Sikender mansion :-
Warfana :- jii, baat ye hai ke.... ham jante nahi mahenoor kaha hai, na ghar mai mojud hai na parlour mai hai.
Jasim :- es se kya murad ke jante nai yhi hogi dekho achee se
Warfana :- ji hmne sabhi jgah dekh liya kahi nai mil rhi hai
Jasim :- kya ! matlab wo ghar nai hai ?
Warfana :- j.. i.. ii
Jasim :- wo apne nikah wale din ese kahi kyu hi jayegi
Warfana :- mene pehel hi bola tha ke us se zabardasti ka nikah na krvaye
Jasim :- kese na krata use wo badmash ldko ke sath chod deta
Warfana :- lekin puri baat to jaan lete us se to aaj ye din na dekhna padta
Jasim :- aap kya kehna chah rhi hai mene uske liye galat socha !
Kya aap Aahil ko nai janti ? Wo ek accha sulja hua bachaa hai apni mahenoor ko khus rkhega isiliye to ye nikah kra rhe
Warfana :- par isme mahenoor ki raza bhi to honi chahiye
Jasim :- to use mujh se aakr baat krni chahiye thi
Warfana :- aap ek baar faisla le lete hai to kaha kisi ki sunte hai ! Wo bechari kya kehti aap se
Jasim :- achaa to use mujh se aakar baat krne se zyada yu nikah ke din ghar se bhag jana munasib laga
Warfana :- esa lafz to na istemaal kre yha itne rishtedaar wagera hai koi sun lega to
Jasim :- to kya bolu usne harkat hi esi ki hai
Warfana :- dekhe aap aaj ka mousam bhi kitna kharab hai lgrha hai kahi fas na gyi ho meri bachhi !!
Jasim :- agar esa hota begum to wo kam-z-kam phone call to kar skti thi
Aaliya :- abhi ye bahas krne ka waqat nai he sab log ajeeb ajeeb baate bna rhe hai
Aahil :- bade abbu mahenoor kaha hai kab se uska intezar kar rhe sab
Naila & bilal :- haa jii kaha hai mahenoor sab baate bnane lag rhe ab to
Jasim :- baat ... kuch yu hai ke .. mahenoor mil nai rhi ..
Aahil :- kya..!!! Kya mtlab mil nai rhi
Naila :- apne nikah ke din wo ghar se bhag gayi !! Gyi hogi apne mashuk ke paas !!
Warfana :- zabaan sambhal ke baat kro meri beti ke bare me bol rhi ho aap
Naila :- mujhe bol nese behtar he ke apni beti ki harkto pe dhyan diya hota to aaj ye nobat na aati
Aahil :- ammi bas kre mujhe ykeen ke kuch aur baat hai ! mahenoor esi ldki nai hai
Naila :- Oo mere bhole bete ji, aap ki hone wali dulhan nikah chod ke kisi aur ke sath bhag gyi aur aap ko anhi bhi use hi bchana hai !!
Aahil :- amma esa nai ho skta ! Jarur ma'amala kuch aur hai
Bilal :- haa bhai jaan mene mahenoor ko Bachpan se dekha hai wo esi bachhi to nai hai
Jasim :- to kya kru mai ye sach ko jhut labhi to nai skta ke wo abhi yha nai hai
Naila :- jii bhai sahab, bilkul sahi kaha aap ne jab dulhan hi nai to nikah kesa ye to hamari izzat ka tamsha krne ka function tha !!