DDG ~ 14.

927 195 10
                                    

Haseena pushpa ji k pass jate hai aur pushpa ji ka aasirwad lete hai.... Pushpa ji Kuch bolne ki halat me nahi the.... Haseena sab ka reaction dekh Thoda nervous ho Jate hai... Lekin wo khud ko compose karte hai aur pushpa ji se bolte hai...

Haseena: aama...

Pushpa ji: Hasu yeh sab Kya hai...

Haseena: Hum Bata rahe hai... Pahle ab Shanti se baithiye...

Haseena pushpa ji ko aache se baitha te hai aur khud pushpa ji k samne knee pe baith jate hai... Yeh dekh ek guard Kuch bolne hi wala tha ki Ruhan uss Guard ko bolne se rok deta hai...

Haseena: aama aap Ayan Malik ko jante hai...

Pushpa ji: unhe Kon nahi Janta hai hasu... Wo bhaut hi aache aur sache insan the jinhone bhaut se garib logo ki bhaut madat ki huwe hai...

Haseena: aur unke death kaise huwe yeh aap ko pata hai...

Pushpa ji: Kisi ne unhone goli marde the...

Haseena: Jii ha... Aur hum hai Ayan Malik k bade bete Haseena Ayan Malik...

Cheetah: aur hum sab se chote bete Cheetah Ayan Malik...

Pushpa ji, Santosh: Kyaa...

Pushpa ji: to Hasu Tum itne din se yeh bus driver hone ka natak Kyu kiya... Aur cheetah ko uss college me Kyu padha rahe ho jisme srif middle class family k Bache padhte hai...

Haseena: Hum aap ko sab Bata rahe hai aama... Aap pahle promise kigye ki iske baad aap Hume chor kar nahi jayenge...

Pushpa ji: pahle puri baat batao Hasu...

Haseena: aacha thik hai... Aap ko pata hai humare abbu bhi ek school bus driver the... Unhone bhaut mehenat kar itna baad Naam hasil Kiya tha... Lekin Naam k Saath Saath unhone bhaut se dushman bhi bana liya tha... Abbu k business itna aacha ho gaya tha... Ki Baki business man ki bhaut jal rahe the... Abbu Charo or se aapne dushamn k Saath gher gaye the...

Ek din ki baat hai abbu railing me gaye huwe the... Aur yeh railing garibo bacho k liye the... Isse railing me abbu ko Kisi ne goli marde... Aur uss waqt hum London me the... Kuch business meeting k liye hum London gaye huwe the.... Jab Hume pata chala ki abbu ka murder ho gaya tha tab hum pure tarike se tut gaye the... Hum London se wapas Aaye aur direct abbu k room me gaye...

Abbu k room me Hume ek letter mile Jo abbu ne humare liye likhe huwe the... Wo letter hum padh shock ho gaye the...

Santosh: aisa Kya likha tha letter me Bhai...

Haseeena: abbu ko pahle se hi pata tha ki unke uppar hamla hone wala hai kahe kar... Aur abbu ne railing Isliye cancel nahi ki Kyu ki usse se bhaut se Bache ki Zindagi kharab ho Jate hai...

Karishma: wo letter me Kya likha tha haseena...

Haseena: Wo letter me abbu ne kaha tha Hume ki hum ek bar Kisi bhi school k bus driver bane aur jaise Zindagi unhone ne jee the wohe Zindagi hum bhi jiye aur uske baad hum Malik Empire k real Owner ban sakte hai... Kuch der me lawyer aayega aur sab chiz legally mere Naam handle ho jaye fir uske baad uss insan ki barbadi suru hoge Jisne mere abbu ko mara tha...

Haseena aapne aasu control karte hai... Pushpa ji haseena ka face cup karte hai aur haseena k forehead pe deeply kiss karte hai.... Haseena smile karte hai tabhi Karishma haseena k nose pe blood notice karte hai...

