Haseena locked herself in bathroom, she was feeling so helpless, she fallen down on her knees & cried a lot without making any noise. Bathroom k bahir s.sharma ghussay mai bathroom k gate par zor zor se hit kr rha hota hai so that HM ko bathroom se bahir laa saky..phr thori der bad bahir se awazein aana bnd hojati hain..HM abhi bhi kneel down position mai hoti hai, after some time Somehow she managed herself, stand infront of mirror, her eyes became dark red due to continuously crying
Infront of mirror
Tear dropping from her eyes
Ab yhi tumhri Zindagi ki sachai hai Haseena Malik, sary sapne sary khwab sab bikhar k reh gaye..sab tut gaya, Zindagi ek khilona ban k reh gae hai, Tum (towards herself infront of mirror) bht bebas ho haseena Malik bht bebas... Na chahtay hoay bhi tmhn apne maa baap k lye is jahanum mai rehna ho ga, apne chehray par jhutti Khushi ka khol charhana ho ga, said HM
A hurtful tear drop from her eyes but she wiped it harshly
Lekin mai us ghatya insan ko khud k qareeb kabhi nhn Anay dun gi, wo insan nhn janwar hai...ek social animal Jo hum sab k beech insan bana ghum raha hai, aur ye hamari society aese lougon ko unka asli chahry dekhay Bina hi bht samman deti hai, unhn sar par bithati hai jab k wo to is dunya mai jeenay k laiq nhn...
Nhn manun gi Mai samaaj k is khokhlay niyam ko, Meri Zindagi Meri hai aur Mai usay Kisi janwar k hathon ka khilona kabhi nhn bananay dun gi...lekin phr Ami abbu...unki Khushi unka bharosa....
Apne face apne palm mai chhupa k ronay lagti hai
Sab barbaad hogya sab barbaad hogya
Wo bath tub se Tek Laga kar apna face hide krky ronay lagti hai, uski shadi ka Pura manzar uski ankhon k samne aa raha tha, usky parents ki wo sukoon wali muskurahat....aese hi rotay rotay wo sojti hai
Krish side
Krish wo slap ki awaz sun k bht hi zyada bechain hota hai, usay samajh nhn aa raha hota k wo kia kry..uski puri body bukhaar mai jal rahi hoti hai, lekin is waqt uski sochon Mai haseena k siwaye aur Kuch nhn chal raha hota..uska Dil kr rha hota hai k wo sab Kuch tabah krde sab Jala k raakh krde...wo apne fits tight Kiye restless room mai ghoom raha hota hai aur lagataar haseena ka number dial kr rha hota hai Jo ab switch off aa raha hota hai... Kafi dafa sudden chakkar aa janay se gir jata hai but Kisi na Kisi trhan wapis khud ko khara krta hai aur haseena ka number dial krne lagta hai
Krish ghussay mai apna hath wall par maarta hai, jis wajah se usky hath se bleeding honay lagti hai. Lekin usay tou jese Kisi bat ka hosh hi nhn hota, wo Bina apne hath ki parwah Kiye room se bahir aata hai aur driver ko gari nklne ka kehta hai
Driver usky hath ki chot dekhta hai aur dartay hoay kehta hai
Dri: sir Aapky hath se khoon aa raha hai
Krish: (with absent mind) ye us Dard se bht Kam hai
Dri: (dartay hoay) sir wo please aap bandage krwa lety tou...
Krish: (sternly) jitna kaha hai utna karo, aur jitni taiz chala saktay ho utni Tez chalana..samjhe
Dri: Ji sir samajh gaya
Malik house
Krish continuous door bell baja raha hota hai, SM aur NM door open kartay hain aur Krish ko wahan kharay dekh bht zyada shocked ho jatay hain, diya bhi continue bell ki awaz se apne room se bahir aati hai aur Krish ko wahan khara dekh wo bhi shocked ho jati hai
Suddenly SM hold krish's collar in his hand tightly
SM: (in anger) tmhri himmat kese hoi Yahan aanay ki?? Nkl Jao abhi k abhi