Chapter 9

48 7 1
                                    

Scene 1

Shreya aik baar phir Tarika ke kamre ke darwaaze ke baahir bebas khadi thi. Woh darwaaza baja baja ke thak gayi thi. Us ki aankhon se aansuon ki aik na rukne waali rail behti ja rahi thi. Sab hi baari baari koshish kar chuke the magar Shreya ne himmat na haari. Woh kaafi dair se darwaaze ke bahir khadi thi is umeed mein ke kabhi to uski Tarika di is darwaaze ka qufal khole gi. Shreya jab khade khade thak gayi to phisalti hui zameen pe hi taangein phailaa kar neeche baith gayi aur aankhein band kar lein.

Scene 2

Daya seedhiyon ki taraf badh raha tha. Tarika uski behan jaisi thi use uski fikar ho rahi thi. Woh chahta tha ke woh kisi tarhan darwaaza khol de. Jab woh Tarika ke kamre ke darwaaze ke qareeb pahuncha to us ne Shreya ko geeli band aankhon ke saath wahin zameen pe deewaar ke saath taik lagaye betha dekha.

"Shreya" Use taras sa aaya tha Shreya par.

Geeli palkon mein hambish hui thi. Shreya ko kuch pal lage the apni aankhon ko roshni se manoos karne mein.

"Daya" Shreya apne qadmon pe uthi aur rote hue Daya ke gale lag gayi. Daya ko apne seene pe Shreya ka lamz ajeeb jazbaat mein mubtalaa kar raha tha jo aaj se pehle us ne kabhi mehsoos nahi kiya tha.

"Shreya, sambhalo apne ap ko" Daya ne Shreya ko kamzor lafzon mein tasalli dena chahi jab ke woh jaanta tha ke is waqt us ke lafzon mein itni taaqat nahi hai ke koi tasalli de sake.

"Daya, Tarika di. Mujhse dekha nahi ja raha hai yeh. Tarika di takleef mein hain aur mein unki takleef ko kam karne ke liye kuch bhi nahi kar pa rahi. Unki yeh haalat mujh se sahi nahi ja rahi Daya. Tum kaho Tarika di se ke kam az kam darwaaza to khol dijiye" Shreya ab bhi Daya ke seene se lagi hui thi aur uske aansuon pe koi band nahi tha. Aik dam hi Daya ko mehsoos hua ke Shreya neeche girne waali hai ke Daya ne barwaqt hi Shreya ko girne se sambhaal liya. Shreya ne ad khuli aankhon se Daya ko dekha aur Daya ne Shreya ko aik kursi pe bitha diya.

"Please Shreya, tum tension mat lo. Sab theek ho jaaye ga. Tum please ja ke kuch araam kar lo. Kuch kha lo" Daya ne gehri saans lene ke baad apni awaaz ko kuch mazboot banane ki koshish karte hue kaha magar woh jitna bhi mazboot banne ki koshish karta, yeh sach tha ke woh itna mazboot tha hi nahi.

"Halaq se kuch nigla nahi jaye ga" Shreya ne doobti awaaz mein kaha. Ro ro kar uska gala kharaab ho gaya tha aur aankhein sooj gayein theen.

"Bahar police a gayi hai" Is se pehle ke Daya Shreya ko koi jawab deta, Abhijeet wahan pahunch gaya aur sipaat andaaz mein Daya ko itlaa di

"Police? Police kyun ayi hai?" Shreya ko aik dam hi hosh aaya magar woh jaise bekhabar thi ke aaj hua kya hai? Shayad kuch pal ko dil behlaane ko bhool gayi thi.

"Shreya, Police investigation karne aayi hai" Daya ne araam se Shreya ko bataya aur uske kandhe pe halki si thapki di aur qadam aage barha diye.

"Investigation? Suraj Bhaiya ki maut ke silsilay mein?" Shreya jhijhakti hichkachati hui boli. Dil yeh manne ko tayaar hi nahi tha ke jis ko woh jiju jiju bolte nahi thakti thi, aur jo uski pyaari saali kehte nahi thakta tha, woh is duniya se chala gaya tha. Aur woh bhi aise din jab taqdeer ne Tarika aur Suraj ki taqdeer aik saath likhne ka faisla kiya tha magar shayad yeh taqdeer ke hi khail the ke ain mouqe pe woh hote hote reh gaya jis ko woh sab taqdeer ka likha maan rahe the.

