Chapter-ONE

171 10 2
                                    

"Ary...Mimi agayi Ami jan"

Car ka horn sun kar ,Zoya launch ki simt sa bhagti hui chila rahi thi, osa apni sab sa bari cousin ka ghar ana ki sab zyda khushi thi.

"Ohh mera khuda yaa ...ya larki pora ghar ko sar pa utha leti ha ..Zoya beta abhi Mimi nhi ayi ...os ki filght ka waqt 12 bja ka ha abhi to sirf 8 baja hain"

Zoya ki ami na kitchen ma salad katta hua osa bataya jis sa 18 sala Zoya ko nihayt mausi hui or wo kuch udaas dil sa apna kamra ko taraf jana lagi. Mrs. Hamdani na Zoya ki udaasui ko dekhta hua kaha "Zoya beta pareshan na ho, wo jaldi pohnch jaya gi ,sabr karo."

"Lekin ami jan unho na ta kaha tha wo jaldi ayn gi?"

"Jee han unho na kaha tha magar un ki flight delay ho gayi thi"

"To phir wo kab ayn gi!!!"

"Jald ajeyin gi mera beta jaldi"

"Acha theek ha, ma intezar kar lo gi"

"Acha tum udaas na ho, ya plates zra opar cabinet sa nikal do"
Mrs.Hamdani na cabinet ki taraf ishara krta hua kaha. Zoya kuch kaha begair kitchen ma ayi or plates cabinet sa nikalna lagi.

☆☆☆

"Yar ya Rimha kahan rah gayi ha..isna kaha tha ka ya 12:30 tak yaha hogi or ab dekho?
"Duraib khuda ka wasta ha ab dobara mujh sa Rimha ka mat pochna. Pichla 30 minute ma ya baat ma 300 dafa sun chuki hun. Jab ana hoga osa ajya gi"
Mahe noor na apna sar par hath rkhta hua kaha. Duraib na jaisa uski baat ko ansuna kr diya or apna phone par number dial karna ma masroof hogya. Duraib or Mahenoor pichla adha ghanta sa apni dost ka intezar kar raha tha jo 4 saal bad Washington sa wapis arhi thi. Wo log ak club ka bahar apni Civic ka sath taik lagaya khara tha or ab bezaar ho chuka tha.
"Mujha yaqeen ha ka wo ata hi apni cousim Zoya Hamdani ka pas chali gayi hogi hamesha yahi kryi ha"
Duraib na ak bar phir sa kuch khafgi sa Mahenoor sa kaha. Mahenoor is bar khamosh rahi kuyn ka ab wo is sa mazeed bahas nhi karskti thi. Duraib is khamsohi ko samjh gaya or usa na ak bar phir apni os dost ko call milana shuru kardiya jis ka intezar wo kab sa kar raha tha.

☆☆☆

Os sunsan ilaqa ma ak alishan banglow tha jis ka basement ma ak bejaan jism jis ka andar shyad ab kuch hi sansa bachi hui thi , wo zameen pr ak kona ma zanjero sa lipta pra tha os ki halat ya saaf bata rahi thi ka osa boht mara gaya ha. Os shkahs ka ird grd siyah rang ka pant coat ma malboos pahlwan numa 7-8 banda ak qatar ma khara hua tha jaisa kisi ka intezar krr raha hun.
Tabhi basement ki stairs ku taarf sa kisi ka chalna ki awaz ana lagi, wo awaz ab teezbhogyi thi jaisa ka jo shakhs waha sa araha tha wo ab boht qareeb lag raha tha. Stairs sa utarta hua ak daraz qad larki ak long black overcoat ma malboos nicha utri, osa dekhta hi os kmra ma mojod sab log chako choband hogya jaisa usi ka intezar kar raha hun.

"Hello Mam"

"Mam apna isa sab uglwa liya h hamna"

"Boht muskil sa hu sahi magar ab hamra ps sara saboot mojod hain"

"Ab iski hama koi zarort nhi"

Bari bari har aq na os andar ana wali larki ko itala de. Jis ka jawab ma os na sirf "hmm.." kaha. Os larki na ak cap pehni hui thi jo os ki ankho tak thi or sirf os ka hont hi nazar arah tha magar ya batana muskil nahi tha ko wo boht khubsurat thi.

"To...tumna kiya kaha tha ka tum hama kuch nhi batao ga chaha gam tumha mar hi dala. Kuyn haina?

Ab ya wo larki apna khubsuart ir dheema lahja ma kah rahi thi. Os ka chehra par ak tanzia muskurahat obhri thi, jis sa wo os zameen pr banda sa mukhatib hui thi.