Karishma jaldi se haseena k pass jate hai aur dekhte hai.... Haseena Karishma ko dekhte hai aur bolte hai...

Haseena: teacher Kya huwa...

Karishma: aap ke nose se bleeding ho rahe hai haseena..

Ruhan: Kya firse... Cheete jaldi se doctor ko bola... Bhai aap room me chaliye...

Haseena: ru hum thik hai....

Ruhan: Bhai...

Haseena: ru....

Haseena khade hote hai tabhi usse chakkar aane lagte hai aur wo girne hi wale the ki Karishma haseena ko pakad lete hai.... Guards jaldi se haseena k pass aate hai aur haseena ko room me le jate hai... Sab bhaut panick ho jate hai...

Ruhan: Guards security tight kar do... Cheetah jaldi se sare doctor ko immediately aane k liye bolo...

Cheetah: Jii Bhai...

Karishma: Ruhan lekin huwa Kya hai...

Ruhan: teacher hum aap ko baad me Bata te hai... Abhi Bhai ki health jaruri hai...

Puru ( crying voice ): Mumma best friend ko Kya huwa...

Ruhan: aap ke best friend ko Kuch nahi hoga bacha don't worry...

__

Doctors aa gaye the... Aur haseena ka check up kar rahe the... Ruhan ko chor Baki sab haseena k room k bahar the... Karishma k aakho me se aasu gir rahe the aur Santosh Karishma ko sambhal rahe the....

Pushpa ji: Cheete tu Bata Kyu nahi raha hai hasu ko Kya huwa hai...

Cheetah: aama Kuch der me Dr aa jayenge to wo khud Bata denge...

Cheetah Bhaut mushkil se bolta hai.... Pushpa ji cheetah ka hair cress karte hai lekin cheetah Pushpa ji ko hug kar leta hai....

Kuch time baad Dr aur Ruhan room se bahar aate hai... Karishma jaise Dr ko dekhte hai wo jaldi se Dr k pass jate hai aur bolte hai...

Karishma: Dr. Wo haseena...

Dr: Malik shaib filhal to thik hai lekin agar aise hi chalta gaya to Malik shaib ko cancer hone me time nahi lagega...

Karishma: KY...a..mtlb...

Dr: Malik shaib din k 8 to 10 cigarettes Pete hai... Jiske wajah se unke body weak ho rahe hai... Pahle to Malik shaib control me Pete the lekin pata nahi ab Kya ho gaya hai ki wo itne zayada pee raha hai...

Karishma: Haseena smoke karte hai...

Karishma Ruhan cheetah ko dekhte hai... Dono aapna head down kar lete hai aur Ruhan bolta hai...

Ruhan: abbu k Jane k baad Bhai puri Tarah change ho gaye hai... Wo pahle kabhi bhi smoke nahi karte the... Lekin abbu k Jane k baad Bhai bhaut stress me rehene Lage aur tabhi Bhai k ek dost ne bola ki smoking karne se stress free ho Jate hai aadmi... Aur usse ki wajah se Bhai ko smoking ki adat Ho gaye aur jab bhi stress hote hai to wo smoke karne lagte hai...

Karishma nod karte hai aur haseena k room k aandar jate hai... Baki sab bhi Karishma k piche piche haseena k room me jate hai... Aur dekhte hai Haseena medicine k karan soye huwe hai....

Karishma: Ruhan cheetah haseena ka Pura room dhundo jaha pe cigarettes milte hai wo sare cigarettes Liya kar Hume do...

Ruhan, cheetah: Jii...

Ruhan cheetah Sara room dhundne lagte hai... Aur room k har ek corner se cigarettes mil rahe the yeh dekh sab kafi shock ho Jate hai...




Part end ❤️ !!

Thank you and sorry for the mistakes 🦋 !!



Dil Diya Gallan Ft. Kareena !! ( Completed )Where stories live. Discover now