HM emotion

247 17 2
                                        

Hello everyone there is Sixth part of my first story on this account...

So let's start...

To be continue...

Enjoy ❤️❤️...

♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️♥️

So in HM room FM are sleeping, CMC are in washroom and HM sitting on bed beside FM and tapping her head lost in somewhere...

HM in mind- yaa Allah aj apne hame kis chiz ki saza di hai k jin logo ki ham shaqal bhi nahi dekhna chahte thy aj apne hame unhi k samne la kr khada kar diya... Oo...or h..hamse it...itna bdha gunah karwa diya hamara bacha hamara Vivan aj itna bdha ho gaya hai hame woh kitni ummidon se dekh raha tha k ham uski mimmi use gale lagayngi usse pyar se bat karengi or ham hamne use dhakka de diya use pahechanne se Inkar kar diya uski ankhon mai woh ansu hamari wajah se ay hai us parivar mai ek wahi to hai jo hampr bharosa karta hai or aj hamne uske hi sath esa vyavhar kiya uus bache k dil pr kya bit rahi hogi...yeh sb unlogon k wajah se hua hai woh logon ki shaqal dekh kr hi hame un manhus palon ki yad a gayi jinhe ham chah kr bhi nahi bhul pa rahe hai ham kaise rahenge un logon k sath ham kyu un k bare mai itna soch rahe hai wo log to hame bhul bhi gay honge pr ya allah yeh apne hame kaisi musibat mai dal diya hai k ham chah kr bhi yaha se nahi ja sakte hamare desh ko hamari jarurat hai ham apne past ki wajah se apne desh k sath gaddari nahi kr sakte...e..ek minute p..pr F..Fatima agar Anu... Anubhav logon ko Fatima ki asliyat pata chal gayi to nahi ham yeh nahi hone de sakte ham itne rishton ko khone k bad ham aj Fatima ki wajah se Zinda hai agar Fatima na ayi hoti hamari zindagi me to ham kabka mar chuke hote ab ab ham apni beti ko nahi kho sakte nahi ham iske bina nahi ji payenge nahi chahe kuch bhi ho jay hame Fatima ko un logon se dur rakhna hoga....ya Allah hamara sath diye ka hamari beti ko hamesha hamare sath rakhyega ham uske bina mar Jayenge...wese ek pal mein zindagi kitni badal jati hai na agar us din Anu...Anubhav ne hamper bharosa kiya hota to aj ham wo or hamari Fatima Khushi Khushi ji rahe hote...log kitne jhuthe hote hai na hamesha Anubhav kahte thy k unhe unse bhi jyada ham pe bharosa hai par us din...

Flashback 1-

AS- apse hame yeh ummid nahi thi Haseena ji apke hame itna badha dhokha diya hai...

Ap jhuthi hai... Ham aj pachta rahe hai k hamne ap jaesi dhokhebaaz, charitraheen (carecterless)  ladhki se prem kiya...

Hame apki shaqal nahi dekhni hai...

Ap katil(murderer) hai...apne ek masum ki hatya ki hai woh bhi is admi k liye...

Ham apke sath nahi rahe sakte hame talaq(divorce) chahiye...

Flashback end

Hm had tear in her eyes- apne woh sare ilzaam lagane se pahle ek bar bhi nahi socha or ham pr itne gande ilzam laga diye... Pr KS ap ap to hame Anubhav se pahle se janti thi na apne bhi hamari ek bar nahi suni ap to hamari best friend thi na apne bhi hampr bharosa nahi kiya apne bhi hamper ungli uthai...

Flashback 2-

KS- apko hame bhabhi kahne mai bhi sharam a rahi hai apne hamare Bhai ko itna badha dhokha diya hai ham apko kabhi maf nahi karenge...

Hamko apki shaqal se bhi nafrat ho gai hai Hamara dosti shabd par se hi bharosa uth gaya hai apki wajah se ab ham kisi pr bharosa nahi kar payenge...

Ap katil hai ap gunahgaar hai apke liye maut ki saza bhi kam hogi...

Apne is shaqsh k liye hamare bhayya ke sath vishvasghat kiya ham apko kabhi maf nahi karenge...

Jii bhayya ap sahi kah rahe hai ap de diye inhe talaq(divorce) ham apke sath hai...

Flashback end...

HM apko hamari itne salon ki dosti pr itna hi bharosa tha...are ham apko kyu kah rahe hai jab hamari sagi maa ne hampar bharosa nahi kiya or hamper itne gande ilzam laga diye...or sath hi sath hamari or do maa bhi tino Mao mai se kisi ne bhi hamari sachai pr bharosa nai kiya...

Flashback 3-

TS(AS mom)- Haseena hame yakeen nahi ho raha hai k tum esa kuch kar sakti ho hamne kabhi tumhe Karishma se kam nahi samjha hai hamare liye tum hamesha Karishma or Anubhav ki tarah thi...Pr tumne hamare baccho k sath itna badha vishvasghat kiya...

Ham tumhe kabhi maf nahi karenge...

Tum ham sab ka vishwas todhogi yeh hamne kabhi nahi socha tha...

Hame tumhari shaqal se bhi nafrat ho gai hai...

Nikal jao yaha se kabhi hame tumhari shaqal mat dikhana koi jagah nahi hai yaha tumhare liye...

PS- hame to apko MaddamSir bolne mai bhi sharam a rahi hai...

Apne hamare bete ko dhoka diya hai ham apko kabhi maf nahi karenge...

Ap jhuthi hai jhuth bol rahi hai ap....

SM (HM ammi)- Haseena aj ham tumhare wajah se kisi se ankhe milane k kabil nahi rahe tumne hamko aj sabke samne sharminda kar diya hai...

Hame sharam a rahi hai tumhe apne aulad kahte hue...

Nikal jao hamari zindagi se ham man lenge hamari koi beti nahi hai mar gai hai tu aj se hamare liye...

Flashback end...

Ap sb ne hamare sath acha nahi kiya hai or ham apko iske liye kabhi mat nahi karenge... ap ko us pr bharosa tha pr hamper nahi... Ham nahi sochenge ap sb k bare mein haa isse hame hi jyada taqlif hogi ham yaha mission k liye ae hai to bas us pr hi dhyan denge... Hame kisi se bhi koi matlab nahi hai...(but she started crying)

💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔💔

So here is it...sorry guys kal I mean parso Friday ko published nahi kar payi actually heavy rain ki wajah se network problem ho raha tha or jab bhi published karne ja rahi thii tub mera adha part gayab hi ho ja raha tha or aj bhi yahi hua mene 2000+ words ka part kal likha tha or draft pr rakh diya tha or abhi jab mai Manan ki story padhne k baad part ko publish Kiya tb wo 1000+ bhi word ka nahi bacha par thank God k abhi atleast adha hi sahi par part publish to hua... So read it and guys show me some love and support for increasing me to wrote regular story...

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Author- Jannat ❤️❤️

Next part- Anger Overload...

Nafrat se dubara pyar tak safar💔💔💖💖(AnuSeena)Where stories live. Discover now