Chapter # 1

1 0 0
                                    


Baab awal : az Kalam I.R

Khush fehmi thee hamari woh nahi Bhole ga hamain
Chnd dino ke musafat thee osne palat kr pocha bhi nahi
 
    I.R

  

    Zere lb bolte woh Apne he khiyal pr lamhe bhr ko chonki phir ird gird Nazar durhai… woh kherke khole lakri ke shelf pr bethi hoi theee … mehaz yun bethna oski  ik adat thee

Hoppla! Dieses Bild entspricht nicht unseren inhaltlichen Richtlinien. Um mit dem Veröffentlichen fortfahren zu können, entferne es bitte oder lade ein anderes Bild hoch.

    Zere lb bolte woh Apne he khiyal pr lamhe bhr ko chonki phir ird gird Nazar durhai… woh kherke khole lakri ke shelf pr bethi hoi theee … mehaz yun bethna oski  ik adat thee .. hath main pari kitab Jo mehaz Sirf  hath tk mehdood Rahi thee osko khola nahi gaya thaa AJ bhi plastic ke cover main raap thee jesse abhi kharide gai ho …… pechle 47 minutes se woh Sirf  Yun he bethi khlla main kahin Apne khiyalon ka jaizah lene main masroof theee … kamre main lagi wall clock pr Nazar durhate woh khirki ke pass se dur ht gai …. Suraj ke teez kirnain kamarain main dakhil hotin kamre ke sath sath oske safeed chehre ko mazeed Roshan banane main masroof theen … woh chote chote kadam leti almari ke janib barh gai …Jo ke kamre ke daein janib bed ke sath mojood thee.. lakri ke saaf mager thore khasta halat main mojood chee feet lambi almari ko khol kr osne samne para dabba uthaya … or bed side table ke pehle drawer main se ik chote se kitaab nikali….mehaz ik chote se diary thee jiss main woh Kuch eham cheezain note Kiya karti thee…. Iss dairy ke plastic cover ke andar ik chabi rakhi gai thee … osne woh chabi nikali or os dabe ko khol kr hath main pakri kitab oss main rakh de … dabe main or bhi buhat se cheezain sambhal kr rakhin gain theen Kuch murjhae hoe phool ik safeed jild wala Kalam ik keychain or ik bariq chain … osne oss sone ke chain ko dabe se Nikal kr chnd lamhe ke Leye Apne hath main pakar kr dekha… ik barik mager intehai nafees chain jiske darmiyan main ik chota SA Herra latak Raha thaa woh yakeenan buhat khubsarat design karda zever thaa … osne wapiss osse dabe main rakh kr daba band Kiya or almari main rakh deya jese oss main mojood cheezain kese ke amanat hun ya phir shayad kesi ke yaad dilateen theen … Jin yadoon ko woh khud se dur nahi Jane Dena chaheti thee…. Chnd saal  pehle oske Zindagi Kitne alag thee or ab Kitne badal gai thee… waqt  tu badal he jata hai mager Sirf waqt nahi badlta insan ko bhi badal kr jata hai …..
 
               Aimen !!! Aimen … click ke awaz se darwazah khula thaa or ik Khush shakal khaton mehaz 50-55 umer ke hun ge kamre main dakhil hoin..
Beta Kiya howa hai Tum subha se kamre main ho….aik bj gaya hai  …..neche aa  gao dadi se mil lo …
Dadi !dadi kb ain … ap ko kamre se nekalne ka waqt mile tu pata chale na beta je… ghr main Kon Aya hai or Kon ja Raha hai … acha mama main atti hun…. Theek hai jaldi se aa jao tumhare  Taya Abu bhi ae Hain …
Jjee woh chonki thee… Taya Abu … haan tumhain neche bola Rahe hain sb aa jao jaldi… woh Apne baat mukamal krtin kamre se Bahar Chali gain ….
           
             Sr  pr tareeke se dubata Leye woh seriyun se neche AA Rahi thee jb samne bethe  Apne cousin ko dekh kr thatak gai … zaid samne he bethak main Taya Abu ke sath sofe pr barajaman  thaa safeed shalwar kameez main moojood tareke se bal Peche ko set keye hoe thee … off white waistcoat.. or bazo kohniyunn tk fold thee … woh acha lg Raha thaa mager … heerat iss Baad ke thee woh AJ itne suljhe hoe Andaz main thaa ke chnd lamhe tu Aimen se pehchana he nahi gaya ke ye wohi zaid hai jisko baat baat pr isse tang Karne ka moka chaheye hota hai … jisko shalwar kameez main tu mehaz Sirf  Eid ya kesi tehwar pr he dekha ja sakta hai … or Baal kangi Karne ka tu oske pass waqt he nahi hota kiyun ke doston ke sath matar gashte iss se eham kaam hai….
   Woh akhre zenne ko par karti samne bethak main mojood logon ko Salam karti hoi ek sofe pr barajaman hoi …. Aimen beta mere pass aa  ke betho … tai jaan ne isse piyar se Apne pass bethne ko kaha…. woh uth kr onki janib barh gai …  zaid ke nazrain AJ Aimen tk he mehdood rahin theen … iss sbne pehle he osse kashmaksh ka shukar kr deya thaa …. Or phir tai Ami ka Aimen ke Sr pr apni jaga se uth kr piyar karte hoe ye kehna ke Aimen AJ se onki beti hoi …. Ye tu Sara mamla gar bar kr geya thaa …. Sirf  Chang seconds ..Sirf Chand seconds…. Lage theee osse Sara mamla samjhane main…… or phir tu jese oske Sr pr ye ghr chatt  sameet aaan gira ho …. Woh apni jaga  se  hill na sake …. Onke ilfazon ne osse wahan jamne pr majboor kr deya thaa….

Du hast das Ende der veröffentlichten Teile erreicht.

⏰ Letzte Aktualisierung: Aug 19 ⏰

Füge diese Geschichte zu deiner Bibliothek hinzu, um über neue Kapitel informiert zu werden!

Dil SE Dil Tak Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt