Kuch adhuri khawahishen zindagi ko badal deti hai, kisi ko mohabbat nhi milti h to kisi ko sab kuch mil jata hai!
Ankhein band kar ke ek lambi saans lekar Hayat apne kamre ki khidki par baithi apni zindagi ki sab se pyare lamhaat aur adhuri khawahishen likhti hai Hayat zindagi se darne lagi hai zindagi me hone wale lamhaat se darr ne lagi, Hayat apni zindagi me sab se pyari cheeso ko khoo chuki hai yuh samjho ke saans lena bhul rahi hai.
Hayat apne zindagi ke sab se pyare aur keemti dino ko ek kisse me likhti hai
Wo likhti hai ke....9th ke imtehaan hone ke baad Hayat ke ghar me uske mama ki shadi hone wali hai hayat ki ammi ek raat kehni lagi beta abb sab ka imtehaan ho gaya hai aur ab to garmiyon ki chutti lag gayi hai, aur ghar me to shadi bhi hai to hame aagle hafte gaon jana hai aur tickets conform ho gaya hai tum sab ko iss hafte jitni shopping karni hai sab kar lo aur packing bhi karna hai jald se jald!!
Dusri subah hote hi sabhi log nashta kar ke apne apne kamo me lag jate hai... Hayat ke 3 bhai aur 2 bahene hai Hayat sab se choti hai bhai behno mein ammi kehti hai abb tum sab jao shopping kar lo mujhe to kuch nhi chahiye mere pass sab hai , tum sab ko jo accha lage wo kapde le lena Malika tum sab se badi ho sab ka dhyan rakhna
(Malika behno me se sab se badi hai malika ke baad simra aur phir hayat )
Malika ghar ka kaam kar leti hai aur hayat aur simra ko bolti hai mera ghar ka kaam ho gaya hai aur ab shopping karne chalo tum dono
Hayat kehti hai simra appa tum aur Malika appi chale jao mujhe nhi pasand shopping ,Hayat tum ko bhi gaon jana hai Chalo tum apni pasand se kapde le lena warna ham log kaisa bhi lekar aaa jainge abb chalo, hayat ankhe choti choti kr ke malika ko dekhti rahi aur boli aap bohot chalak hai appi!
Hayat, Malika aur simra shopping ke liye craft market aaa jate hai malika ne apne liye kala colour ke kapde liye aur simra nila colour lekin hayat ko koi kapde pasand nhi aare hai malika hayat ko bolne lagi hayat abb tum bhi kuch jaldi se pasand kar lo aur bhi shopping karna hai hayat kehne lagi lekin appi mujhe kuch pasand nhi aara hai, malika hayat ko pura bazar ghuma kar boli hayattt abb kuch pasand aaya?
Haaa appi wo samne dekho safed rang ka joda kitna khubsurat hai mujhe wohi chahiye, simra boli (shukar hai kuch to pasand aaya)
Malika ne hayat ko safed joda dila diya hai hayat tumhe sirf safed joda hi kyu pasand aata hai, malika appi safed rang harr rangon ke sath acha lagta hai, malika hass kar kehne lagi bas bass hayat abb sheron-shaayari matt shuru kar do, itna keh kar sabhi log ghar ke liye rawana ho gai,(Ghar aane ke baad sabhi behne apna apna joda apni ammi ko dikhane lagti hai)
Ammi kehne lagi wahh Malika beta tum ne to sab ke liye ache ache kapde pasand kare hai, hayat boli nahi ammi mene apne liye kapde khud pasand kiye hai ammi herani se hayat ko kehne lagi Ooh sach me beta tum ne khud pasand kiya hai bohot acha hai !!
(1 hafte me sabhi logo ne apni apni jarurato ka saman aur baki sari shopping kar liye hai)
Ek raat pehle sabhi ne apne apne bag packing kar liye hai
Aur jaldi soo gai hai subah uthne ke liyeSubah hote hi malika aur ammi
Sab cheeso ko ache se check kar leti hai, ammi boli malika kuch baki to nhi reh gaya hai na bahir, nahi ammi mene sab check kar liya hai sab ache se ho gaya hai !(Din bass ghar ke kamo me hi guzar gaya)
sham ke wakt Malika aur ammi dono hi train ke safar ke liye khana bana leti hai, ammi hayat ko awaaz deti hai hayatt tum bhi aao kuch madad karo sab malika hi kar rahi hai hayat bolii ammiii yarrr aap simra aapi ko bula lo na mere se nhi hota ghar ke kaam, Malika gusse se boli rehne do ammi aap bhi kis kaam chor ko keh rahi ho madad ke liye
Hayat ko baate sun kar bura nhi lagta hai uss se adat hai sab sun ne ki!!
1;30 baje abbb ghar se jane ka wakt ho gaya hai sabhi ghar wale dua padh kar salamati se railway station par pohoche aur wakt par train hone ki wajah se sabhi log ache se apne apne seat par baith gai, Malika aur ammi bohot thak gayi hai din bhar kaam ke wajah se seat par aaate hai sabhi log so gai,
Hayat ko neend nhi aari hai kyu ke usne to kuch bhi kaam nhi kiya tha aur abb hayat ko jagna pad rha hai saman dekhne ke liye ,
(Aur abbb safar shuru ho chuka hai.....)
YOU ARE READING
𝘓𝘪𝘣𝘢𝘢𝘴-𝘦-𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵
ActionHayat ek aesi ladki hai jise natural aur calm rehna pasand hai aur poetry likhna bhi pasand hai aur zindagi me aane wale halat ne hayat ko extrovert se introvert bna diya hai hayat ne apni zindagi me jis se sab se zyada pyar kiya use wo kho chuki ha...