"Han Shreya" Daya ne laakh chaaha ke Shreya se nazrein phair le lekin haqeeqat aik haqeeqat thi aur woh haqeeqat sab pe hi baawar karna bohat zaroori tha.

Scene 3

Police ab ja chuki thi, Police ne kuch dair sab se hi pooch gach ki aur phir waapis jaate waqt Suraj ki lash laboratory mein le gaye kuch tests ke liye jis se pata chal jaaye ke maut kese hui. Us ke baad Police laash ko ghar waalon ke supard kar de gi.

Raat ke 3 baj chuke the. Suraj ke ghar waale wapis chale gaye the. Jis ghar woh nayi naweli dulhan apne saath ghar le jaane ke iraade se aaye the, ab usi ghar se woh apne jawaan bete ki laash wapis le kar ja rahe the. Sab mehmaan bhi zakhmon pe namak chirak ke ja chuke the. Sirf Daya, Abhijeet, aur Pooja yahan ruke hue the. Kyunke Abhijeet aur Daya to paas hi rehte the aur un ka koi ghar baar nahi tha, isi liye unhe ghar jaane ka koi itna shoq nahi tha. Aunty, Tarika, aur Shreya ke saath taaluqaat bhi bohat puraane aur ache the. Pooja jab ke Shreya ki ikhloti best friend thi isi liye woh apne ghar waalon ko bataane ke baad aaj yahin ruk gayi thi. Shreya uski sab se achi dost thi aur Tarika Shreya ki woh behan jisse woh apni jaan se badh kar chahti thi. Is waqt bhi ghar mein mojood 6 log jaag rahe the magar aik doosre ko jata rahe the ke jaagne ki koi wajah nahi aur aik doosre ko talqeen kar rahe the ke so jao.

Abhijeet Tarika ke kamre ke darwaaze ke baahir khada kisi gehri soch mein gum tha, woh jaanta tha ke beshak kamre se ab koi aawaazein nahi a rahi thein magar Tarika is waqt bhi jaagi hui hai. Khamoshi ki lapait mein lipti hui woh bas soche hi ja rahi hogi. Neend to use choo ke bhi na ayi ho gi. Abhijeet ke sochein kuch aisi ghalat bhi na theen. Tarika par to jaise koi sakta sa taari ho gaya tha jo tootne ka naam hi nahi le raha tha. Jis carpet pe pehle woh aadhi tirchi bethi hui thi ab woh usi carpet pe aadhi tirchi phail ke laiti hui thi aur bas upar chat ko hi dekhe ja rahi thi. Us ke zewar wahin idhar udhar zameen pe bikhre pade the.

"Tarika" Abhijeet darwaaze ke paar pukaara. Magar andar to shayad Tarika nahi koi zinda laash thi jis ne uski awaaz sun ke an suni kar di.

"Tarika, please darwaaza kholo. Mein nahi dekh sakta tumhe aise. Chaahe lad lo, Chaahe maar lo, ya chaaho to cheekh lo magar aik baar darwaza khol do" Abhijeet ne cheekhne ki koshish ki magar us ki awaaz rundhti hi ja rahi thi, taaza taaza aansun us ke chehre ko bhigaa rahe the.

"Tarika, I am sorry. Mujhe maaf kar do. Jo tumhaare saath hua woh nahi hona chahiye tha. Woh nahi hona chahiye tha aur aise to bilkul bhi nahi hona chahiye tha. Mein kya karun mujhe kuch samajh mein nahi a raha hai. Mein..mein..I am just so sorry for your loss" Abhijeet ki aankhon se aanso musalsal beh rahe the. Us ke ilfaaz be rabt the. Shayad use pata bhi nahi tha ke woh kya keh raha hai aur kya nahi. Bas lafz khud ba khud hi nikalte ja rahe the.

To Be Continued

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jan 19 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Tere pyaar meinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें