chapter -1.

87 3 0
                                    

Ruhaan:- hey bro!!!

Harry:- Hey,, ye kahan jaane ki tyyari ho rahi hai haan....

Ruhaan:- mai India ja raha hoon!!!

Harry:- kya, ye tu kya bol raha hai bro, tujhe toh India se nafrat hai na kyunki wahan....

Ruhaan:- kyunki wahan Tanya rehti hai right!!!

Harry:- haan,, tera aur bhabhi ke divorce hue 10 saal ho chuke hain aur tu wapas kyun jana chahta hai....

Ruhaan:- mai apni beti ke liye wapas ja Raha hoon!!!

Harry:- kya.... Rhea ke khatir.....

Ruhaan:- haan, woh 18 saal ki ho gayi hai, har birthday pe mujhse yahi sawal puchti hai ki dad meri mumma kahan hain!!! Aur mai usko aaj tak koi jawab nahi de paya aur woh toh sachh bhi nahi janti ki uski maa zinda hai, aur bas saath nahi rehti!!!

Harry:- kya itne saalon baad ja kar bhabhi tujhe accept karegi....

Ruhaan:- mujhe accept karegi ya nahi ye mujhe nahi pata lekin haan, apni beti ko woh nahi chodh sakti iss liye mai apni beti ke liye uske saath ek nayi zindagi ki shuruaat karna chahta hoon!!!!

Harry:- bro sachh mein yaar, tu ek bahut accha baap hai....

Ruhaan:- jo mujhe meri beti ne bana diya hai!!! Tujhe pata hai itne saalon mein ek din bhi aisa nahi gaya jab Maine Rhea ko miss na kiya ho.... Bas apni beti ke liye mai apne aansu chupa leta hun aur apna dard uss ke saamne zahir nahi karta!!!!

Harry:- chal mai tujhe airport drop kar deta hoon....

Ruhaan:- drop nahi bro tu bhi mere saath chal raha hai!!!

Harry:- kya bakwas kar raha hai tu haan.... Tera dimag toh theek hai na hmmm....

Ruhaan:- haan mai theek hun lekin tere bina!!!

Harry:- tu apni mohabbat se milne ja raha hai, aur mai tum dono ke beech nahi aa sakta samjha please samajhne ki koshish kar .....

Ruhaan:- please yaar tu mera best friend hai na please!!!!

Harry:- theek hai sirf tere khatir chal Raha hoon....

Ruhaan:- thank you so much bro!!!

Harry:- your welcome.... Ab chal late ho Raha hai....

Ruhaan:- Rhea chalen!!!

Rhea:- hum Kahan ja rahe hain dad....

Ruhaan:- tumhe tumhari mumma se bahut pyar hai na!!!

Rhea:- haan.... Lekin aap mujhe unse milwate kyun nahi.... Aisi bhi kya majburi hai ki aap aur Mumma ek saath nahi rehte... Boliye na....

Ruhaan:- sahi waqt aane par tumhe saara sachh pata chal jayega theek hai ab chalo zyada sawal mat pucho!!!

Rhea:- sure...

HAMARI ADHURI KAHANI.....Where stories live. Discover now