The girl:
Kyon Meera ko vish peena pada,
Kyon Radha ko ashru bahane pade,
Kyon Sita ko agnipariksha deni padi,
Kyon Sati ko havan kund mein koodna pada .....Kyon stree ko hi sadev peeda aur pareeksha ka saamna karna pada .....
Bappa raksha karna ....
Na agnipariksha deni hai,
Na Radha si birha sehni hai .....
Jo baithi hain Mahadev barabar,
Unn Gaura-si zindagi jeeni hai .....The boy:
Tu paas rehke bhi dur thi,
Aur abb dur rehke bhi dur hai ....Tujhe yaad na karna chahun,
Phir bhi ye dil majboor hai .....Sab kehtein hai main aage badh jaaoon,
Ki tu ab meri nahin rahi .....Par ek tarfa nafrat ka apna maza hai,
Ye bhi ek guroor hai .....Maine has kar bhi dekh liya,
Aur rokar bhi dekh liya ....Kisi ko paakar,
Aur khokar bhi dekh liya ....Pyaar bhi kiya,
Aur ye jaan bhi liya;
Zindagi wahi jee sakta hai, Jisne akele jeena seekh liya ....Isiliye abb barson guzar gaye hain,
Na maine tumhe dekha hai,
Na palatkar beeti zindagi ko dekha hai .....Naa hi rokar dekha hai,
Aur naa hi chain se sokar dekha hai ....Third Person:
Kehte hain pyaar itna bhi gehra nahin hona chahiye ki ek chhotisi galti bhi dhokha lage ....
Par kya karein pyaar soch samajh ke nahin hota ..... Aur agar soch samajh ke hua tohh wohh pyaar hi nahin hota .....
.
.
.
.
.
.
.
.Hello readers kaisi lagi ....
Aur kya lagta hai kya hogi inki story ......
YOU ARE READING
Ye meri duniya hai ....
FanfictionMaine description de ke apne suspense ko kharab ni karna hai ..... Seedhe andar jaa ke story hi padh lo ....... Waise ek baat bataun 'ye meri duniya hai', ye sochna galat nahin hai par 'ye duniya sirf meri hai', ya 'ye duniya meri banayi hui hai', y...