from one sided to two sided 💗

23 2 1
                                    

Yaar aap log ek baat batao aap logo mein se kabhi kisi ko kisi se one sided love hova hain
Kabhi kisi ko dekh ke laga hoon ke yaar yeh milta Jatana tu life bohat khush hoti
Kash yeh mil jaata tu woh saare sapne pure hojate ek dam perfect life jeete hum .
Kitne Kam khushnaseeb hote hain na woh log jinka one sided love two sided mein convert hojata hain 🥹
Waise hi Aaj ki ek story hain .
-----------------------------------------------------------
Ek ghar jismein bada khushi ka mahool tha saare rishtedar aaye hove the mazak ,Masti ho rahi thi .
humari choti si 16 saal ki adhaya ke bhabhi ka baby shower tha .
Sab ristedaron aaye the tu saare cousins bhi aaye the aur saare cousins bhi ek saath maze kar rahe the .
Tab adhaya ke ek cousin ne usse dare Diya ke woh is function mein aapne crush ko propose kare jinka naam shashwat hain.
Shashwat bhi unke cousins mein se hi ek the .
Jab adhaya ne aapni feelings ko batate hove jab shashwat ko purpose kiya tab unhone kuch nahi kaha balke woh waha se chale gaye .
Shashwat 18 saal ke the tu aapne higher education ke liye London chale gaye the.
But adhaya yah par akeli hogayi thi unka mano dill hi tooth gaya hoon  jisse unhone pyar kiya tha woh chale gaye the bohat saare sawal uthe the unke mann mein ke kiyu unhone kuch nahi bola ?
Kiyu woh aise hi chale gaye ?
Kiya unhone ne aapni feelings bata kar galti kardi ?
Yeh saare sawalon se deal karte karte waqt guzarta Gaya .
Adhaya aab 12th mein aa gayi thi saare khayal ko side mein rakh ke unhone ne aapne studies aur career par Focus karna shuru kar diya tha .
Par kehte hain na ke jab naseeb mein milna hota hain tab insan kaisa na kaise mil kar hi rehta hain .
Jab adhaya 12th mein thi unki sister ne kisi baat ki wajah se suicide attempt karne ki koshish ki thi.
Tab unhe dekhne ke liye shashwat India aaye hove the tab unki mulaqat firse hovi thi .
Time firse guzarta Gaya adhaya ki 12th hovi aur aage ki medical studies ke liye woh bhi London chali gayi aapni masi ke pass jinki daughter ne suicide karne ki koshish ki thi .
Aur shashwat bhi waha par aake rehne Lage the lekin is bar baat kuch alag thi is bar ignore karne wale shashwat adhaya ko attention Dene Lage the koi na koi bhana dhondh hi lete the adhaya se baat karne ka 🤭
But is bar adhaya ne unhe ignore karna shuru kar diya tha .🙁
Adhaya ka 19 birthday aaya jispar shashwat ne unhe Purpose kiya
Par adhaya ne unhe reject kar diya 😫

Kiyuke woh nahi chati thi ke unka aur ek heartbreak hoon .
Par jaha insan ko pyar hota hain woh usse pane ke liye efforts zaroor karta hain
Waise hi shashwat ne bhi kiya .
Woh har roz kisi gentelmen ki tarah unhe flowers laate the 💐 aur aksar unhe gifts bhi laya karte the🎁 .
Unki choti choti baaton ka khayal rakhte the .
Yeh saari cheeze dekh kar ek din humari adhaya ka dill bhi pighal hi gaya unhone ne bhi unke proposal ko accept kar hi liya 🥹🥳🎉.

Ab may mein unki engagement  hovi thi aur ab December mein unki finally shaadi hain .🥳💗🫶🏻
Is story ko dekh kar Aisa lagta hain ke kitni khubsurat ho jaati hain zindagi jab aapka pasandida insan aapko mil jaata hain .

-----------------------------------------------------------
Tu meri taraf se tu aapko bohat saari best wishes aise hi aap dono ek dusre ka saath doon ke ek dusre ka khayal rakho har kadam par ek dusre ko saath hoon .🥹
Aur jaldi hi aap dono ki shaadi bhi hojaye .🤭
Aap dono ko kabhi kisi ki nazar na Lage.



















-----------------------------------------------------------
Aur aise hi aapki bhi koi story hain so aap bhi share kar sakte hoon mere saath mujhe yaha message karke yah instgram par message karke
I'd name :- imaginaryink_07
    💗💐Thank you for reading 💐

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jul 06 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

💗 YEH PYAR KAISE HOTA HAIN 💗जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें