Chapter 15

342 14 3
                                    

Arnav was getting more confused with ongoing situation. Abhimnayu knew that this time Ravish in his anger went too far. Ravish with full knowledge intentionally hit chord named Nidhi. He knew when Chetnaya was acting stubborn; there is no need of polite conversation. He did his work, now he had to wait for results.

Ravish – "Sach jane bina mein nahi jane wala."

Chetnaya – "Konsa sach janana hai tujhe? Ye janana hai ki mene kaise Arnav ke sath galat kiya? Kaise uska sab kuch cheen liya? Ye batau tujhe ki meri vajah se aaj bhi jab bhi Arnav ka naam lene se pehle former Indian captain who was accused for match fixing bola jata hai? Ye janana hai ki kaise meri ek absence se Yash par sawal uthte hai.

Ravish - mujhe laga mein Chetnaya Bhardwaj se milne aaya hu jisse pata hai ki kab kiske liye kaise stand lete hai. Mein us interview wale Chetnaya Bhardwaj se milne aaya tha jisne bina kuch soche apne dost ke liye us interviewer ko suna diya tha.

Chetnaya- "Ab pata chal gaya na"

Ravish- "haan, tu to bas blame karne ke laga hua hai."

Chetnaya – "blame nahi kar raha, sachai bata raha hu sachai."

Ravish – "ugghhh. I can't handle him. Tujhe lagta hai ki tu kuch bhi bolega mein sun lunga."

Abhimanyu- "Ravish, tu bahar ja. Cool down and then come."

Ravish - "isse smamjhne ki jarurat hai. Ek galti karta hai phir usse sudharne ke moke dundhta hai. Jab vo moka milta hai to dusri galati kar deta hai. Kab tak chalega aisa."

Abhimanyu – "Ravish, tu abhi bahut gusse mein hai. Aise baat karne se koi matlab nahi hai."

Ravish – "Abhimanyu, mera gussa galat hai kya? Isne pehle Arnav ko bola, jab isko Nidhi ne samjhana chaha to usse jane ko bol diya. Kal ko ye tujhe aur mujhe bhi bol dega ki tum bhi jao."

Chetnaya – "Shyad ab hume thodi der baad milna chahiye."

Arnav-"Nahi, mujhe sach janana hai"

Abhimanyu – "Chetnaya batana ya nahi batana teri marji hai lekin jab baat arnav se related hai to usse to ye baat pata honi chahiya na. Vo itna capable hai ki sahi galat ka decision le sake."

Chetnaya – "Itna capable hota to yaha mere paas aakar apna time nahi kharab kar raha hota."

Arnav – "Tujhe lagta hai ki mein time kharab kar raha hu?"

Chetnaya – "Tum sab jao yaha se, jo bhi bolta hu usko galat hi samajh rahe ho."

Abhimanyu – "Tu samjha de na phir. Mujhe sach pata hai, inhe nahi."

Chetnaya- "Kya samajhau? Mein sirf Arnav ki jindagi ki das saal purani galti hu jo usne mujh par vishwaas karke kari thi. Tum sab chahte ho ki mein isse vo galti phir se karne du. Mein iski khushi chahta hu jo ki mere sath reh kar kabhi nahi mil sakti."

Ravish – "Ridiculous"

Chetnaya – "Mein is dosti ke kabil nahi hu. Shyad tum sab bhul gaya honge, par mein nahi bhula ki das saal pehle mene kya kiya tha. Apne hi dost par bharosa nahi kiya. Arnav best friend kehta tha mujhe par mene ispar vo iljaam lagaye jo ye kabhi sapne mein bhi nahi soch sakta tha. Aisa dost hone se acha hai ki dost hi na ho. Das saal mein ye sochta raha ki mene Arnav se uska career cheen liya. Sochta tha ki agar mein bharosa kar leta to vo hum sab ko chod kar nahi jata. Tum dono ke sath tumhara dost hota, Yash, Neeraj baki sab ke sath unke bhaiya hote. Abhimanyu shyad tujhe nahi pata, sachai to ye hai ki mene Arnav se career hi nahi, iska confidence, iske rishte sab cheen liye, yaha tak ki iske jeene ki chah bhi cheen li. Such a horrible friend."

Friends but not friendsWhere stories live. Discover now