"Or jesa k tumna kaha tha ka tum mar jao ga to phir ma tumhari khuahish puri kuyn na karu?"
Osna tanzia tor pr kaha. Is bar os zameen par pra insan na pehli bar opar dekha.

"Mujha is bar jana do ......ma...ma kabhi tumhara kaam ma mudakhilat nahi karu ga.....is bar...is bar jana do...please...please"
Wo girgiraya lekin os larki par koi asar nahi hua.

"Shoot him"
Os larki na madham awaz or therhra lehja ma kaha.

"Nahi please...nahi.."

Wo ab ro raha tha os ka pair pakra. Wo insan ko maaf nhi karti thi albata osa khamoshi sa katal kar deti thi or yahi ab is shakhs ka sath hona wla tha.
Ak dam goli ki awaz ai or wo shakhs wahi mar gya ,os larki ka paero ma.

"Mam, ap apna mobile car ma bhool gayi thi, Sir Duraib ki calls arhi thi"

Ak guard oska peeche sa aya tha.

"Is ki lash utha kar samandar ma baha do"

Wo larki ab samna pari lashka bara ma bata rahi thi,ya kah kar osna guard ka hath sa mobile liya or phir apni tirchi magar bari aknho par black sunglases lagat hua basement ki stairs sa wapis chali gayi.

☆☆☆

"Rimha, meri jaan tum agyi"

Mrs. Hamdani na Rimha ko gala lagata hua kaha. Wo waki osa dekh kar boht khush hui thi. Rimha Sulatn jab bhi Pakistan ati thi, wo hamesha sab sa pehla apni mumami sa ka ghar aya karti thi , os ka mamu or mumani Mr. and Mrs. Hamdani os sa sab sa zyda payar krna wala tha wo apna baap sa milna sa pehla wahan iskiya ati thi. Is bar wo Pakistan zyda arsa ka liya ayi thi.

Rimha Sultan Ahmer apni maa ka is duniya sa chlaa jana ka bad apna baap ka pas rahi thi , 12 saal ki umar ma wo Washington shift hogya tha lekin Rimha ka walid ka biusness Pakistan ma zyda acha setteled tha isliya wo Rimha ko wahan ak apna bhai Zubair Ahmer ka pas chor aya tha magar wo wahan zyda der na rahi or phir osa wahan ka ak boarding school ma dal diya gya osa duniya ka har luxury di gayi thi , osna jab jo chaha tha wo is mila tha lekin wo sab is ka dil ma sa apna baap Sultan Ahmer ka liya talkhi nhi nikal saki thi. University ma admission ka bad wo ab 4 saal bad zarur Pakistan chakar lagati thi. Wo zyda social nhi thi, isliya uska sirf do hi dost tha Duraib Ali or Mahenoor Jalal jinka walid Rimha ka abu ka boht acha dost or buisness partner tha. Osna boht chutti si umar ma boht si kamiyabi hasil karli thi jinka bara ma log sirf sochta rehta hain. Ahmer Enterprises ki malik ak 21 sala larki thi ya baat bara baro ko hila da deti thi ... wo company duniya ka kayi mumalik ma apni shanakht bana chuki thi. Or oski branches kai bara shehro ma thi. Jis ko manage karna wali Rimha hi thi.

Os na bhi usi garam joshi sa Mrs. Hamdani ko gala lagaya.

"Ao andar chalo...."
Abhi Mrs. Hamdani na wo baat pori bhi nhi ki thi ka andar sa Zoya bhagti hui ai or Rimha sa lipat gayi.
"Mimi , kasi ho tum yar i missed u alot"
"Mena bhi tumha boht miss kiya zoya"
Is bar ya Rimha thi.
"Ab dekho bhala gate par hi shuru ho gaya ho chalo andar chlyn"
Mrs. Hamdani na kaha or wo log andar chal pra.

"Mimi dont tell me, ka tum is bar bhi yahan nhi balka hotel ma rahu gi"
Zoya na herani aa khaha.
"Am sorry but mena room book karwa liya ha"
Rimha na sanjidgaj sa kaha, jaisa wo hamesha kehti thi.
"Its not fair"
"It is, and dont worry ma ati rahu gi yahan"
"Promise?"
"Promise"
Wo dono has para or baki bato ma masroof ho gaya.

☆☆☆

"Talha!!!!!!...
Ya khoon ...ya khoon kasa ha...kaha sa arha ho tum"

(To be continuted)

𝕴𝖘𝖒-𝖊-𝖆𝖟𝖒Where stories live. Discover now