14

3.8K 143 2
                                    

"mehak tumhe bilkul bhi nahi pata Mai tumhare liye kya feel karta hu"hasib says
"Bhaijaan ye..in aa..p kya..ke..h rahe hai"mehak asks

He releases her and says go she also runs away

They all assembled down for dinner everyone was upset and angry on Zara how her one mistake has ruined their company

"Ab ap logo ko meri baccho ko maar hi dalna hai kya usne kya itna bada kar Diya Jo aap sab log use baat Tak karne ke liye tayaar nahi hai"wazifa speaks

"Dekho wazifa apna muh band rakhne Mai koi burai nahi hoti toh Allah ke waste apna muh band rakho"
Azra speaks

"Allah ke waste Amma aap inse kahe ki yein log meri beti ke saath ye zulm na kare maanti hu ki itna bada loss ho gaya par ab kya vo mere bacchi se badh kar hain aap baataye"wazifa speaks

"Dekho wazifa ham tumhari izzat karte hai iska matlab yein nahi ki tum kuch bhi boli jao ham Zara se naraz nahi hai lekin ab tum haalat dekh Rahi ho na kuch wakt do hame bhi"jaffar speaks

"Kya wakt Bhai kya wakt aap bataiye mujhe samjaye ki aap ko kya chahiye main bohot acche se aap sab ke irade jaan chuki hu aap logo ko pehle hame yaha Lana accha nahi lagta tha ab yein"wazifa speaks

"Ha bhaijaan aap ko ham se masla hai to bata de hum yaha se chale jata hein Roz roz mujhe mere biwi baccho ko bezzati to na sehni padhe"Hamid speaks

"Bhaijaan aap toh thoda thande dimaag se soche yein aap dono kya bol rahe hai ham logo ne aap dono ko kabhi alag nahi socha hai "zehra speaks

"Tum to bologi zehra vaise bhi yein tum apne aankho main se na yein pati utaaro apni beti ke gulo ko dekho kya kya kar Rahi hai ab dusre mardo ke saath uth na Beth na sharam nahi aati use yein kehte hue sharam aati hai ki vo iss Ghar ki beti hai"wazifa speaks

"Wazifa"Aslam yells before hasib could yell or break his anger on her his grandfather spoke.

"Ek aur alfaz nahi meri baccho ke khilaf sharam tumhe aani chahiye ke iss zamane main bhi tum yein soch rakhti ho aainda agar tumhare muh se meri poti ke liye kuch bhi ulta sidha nikla to tum nahi jaanti ki main kya karunga aur tum fir bohot pachtaogi"he speaks in a very Stern voice.

Now wazifa understood at this point if she opens her mouth her father would blast on her and maybe something very big will happen which she never expected.

"J..ji abbajaan"wazifa replies while stammering

Hasib stands up to move to his room without eating.

"Hasib khana kha lo beta"zehra speaks

"Nahi chachi bhook nahi hai"he replies and denies he was very upset of how things were going upside down.

"Aap pareshaan na ho begum vo bohot pareshaan hai "Junaid speaks

Everyone nods but zulekha and zehra worry about hasib.

"Bhabhi kyo na haldi vala dudh bana ke dein stress dur ho Jaye hamare hasib ka"zehra speaks

"Bilkul sahi keh Rahi ho ek kaam Karo tum dining table saaf kar do Mai tab Tak haldi vala dudh ubalne ke liye keh deti hu chef se"zulekha speaks

"Ji bhabhi"she replies.

"Bhabhi Junaid tab se awaaz laga rahe hai main dekh kar aati hu"she replies and zulekha nods

"Raefa kaha hai"zulekha asks.

"Vo un toli ko sambhaal Rahi hai pura kamra kharab kar unlogo ne udham macha ke rakha hai isi liye"zehra replies

"Thike tum jao shayad se Junaid Bhai ko koi bohot imp kaam ho ga"she nods and goes.

Suddenly a sharp pain errupts in her legs and she couldn't move at the same time mehak comes.

"Tayi ammi kya hua"she asks and makes her sit
"Yein jodo ka dard pata nahi har waqt aa jata hai"
"Tayi ammi aap ko doctor ko deikhana chahiye aur Roz dudh Piya kare aap accha calcium intake ki zarurat hai aap ko"she replies
Zulekha smiles and says
"Mujhe kyo pareshaan hone ki zaroorat meri baccho hai na Mera khayal rakhne ke liye lekin beta abhi yein dudh hasib ko Dena hai usne dinner Mai bhi kuch nahi khaya aur aise hi soyega to tabiyat aur kharab ho jayegi"
"Ji tayi ammi dein main dekar aati hu aap pareshaan na ho.

She agrees and walks towards hasib's room

THE NAWAB'S ONE AND ONLY BEGUM(Resumed)Where stories live. Discover now