Aarohi forgives Abhimanyu

1.1K 122 12
                                    

Everyone left from their room leaving them alone.

abhi - aa..aarohi...

she looked at him.

aarohi - zindagi bhi kaise khel khelti hai na.

abhi - aarohi I know maine tumhe bohot hurt kiya hai, lekin yeh bhi sach hai ki uss raat mera bola hua harr word sahi tha maine apne dil se bola tha, aarohi I love you, tumhare bina jeene ki main soch bhi nahi sakta, jab tumhara accident hua tha na toh meri saansein atak gayi thi, aisa lag raha tha jaise dhadkane ruk jayegi,

zindagi mein pehli baar maine rash driving ki thi, Dr abhimanyu birla jo aaj tak koi surgery karne se nahi dara usse tumhari surgery karne se darr lag raha tha haath kaap rahe the mere yeh soch kar ki kahi mujhse koi galti ho gayi toh, aur yeh sab main isiliye nahi keh raha hu ki tum pregnant ho,

meri bass ek galti ho gayi ki maine tumhe sach nahi bataya, aisa nahi hai ki main tumhe batana nahi chahta tha kai baar koshish ki maine tumhe batane ki par kabhi himmat hi nahi hui meri jab bhi sochta tha ki bass aaj batana hi hai koi na koi chiz rok leti thi, aarohi tumhe nahi kho sakta tha main, I am sorry.

she was having tears in her eyes.

he wiped her tears.

abhi - bilkul mat rona , chup ho jao, aur haa tum jo bhi faisla logi mujhe manzur hai agar tumhe mujh..mujh..se du..durr..jaa..jaana ha..hai toh...

he was stammering badly, he was shattered saying this words.

aarohi - yehi chiz ek baar meri taraf dekh kar bolo.

he looked at her.

abhi - woh main...

aarohi - maine tumhe maaf kiya abhi.

he looked at her shockingly.

aarohi - aur yeh mat sochna ki main pregnant hu isiliye maine tumhe maaf kiya hai nahi, I am sorry abhi, main jaanti hu yeh sab tumhare liye bhi kitna mushkil hua hoga, lekin uss waqt mujhe sirf khud ka dard dikhai diya aur kuch nahi, main selfish ho gayi thi.

abhi - nahi aisa nahi hai tumhari jagah koi bhi hota toh aise hi react karta, I am sorry aarohi.

aarohi - abhi mujhe sirf ek promise chahiye tumse, tum aaj ke baad mujhse kuch nahi chupaoge, main jhuth bardasht nahi kar sakti.

abhi - I swear on my child aarohi, kabhi nahi, I am sorry.

he cupped her face and kissed her forehead. she smiled.

abhi -  thank you aarohi mujhe yeh khushi dene ke liye, main bata nahi sakta main kya feel kar raha hu, aisa feel ho raha hai jaise jab pehli baar mujhe MBBS ki degree mili thi.

she chuckled.

aarohi - arey haa MBBS se yaad aaya congratulations abhi tumhe best surgeon of the year ka award mil raha hai, I am so proud of you, I love you hubby.

abhi - I love you too, aur rahi baat award ki toh papa banne ki khushi ke aage yeh award ki khushi kuch nahi hai.

aarohi - toh tum mat ho khush mujhe toh hone do aakhir mere pati ko award mil raha hai.

he smiled and bends down and kissed her belly.

she smiled.

abhi - we love you baby, please jaldi aana.

aarohi - hain..abhi woh apne time par hi aayega.

abhi - haa matlab yeh time jaldi beet jaaye.

she chuckled.

he kissed her forehead.

abhi - ab tum rest karo main tumhare liye juice lekar aata hu tumne thik se khana bhi nahi khaya kuch khane ke liye bhi lekar aata hu aur kal hum sabse pehle Dr sakshi se milenge aur acche se saari reports nikalwayenge ki sab thik hai na koi problem toh nahi hai phir...

aarohi - bass abhi, abhi tum yeh bhul kyu jaate ho ki main bhi ek doctor hu aur pregnancy handle karna mujhe bhi aata hai infact maine deliveries bhi ki hai.

abhi - haa mujhe sab pata hai lekin jab baat khud ki hoti hai na toh tum bohot lenient ho jaati ho isiliye tumhari pregnancy ka case Dr sakshi handle karegi aur phir main toh hu hi.

she sighed at his over protectiveness.

aarohi - accha thik hai jo karna hai kar lena abhi neeche chale mujhe bore ho raha hai yaha.

abhi - nahi tum rest karo.

aarohi - nahi mujhe neeche jaana hai.

abhi - lekin baby phir se chakkar aa gaya toh.

aarohi - abhi tum na apni over protectiveness apne pass rakho main duniya ki pehli aurat nahi hu jo maa bann rahi hai.

abhi - okay fine chalo.

they went down.

aarohi - congratulations shefali bhabhi main behosh ho gayi toh aapko thik se congratulate bhi nahi kar paayi.

shefali - kaisi baatein kar rahi ho main toh iss baat se khush hu ki iss journey mein main akeli nahi hu mere saath koi hai, congratulations to you too.

they hugged each other.

Everyone smiled.

manjiri - nishtha jaake aarti ki thaal le aao.

she nodded.

mahima did aarti of parth and shefali and manjiri performed aarti of abhimanyu and aarohi.

they took everyone's blessings.

mahima - god bless you four of you and congratulations.

manjiri - humesha aise hi khushiyan bani rahe tum chaaro ki zindagi mein.

suhasini - bohot bohot badhai aap chaaro ko.

she took off their evil eyes.

abhi - yeh kya sab roh rahe hai itne khushi ke mauke par koi rota hai.

swarna - yeh khushi ke aansu hai abhimanyu.

neil - aunty yeh khushi ke aansu sambhal kar rakhiye and now let's celebrate, music.

they all danced happily.

abhi and parth picked aarohi and shefali.

harsh - abhimanyu aur parth ko maine aaj se pehle itna khush nahi dekha, ek waqt tha jab abhimanyu aur parth  humari god mein the ab jald hi unke bacche honge.

anand - sahi keh rahe ho tum.

manjiri - ek baccha bhi ghar mein ho toh raunak cha jaati hai kanha ji ki kripa se humare ghar dugni khushi aane wali hai.

mahima - so true, ab hume bass shefali aur aarohi ka khyal rakhna hai main ek acchi se gynaecologist appoint kar deti hu dono ke liye.

manjiri - haa aur didi main pandit ji se baat karti hu itni badi khushi aayi hai humare ghar puja toh rakhwani chahiye.

mahima - thik hai tum baat kar lo pandit ji se.

she nodded.

Akshara was feeling low seeing all this, she really tried to move on but she wasn't able to...!!!

Abhirohi : Match Made In Heaven Where stories live. Discover now