Haldi ki rasam k baad aradhya bilkul thak gayi thi wo kamre me jati hi so gayi .
Subha subha pure ghar me mehndi ki tayyari chal rahi thi .Aradhya ki maa uske kamre me usko jagane k liye ayi .Aradhya badi masoom lag rahi thi unhe ehsas hua k do din baad inki beti unhe chodhe k chali jayegi .wo pyar se apni beti k baal sehlane lagi unki ankho se ik ansu nikla jo Aradhya ki chehre pe jaa gira .Aradhya aachanak se uth gayi aur ghabrate hue pucha "maa kya hua app ro kyun rahi hain?sab thik hai na ?Aradhya ki maa ne kaha " haan beta sab thik hai bus dukh ho raha hai k tum hume chodh kar chali jaogi isliye ansu aa gaye .wo ansu pochte hue bol rahi thi aradhya se apni maa ko gale lagaya .uski maa ne kaha "haan bus ab utho aaj tumhari mehndi hai jaldi tayyar ho jao aur Nashta kar lo beta "
Itna keh kar wo wahan se chali gayi .aradhya naha dho kar sabke sath nashta karne lagi .dekhte dekhte waqt mehndi ka ho gaya .
Rat ko pure chand ki roshni me mehndi k jashan ki tayyari chal rahi thi .aradhya apne kamre me mehndi ka pyara sa dress pehne gehne pehan rahi thi .phulon wali bindiya ,phulon wala mala ,haton me phulon k kangan mathe pe choti si bindi kano me halke halke jhumke .usne tayyar ho kar apne app ko shishe me dekha .kisi rajkumari ki jaisi lag rahi thi wo pehle to wo bahut zyada khubsurat thi aur ye shringar use aur khubsurat bana raha tha .usne apni ik tasveere Abhay ko bhejh di .Abhay ne photo dekh k reply diya "hayee kya jaan lene ka irada hai doctor ki .app ayese husn ki bijliya girayengi to abhi aa jayenge barat le k " ye reply dekh kar aradhya k chehre pe muskan aa gayi usne phone rakh kar niche chali gayi .bade maidan ko phulon se sajaya gaya tha har taraf rang birangi lights .khelte hue bacche ,gossip karti aunties, tarif karte hue relatives, dance karte hue Aradhya k friends aur side me udas phupha .aradhya ne jab apni mehndi ka jashan dekha aur khush ho gai aur dil hi dil me kehne lagi "agar yahan Abhay hote to aur accha hota ".........................
Aradhya aa kar apni jagah baith gayi jisi bahut sajaya gaya tha wo ik jhula tha sabne rasme shuru ki aur mehndi wali ne mehndi lagana shuru kiya aur dusri taraf nach gana bhi chal raha tha..........°❄️❄️❄️❄️❄️❄️❄️❄️❄️❄️❄️❄️
Sab log mehndi ki rasam k liye aradhya k ghar nikal gaye the ghar me bus kuch mard aur abhay aur uske dost the .Abhay apne doston k sath baitha hua tha k usko aradhya ne ik pic bhejhi jisme wo behad sundar lag rahi thi .usne reply diya aur uske bare me sochne laga .waise aaj abhay bhi kuch kam nahi lag raha tha .green kurte me wo bahut handsome lag raha tha har ladki ki nazar bus usi pe thi ..sab dost uska mazak uda rahe the kartik ne pucha " tune sachi me aradhya ko pehli baar uske ghar me dekha "abhay ne kaha " nahi " phir sabne pucha phir kahan dekha sabse pehle
....kuch samye pehle 💜💜💜💜
Abhay ik operation k liye jaldi me tha .magar wo traffic me phus gaya .ajmer me aaj uska dusra din tha .itne me ik ladki white frok khule baal ,ankh me kajal .,kano me halke jhumke hath me ik chota sa bag .ye first time tha jab abhay ne kisi ladki ko notice kiya aur wo road par karke uss se dusre pal alag hone wali thi itne me uski saheli ne uska naam pukara "aradhya jaldi kar der ho jayegi"
Abhay ne muskura kar kaha aradhya!
Pata nahi kyun tumhe dekh kar pehle pal main tumhara ho gaya .aur main is pal me ye kasam leta hun k agle ane walo pal me tum meri banogi .........uske baad abhay ne apne maa baap ko aradhya k bare Main bataya jab usko pata chala k aradhya uske papa ke dost ki beti hai to wo bahut khush hua aur uske ghar rishta bhejha .aur unn logon rishta taye kar diya ab Aradhya Abhay ki hone wali thiPresent time 🕛🕛🕛🕛🕛
Jab sab logon ne Abhay ki baat suni to sab k mun khule k khule reh gaye sabne kaha "bhai tu to humse bhi age nikal gaya direct rishta bhejha bhi diya aur usko apna bana bhi liya wah bhai wah.....sabne wah wah ki aur abhay ko apne app par fakar hone laga k usne apni mohabbat ko paa liya(Sacche pyar apna rasta dhund hi leta hai vote if u like )💜💜💜💜💜
YOU ARE READING
sath vachan
Romancea beautiful love story which are bounded by seven promise of life