Hawayein de khabar Teri
Aankho mein basi tasveer Teri
Pyaasi rooh Teri raah dekhe
Pagal si yeh ghata bhi behke
Yaadein ab hai jeene ka sahara
Bheed mein khoj ho teri
Itr sa tu mujhme mehke
Rahat de Surat Teri
Taaron sa tu kre mere duniya jagmag
Har waqt khayal ho tera
Deewane hue kuch hum iss kadar
Ab rhe na koi hosh khabar
Yeh, hua kya hume?
Saasein bhi ab aaye nhi
Yu hi tu kahi se aa jaye toh sahi
Ehsaas tera ab iss rooh mein hai sama
Dil bhi tere aas mein hai thama
Mom sa pighalti hu bun kar khaab tere
Oss sa muqaddar
Ho ki banu moti tujhse milkar
Aaram hai Teri baahon mein
Mile Sukoon jannat sa mujhe
Mehfil tune saja di meri zindagi mein aa kar
Aitbaar kr dua sa padhu tujhe
Dilbar! Main paigambar ban kar
Hasrat humari ab bas tu
Umeed ki Kiran bhi tu
Zikr hai Tera mere labon par
Aise hi tu basa hai hum par
Ibadat bhi hai ab tujhse judi
Fark na ab hum dono mein ik bhar
Aa ja tu kuch pal bhar
Ghazale hum gaayein tere naam se
Awaaz Teri bani Dil ki dhadkan
Zara sa aahat Teri Bane jashn ki wajah
Afeemi si aankhe Teri nasha hume de
Nind mein bhi hum tera naam leFalak ki ab khaahish nhi hume
Aa gye hum jannat tujhe pa kar
Rango se bhar gaye sapne humare
Mukkamal hue lakeere haathon ke
Aagosh mein teri yu hi rhe
Lakhon baatein chahe kehna tujhse par
Labon par lag jaye taale tera deedar kar
Ijazat tujhme baas jane ki ab
Khud Khuda de har pahar.
- aushadhi