دوسرا

1 2 0
                                    


Kaafi raat ho gayi thi jab Zameed ghar aaya. Apni amma ko sofa par baithe apna intezar karte dekh kar inke paon ke paas ja kar baith gaya.

"Amma, kitni baar aapse kaha hai ke aap mera intezar mat kiya karein. Mujhe shehar se aane mein waqt lag jata hai."

"Kaisey intezar na karoon, mera beta bahar bhooka hai, mujhe neend hi nahi aati. Jao, jaldi muh haath dho ao, jab tak main khana garam karke lagati hoon, tum fresh ho jao."

Amna aur Mehar dono bistar par lete huye the. Amna ko laga Mehar Gul so gaye hain toh woh aahista se uthi aur kamre ke bahir jaane lage. Amna ko kya pata ke jaise hi woh uthi, Mehar Gul ko pata chal gaya tha ke unki biwi har roz ki tarah apne bete ke kamre mein ja rahi hain isko dekhne.

Amna Gul jaise hi Sehar ke kamre mein aayi, isko leta dekh kar iske barabar mein baith kar pyar se iske baalon mein ungliyan chalane lagi. Sehar foran uth baithi aur puchne lagi, "Amma jaan, baba se baat ki? Kya hum shopping par ja sakte hain?"

"Ap jaante toh hain Sehar ke aapke baba ko aapka shehar jana pasand nahi."

Sehar inki baat sun kar udaas ho gayi aur late kar chadar muh par daal li. "Sehar, aap udaas nahi ho. Aapke baba ne kaha hai aapko jis tarah ka suit chahiye woh waisa mangwa denge."

Sehar inki baat ka koi jawab nahi deti. Amna Gul inke mathay par pyar karte hue kamre se chale jaati.

"Ao Zameed, khana khao."

Zameed khana khane se farig hua toh Sherbano plate uthane lagi aur boli, "Zameed, aapko pata hai Haji sahib ne aaj humse kya baat ki?"

"Kya amma?"

"Woh chahte hain ke aapki shaadi Sehar se ho jaye."

"Amma, yeh kya bol rahi hain aap? Woh meri behen hai, maine iske baare mein kabhi is tarah nahi socha."

"Toh ab soch lo, aapke Haji sahib toh yahi chahte hain."

"Amma, woh mujhse 8 saal choti hai, hamara koi jor nahi."

"Yeh kya baat hui Zameed? Aapke baba bhi mujhse 7 saal bade hain. Kya hamara koi jor nahi banta?"

"Nahi amma, yeh baat nahi. Baba toh aapko pasand karte the na, magar main toh Sehar ko apni behen samajhta hoon. Aap chordiye is baat ko, main khud Haji sahib se baat karoonga is baare mein."

"Waise mujhe Sehar bohot pasand hai, acha hai ghar ki bachi ghar mein hi rahe."

Woh yeh baat bolte hue apne kamre ki taraf chale gaye.

Subah ke 7 baj rahe the aur Gul Khan ki haveli mein chahal-pahal thi. Sherbano aur Amna jaldi jaldi mulazimon ke saath mil kar khane ki table taiyar kar rahi thi. Sab apna nashta karke apne apne kaamon ke taraf chal pade. Zafar aur Mehar zameeno ka kaam dekhne, Haji sahib dere ka chakkar lagane. Zameed shehar ke office ke liye, Mariyam ka college khatam ho gaya hai toh ab woh ghar par hi rehti thi. Sehar college mein thi, woh apne baba aur Zafar abbu ke saath nikal chuki thi aur Sherbano aur Amna ghar daari dekhte thi jo ab Mariyam ko bhi sikhha rahi thi. Is tarah guzarti thi haveli ke logo ki subah.

Sehar college pohoch kar apni dost Raniya se mili.

"Aa gayi Sehar baji, test paper sign karwa liya?"

"Yaar, main bhool gayi. Maine socha tha raat mein Lala se karwa loongi, but zehan se hi nikal gaya."

"Allah, tumhe nahi pata, maine kitni mushkil se amma ka sign liya hai. Thappar bhi mila hai zor ka Sehar."

"Tumhare toh mujhse zyada marks the, phir bhi piti tum?"

"Kya karoon, zalim samaj hai Sehar."

"Allah, mujhe samajh nahi aa raha, main kis tarah sign loongi. Amma Abba ko bata hi nahi sakte, bohot daant paregi. Lala he bacha sakte hain."

"Ek kaam karo na, mera sign tum kar do, Raniya. Kis ko kya pata tumne kara hai."

"Haan, la na. maine naya sign seekha hai, woh karte hoon." 

" Behn, apne naam ka sign nahi karna, Lala ke naam ka karo. Chalo, Zameed Gul Khan."

"Acha, acha, karte hoon. Waise aaj ke test ki tayari ki hai tumne? Mujhe zara thoda bata dena."

"Oh ladki, main khud tumhare asare aayi thi ke tumse dekh loongi. Ab kya karein, maine toh ek lafz nahi dekha."

"Arrey, tension kyon leti ho, hum dono ek dusre ka test paper sign kar lenge. Chalo, warna sir test lene se pehle hi bahar kar denge class ke."

Sehar jaise hi ghar pohnchi, samne baithak mein amma aur tai amma ke paas itne saare kapde dekh kar jaldi se inke paas ja baithi.

"Amma, kya yeh Mariyam api ki shaadi ke liye humare liye kapde aaye hain? Hum bhi inmein se pasand kar le?"

Sehar ki baat sun kar Amna toh kuch bol hi na sakin. Woh kaise isko Haji sahib ka hukum sunate. Woh Sherbano ko dekhne lagi.

Sherbano Sehar se boli, "Beta, yeh kapde baad mein dekh lena. Kapde kahin nahi ja rahe. Jao, pehle thoda khana khalo aur araam kar lo, phir araam se pasand kar lena kapde."

"Jee tai amma, mujhse toh Mariyam api ki shaadi ka intezar hi nahi ho raha, kitna maza aayega."

---
Hey lovely's
Bohat ziyada he mai ny khana khana kr diya hai kya karo likh ty waqt mujai bhook lage thi.
Tata.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 24 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Forevermore Where stories live. Discover now