12 sal ka leap aata hai . Sab bade ho gaye the. Arun ko padhaya likhaya nahi diya uski mummy aur badi behan kyunki unhe lagta tha ki woh pad likh ke unse aage badh jayega.
Mummy ki ek hadase mein maut ho gayi thi aur behan Rekha usse nafrat karti thi kyunki woh sautela bhai tha. Par Arun apni behan se bahut pyar aur unka aadhar karta tha. Woh unke khilaf ek apshabd bhi nahi sun sakta tha.
Bachpan mein Arun ke pita jab use padhai na karne ke liye maarne aate tab unhe adhyapak ji se pata chala ki unki biwi ne bete ko padhai se mana kiya hai aur woh unki agya ka palan kar Raha hai. Tab gusse mein woh apni biwi ke paas jate hai par biwi ne sediyon par tel giraya aur woh pisalkar gira Diya aur woh unhe pagal goshit kar kamre mein band kar diya.
Sneha: Ram Prasad ne unhe unke bete ki shadi par bulaya hai.
Arun: Par main Jake kya karunga. Mein tho unhe tik se pehchanta bhi nahi hu.Aap hi chale jao.
Sneha:Arun woh humare paas ke rishtedar hai. Agar hum mein se koi nahi jayega tho unhe bura lagega .
Arun:Thike. Kab nikalna hai?
Sneha:Kal subah nikalna hai.
Dusre din woh nachte nachte unke Ghar pahuchta hai tabhi Sarswati nam ki ladki ka chunri niche gir jati hai. Tabhi woh uski behan ko lekar aane ko bolti hai Arun se. Tabhi Arun upar sarswati ko baate karte hue dekh leta aur usse dekhta rehta hai tabhi Sarswati ki behan usse bhopu bajakar hosh mein laati hai aur usse chunri maangti hai Jo ki woh de deta hai aur woh chunri Saraswati ko wapas de deti hai.
PLEASE LIKE, COMMENT
YOU ARE READING
Mera bhai
Фанфикyeh story mein ek ladka apni badi behan se bahut pyar karta hai aur woh use estamal karti hai. kya ladke ko apni behan ki sachai pata lagegi?