne bhi nahi socha, woh pendrive jab itni important thi toh Bakshi sir sawal kyun nahi kiye humse.." KS said, puzzled.

"Wahi, KS, wahi jaanana chahte hain hum... jab woh pendrive itni important thi ki uske liye ek agent ko maar diya gaya, Bakshi sir ko fark hi nahi pada us pendrive se.." She said, thinking something, trying to put pressure on her memory.

"Ek second, ek second... yeh pendrive... Satya yani Vikrant ne hume hard disk diya tha, phir woh pendrive kahan se aaya?" Haseena said, puzzled.

"Kaa...??"

"Haan, Karishma Singh, hume hard disk mila tha jise humne chhipa kar rakha tha, phir yeh pendrive... yeh kahan se beech mein aaya aur itne mahine se hum pendrive ke pichhe kyun pade the...!" Haseena asked herself as she slowly remembered all the things.

"Nahi madam-sir, aap shayad chot ki wajah se bhool gayi hain... pendrive hi hogi..." KS said to calm her.

"Nahi, KS, hume acche se yaad hai woh ek hard disk thi... aur humne jo list dekhi thi, usme Vikrant aur Anubhav dono ka naam tha, yani Vikrant janta hoga Anubhav ko aur agar woh Anubhav ko janta hoga, toh hume bhi janta hi hoga... usne milne par humse bola bhi tha kafi suna hai aapke bare mein... aur agar woh janta tha ki hum kaun hain, toh woh Anubhav aur hamare bare mein bhi janta hoga, woh apni jaan bacha raha tha, yani woh janta tha ki uske pichhe kaun pada hai, phir kaise woh hamare paas hard disk chhod gaya, kyunki humse toh aasani se Anubhav hard disk le lete...!" She said, questioning.

Mohra Where stories live. Discover now