Pehli Kadam 🥀

851 42 2
                                    

Author's Note:
Yeh usdin ki baat hai jisdin do Dil, do insaan apna pehla kadam uthate hain apne apne raaston ki shuruwat karne par unlogo ko kya pata tha ki Raab ne unlogo ke raaston ko pehle se hi jod diye the ek bandhan se Jo ki bohot hi kamzor aur komal tha par use majbut banane ka zimmedari undonokohi tha.

Kahaani ka shuruwat:

Ek ladki apne Ghar mein apne pitaji k tasvir k samne khare hokar apne pitaji ko kiye huye wadoo ko yaad kar rahe the. Ansu uske ankhon mein to the Jo ki ek gehri samandar se Kam nhi the par dard zyada hone k Karan wo azaad ho kar beh nhi pa rahe the.
Ladki 1: Baba aj hum apko diye huye wadoo ko pura karne k liye apna pehla kadam utha rahe hai. Hum ajse pran lete hain hum apne naye school mein Jake bohot achhe se parhai Puri karenge aur fir hum ek nishthawan jawaan banenge aur apne Desh maa ko humesha sabke aage rakhenge taki ap jaha bhi honge humesha humare liye sirf aur sirf garv mehsus karenge. Ashirvaad kijiyega.
Tabhi ek aurat apne haat mein naasta leke ata hain aur uske kandho par apna haat rakhke kehte hain.
Lady 1: Kishu naasta karle beta school janeka samay ho gya hain. Pehle hi din late hona achha nhi lagta na. Tere baba humesha jaha bhi honge humesha tujhe ashirvaad karenge.
Kishu(KS): Amma aap na koi chap na lo apki ye kishu Babu na apne uraankhatole ko leke samay ke pehle hi school pahuch jayegi.
Lady 1: Kishu wo cycle hain koi rocket nhi Jo tum humesha uraate firte ho. Koi nhi ye naasta pura karlo fir dhyaan se jaana aur kisi se bhi koi ladaai jhagra mat karna. Samjhi na?
Wo apna naasta karte huye kehti hai.
KS: Ha ha Amma hum samajh Gaye chalte Hain apna dhyan rakhiyega aur sambhal k jaiyega hospital mein.
Yeh kaheke wo ladki apne aur apne pitaji k sapno ko pura karne k liye apna pehla kadam uthati Hain aur apni cycle lekar school k liye nikal jati hain.Wahi aurat fir apni nurse ki uniform ko thik karti Hain aur fir apne pati k photo k samne Jake muskurate huye kehte hain. Per wo muskurahat Khushi ko nhi balki us insaan ki kami ko prashfutit kar Rahi thi.
Lady 1: Dekha Keshav ji apki beti kitni bari ho gyi phir bhi wo apne sapno ko nazaarandaz karke sirf apke adhure sapno ko pura karna chahti hain. Hum to bholenath se humesha yahi kehte hain ki uski sare mehnato ka fal use mile aur sath hi ek achhi aur sachhi dost bhi. Chalte hain.
Fir wo darwaje ko lock karke apne karyasthal k liye nikal jate hain. Use raste mein kuch dikhta Hain jisse wo hairaan reh jati hain. Wo dekhti Hain ki unki beti raaste ke kinare mein beithe ek budhi bhikari ko apna tiffin box dekar apne cycle se school k taraf nikal gyi. Phir wo zyada na sochte huye aur samay ka lihaaj karte huye apne disha mein chal padi.
.
.
.
Wahi dusri taraf apne ghane zulfo ko hawaa mein azaad karke taxi mein baithke is nai seher ki drishya ko apne man mein hi chitrait kar rahe thi aur apne nai bhavishya k bare mein soch rahi thi. Tabhi ek aurat uske kandho par haat rakhte Hain aur kehte hain.
Lady 2: Hasi beti itni kya soch rhi hain? Chinta mat kar Tera school ka pehli din bohot yaadgar rehegi aur haa nayi seher hain school k chutti k baad kahi mat jana humara intezar karna. Nyi Ghar mein saman rakhke house owner se parichay karke fir aane mein Hume der ho sakti hain.
Hasi(HM): Thik hain ammi aap chinta mat kijiye. Hume bas abbu ki bohot yaad aarahi thi. Kash aj wo humare sath hote. Khuda humaare sath hi humesha Aisa kyu karti hain ammi? Hum humesha jise apne Dil se mangte hain use humse bohot dur kar dete hain.
Lady 2: Aisa nhi Hain beta jiska janm hota hain uska mrityu bhi nischit hain. Haa mante Hain aj tere abbu humare sath nhi Hain par wo Jahan bhi hain wahi se Hume dekh rhi hain. To apna Dil mat chota kar hasi . Aur haan nayi school mein nayi dost zarur banana bas yuhi ek kone mein akeli akeli maat bethi rahena. Thik Hain?
Aur tabhi unlogo ki taxi signal par ruk jati hain. Aur wo ladki apna sir gari se thoda bahar nikalti Hain aur samne ka nazara dekhke chauk jati hain. Wo dekhti Hain ki ek ladki apna tiffin box Bina khudke bhuk k parwah kiye ek bhikari ki bhuk mitane k liye use de di. Wo man hi man sochne lagi-
HM: Kya aj bhi aisi bade Dil wali dayalu aur swarthhin insaan hote hain?
Aur fir signal khul Jane ki wajase taxi bhi chalne lagi aur wo aankh bandh karke uss pal ko aur uss hawa ko mehsus karne lagi.
Aur uss insaan k bare mein bhi sochne lagi.Aur apne aap ko andar se apni is nayi zindagi k pehli Kadam k liye prastut karne lagi.
.
.
.
Do insaan ekdusre se anjaan jinke bhavnaon mein hain asmaan saman antar, jinke sabhav hain alag, jinke jivaan k anubhav hai alaag, jinke bhavishya ko dekhne ka tarika hain alaag, jinke sapne hain alaag jinke raaste Hain alaag, dekhte hain kaise undono k raaste jurte hain eksath, kaise undono k bich jalti hain pyaar k chingariyan, kaise unlogoke rishta benaam hokar bhi iss shrishti k sabse pavitra rishton mein se ek bante hain aur age ki pirhi k liye ek adbhut udaharan bante hain.

PYAARWhere stories live. Discover now