{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND AND THE GRAMMAR MISTAKES}
*_*_*_*_*_*_*
THUD!
Kamya slaps a man, standing inside a godown. She is so furious that she doesn't even hesitate to kill anyone at this time. Her eyes are red. It seems that blood is floating in her eyes.She shouts at the two men standing before her, "Bola tha naa maine... Bola tha naa maine ki kaam ho jaana chahiye. Poore paise diye tum logon ko uss ladki ko maarne ke liye. Phir woh zinda kaise bach gayi?"
One of man replies in a slow voice as he got afraid, "Woh... Dekho, apun ne toh goliyan sahi se chalayi thi. Par jab humne usse goliyan maari thi tab kuch hi pal mein wanha ek insaan aaya tha. Woh kafi achchhe ghar ka lag raha tha. Usne uss aurat ko bachaya hoga kyun ki woh bahut bhaga bhaga uske paas aaya."
She angrily holds his collar and speaks, "Pagal samajh rakha hain mujhe? Kya lagta hain ki tum jo bhi bologe main woh chhoti bachchi ki tarah maan lungi. Goliyan toh chhodo uss ladki ko ek halki si kharoch tak nahi aayi!"
"Aise kaise ho sakta hain?" The other man wonders, "Apun dono ne uss aurat par goliya chalayi thi. Ek se zyada goliyan. Uske burke ke upar khoon bhi failna shuru ho gaya tha. Ek toh waise bhi uss budhiya ki umar ho chuki thi. Aur humare goliyon se woh dam tod hi de chuki hoti par na jaane kanha se woh banda aa gaya aur usse bacha liya."
Kamya gets confused and says, "Kiski baat kar rahe tum? Maine kaha tha ki wanha ek ladki aayegi apne abbu ke mazar par phool chadhane ke liye. Koi budhiya nahi."
"Aye Madam ji, tumne kaha tha ki wanha ek aurat aayegi. Aur wanha ek aurat aayi. Thik ussi mazar par phool rakhe janha par tumne bola tha. Aur bas apan logon ne usse dekhkar goliya chala di. Tumne yeh nahi kaha tha ki wanha koi ladki aayegi apne baap ko phool chadhane."
Kamya looks at them angrily. Then something flashes into her mind. She is clear, now.
She closes her eyes for a couple of seconds and says in her mind, "Shit! Iska matlab ki uss din Haseena ke jagah uski maa wanha mazar par gayi thi. Tabhi woh itni beemar lag rahi thi. Kyun ki goliyan uss par chali thi. Lekin Neil ne toh yeh nahi bataya. Usne bas itna kaha ki Haseena ke ghar par blast hua hain iss liye woh wanha hain. Par uske ghar par blast kisne karwaya? Uff... Main bhi kya soch rahi hoon! Jisne bhi karwaya ho isse mujhe kya? Uski kismat itni achchhi hain ki blast aur goliyan dono se bach gayi."
She becomes angrier and continues thinking, "Sirf kismat ko kosne se kya hoga? Galti yanha meri bhi hain. Main inn lampato ko Haseena ki tasveer bhi dikha sakti thi. Lekin maine bas itna kaha ki uss mazar ek aurat aayegi. Aahhhhh... Ek chhoti si galti itni bhari pad gayi. Aur... Aur... AV ka ravaiyya bhi kuch alag lag raha tha Haseena ke liye. Nahi, isse pehle ki AV aur Haseena ek dusre ke karib aaye, mujhe kuch sochna padega. Kuch aisa karna padega ki Haseena naam ka kaanta hamesha hamesha ke liye mere aur mere AV ki zindagi se bahut door chala jaaye."
She glances at the men for the last time with anger and leaves the place.
----
"Hi, Anu" Neil enters Anubhav's cabin in the office and sits in front of him on the chair.
Anubhav, who is busy in thinking about something, looks at him and asks, "Kanha gaye the?"
Neil passes a small smile and replies, "Apne khabri se milne. Police toh uss blast ke baare mein abhi kuch batane ke mood mein nahi hain jo Haseena ke ghar par hua. Toh socha ki apne tarike se hi pata karle."
YOU ARE READING
BEAUTY AND THE BEAST
FanfictionHe was a very cruel man before he met her. The ruthless, the devil, etc were his other names. But he was not like this in his past. His fate made him a heartless person. He was a very kind-hearted person in his past life. An incident changed his lif...